Al Istimdaad Ala Ijyal Irtadad

Transcription

Al Istimdaad Ala Ijyal Irtadad
‫بسم ا الرحن الرحي‬
Al Istimdaad
Ala Ijyal Irtadad
‫الس تداد عل اجيال ارتداد‬
Al istimdaad ala ijyal irtadad was written by Sheikh ul Islam wal Muslimeen
Imam Ahle Sunnat
Alahadrat Azeeemulbarakat Imam Ahmed Rida Khan Radi Allahu Taala Anhu.
Its Title means to seek assistance .
It is a Qasidah consisting of 360 couplets,including 230 deviant saying of the
wahabbies and the deobandies
Al istimdad has been divided into 7 chapters and are as follows,
chapter 1, praise of the Most Beloved Sall Allahu Alaihi wasallam
chapter 2, seeking help from the Most Beloved Sall Allahu Alaihi Wasallam
chapter 3, The deviant sayings of ismail dehlvi
chapter 4, The deviant sayings of rashid ahmed gangohi
chapter 5, The deviant sayings of qasim nanotwi
chapter 6, The deviant sayings of ashraf ali thanwi
chapter 7, The dua for his students and his friends
chapter 1 .Praise of the Most Beloved Sall
Allahu Alaihi Wasallam
Sachchi Baat Sikhate Yeh hein
Seedhi Raah Chalate Yeh hein
Doobi Nawein Tairaate Yeh hein
Hilti Naiwein Jamate Yeh hein
Tooti Aasein Bandhate Yeh hein
Chooti Nabzein Chalate Yeh hein
Jalti Jaanein Bujhate Yeh hein
Roti Aankhein Hansate Yeh hein
Qasr-e-Dana Tak kis ki Rasai?
Jaate Yeh hein Aate Yeh hein
Us ke Nayeb En ke Saheb
Haq se Khalq milate Yeh hein
Shaafe Naafe Raafe Waafe
kia kia Rahmat Laate Yeh hein
Shaafa e Ummat Naafa e Khilqat
Raafe Rutba barhate Yeh hein
Daafe yaani Haafiz o Haami
Daf e Bala Farmate Yeh hein
Faiz e Jaleel e Khaleel se poocho
Aag mein Baagh khilate yeh hein
Inke Naam ke sadqe jis se
Jeete hum hein Jilate Yeh hein
uski Bakhshish inka Sadqa
Deta woh hai khilate Yeh hein
inka Hukum Jahan mein Nafiz
Qabza Kul pe Rakhate Yeh hein
Qaadir e Kul ke Nayeb e Akbar
Kun ka Rang Dikhate Yeh hein
unke Haath mein Har Kunji hai
Maalik e Kul Kahlate yeh hein
Inna A'tainaa kal kausar
Saari Kasrat Paate Yeh hein
Rab hai Mo'ti Yeh hein Qasim
Rizq uska hai Khilate Yeh hein
Maatam Ghar mein Ek Nazar mein
Shaadi Shaadi Rachate Yeh hein
Apni Bani hum Aap Bigarain
Kaun Banaye? Banate Yeh hein
Laakhun Balayein karoron Dushman
Kaun Bachaye Bachate Yeh hein
Bande Karte hein Kaam Ghazab ke
Mujhda Raza ka Sunate Yeh hein
Naz e Rooh mein Aasani dein
Kalima Yaad Dilate Yeh hein
Marqad mein Bandun ko thapak kar
Meethi Neend Sulate Yeh hein
Baap Jahan Baite se Bhage
Lutf wahan Farmate Yeh hein
Maa jab iklaute ko chore
Aa Aa Kah kar Bulate Yeh hein
Saikhun Bekas Rone wale
Kaun Chupaye? Chupate Yeh hein
Khud Sajde mein gir kar apni
Girti Ummat uthate Yeh hein
Nange be Nangon ka Parda
Daman Dhak ke Chupate Yeh hein
Apne Bharam se Hum Halkon ka
Palla Bhaari Banate Yeh hein
Thanda Thanda Meetha Meetha
Peete hum hein Pilate Yeh hein
Sallim Sallim ki Dharas se
Pul per Humko Chalate Yeh hein
Jis ko Koi Na Khulwa Sakta
Woh Zanjeer Hilate Yeh hein
Jinke Chappar Tak Nahi Unke
Moti Mahel Sajwate Yeh hein
Topi Jin ke Na Joti Unko
Taaj o Buraaq Dilate Yeh hein
KEH DO RAZA SE KHUSH HO KHUSH REH
MUJHDA RAZA KA SUNATE YEH HEIN
Chapter 2. Seeking assistance from The
Most Beloved Sall Allahu Alaihi Wasallam
Maula Deen Mitate Yeh hein
Kufr Islam mein laate Yeh hein
Teri Shaan Ghatate Yeh hein
Rab ko Aib Lagate Yeh hein
Rab Se Uljhein Nabi se Uljhein
kis Shaitaan ke Kaate Yeh hein
Balke Woh Kufr mein inka Gurga
Phir Muslim Kehlate Yeh hein
Ibne Aqaba se Muslim hein
Haasha us ko lajate Yeh hein
Uske Zulmun ki Had thi Haram per
Shaah e Haram Kehlate Yeh hein
Kitne Mazhab Raddat Thehre
Fiqh o Kalaam mein aate Yeh hein
Kufr ke Bachche Kufr ke Jaawa
Kufr ke Rishte Naate Yeh hein
Sab se Muzir tar hein yeh wahaabi
Sunni bankar Rijhate Yeh hein
Sunni o Hanafi o Chishti
Ban ban kar Behkaate Yeh hein
Jitne Dalaal hoye hein ab tak
un Bihoun ke Khaate Yeh hein
Jo Chappar Iblees ne Chaye
Sab ke Bandhan Baate Yeh hein
Haq se Jahil Shae se Zaahil
Kaisi Mad ke saate Yeh hein
Apni Chalti Noor e Ilahi
Jalte Muh se Bujhate Yeh hein
PIYAARE DAFA KAR AADA KIYUNKAR
TERE HOTE SAATE YEH HEIN
Chapter 3.The deviant sayings of ismail
dehelwi
Shah ko Rusul o Malik ko jo Maane
us ko Khuda se Churate Yeh hein
Chaach bata kar Phenki Nabuwwat
Ghi Tauheed ka Taate Yeh hein
Phir us Kalma e Kufr ki Tuhmat
Rab o Rusul pe Uthate Yeh hein
Shah ko Rusul ko Ahle Khuda ko
Choore Chamaar Sunate Yeh hein
Haq se chota Aan se Aazam
Beech mein aur Manate Yeh hein
Woh sab rakh khe Chamaar se Badtar
Thakur kis ko banate Yeh hein
La wallah who shane khuda hay
Zarre se jisko giraate yeh hain
Rab ka Muqabil Samjhe Rusul ko
Apna Shareek Bhalate Yeh hein
unki Izzat Haq se Juda hai
Dono ki Toul karate Yeh hein
unka Naam Dhara Nakaare
Kufr ke Kaam aate Yeh hein
in ke Muh mein Khaak ho Kis ko
Mitti mein Mar kar milate Yeh hein
Phir us Kufr ki tuhmat Shah per
Rakh kar Khaak Urate Yeh hein
Jaise Pardhaan aur Chaudhri Aisi
Shah ki Sayadat Gaate Yeh hein
Chote Bade Bhai ka Tafaut
Apne mein Shah mein Batate Yeh hein
Sirf Bare Bhai ke Barabar
Shah ka Waqaar Manate Yeh hein
Chote Nana Husain o Hasan ke
Paish khud kahlate Yeh hein
Hukum e Adab mein Chacha Zahra ke
Qatilhum Bane Jaate Yeh hein
Woh Jin per Maa Baap Tasadduq
Bhai unko Banate Yeh hein
Talibi Abbasi to nahi Kia
Zair e Abu Lahab Aate Yeh hein
Shah ki Sana o Midh Baham se
Kam ho yeh Lalchate Yeh hein
Fauq e Risalat Shah hein Nahi kuch
Jumla Khasayes Dhaate Yeh hein
Isra Ruyat e Khatam e Nabuwwat
Sab ko Adam mein Sulate Yeh hein
Ek to Shah per yeh Tohmat Phir
Hukum mein Hasr Barhate Yeh hein
Waaqif hein Ahkaam se Baaqi
Saare Fazl Gamate Yeh hein
Kul ejaaz Tamaam Mahasin
Sab per La khinchwate Yeh hein
Yeh buhtaan bhi Shah per Rakhkha
Kitna Haq ko Satate Yeh hein
Yuzoonallaha Wa Rasoolahu
Deen ko kia Kalpate Yeh hein
Aisun ko Jo Aa'addalahum hai
Aaj nahi kal Paate Yeh hein
Mujiza Ummiyat e Shah se
Peer ka Jahal milate Yeh hein
Durood o Kalma e Tayyab per bhi
Shirk ka Muh Phulate Yeh hein
Itna Jalte hein Naam e Shah se
Kalme se Kaniyate Yeh hein
Dam mein Karorun Hamsar e Shah hon
Aisi Machine Dharate Yeh hein
Mujize se Behtare Jaado
Akmal o Aqwa Gaate yeh hein
Saahir Qadir Lekin Shah ko
Pathar Mahez batate Yeh hein
Shah ki Wajahat Shah ki Mohabbat
Zaher kahan Nahi Khaate Yeh hein
Asl Shafa'at se hein Kafir
Naam ko lafz dikhate Yeh hein
us mein bhi Takhsees unki nahi kuch
Muhmal gol Garhate Yeh hein
Baiti tak ke Kaam na Aayein
Beqadari ye Manate Yeh hein
Mugni Rab se Na ho sakne ko
Kia Ma'ne Pahnate Yeh hein
Unke Kaam Na aayege Beshak
Jab to Jahannam Jaate Yeh hein
Jag beeti se kia matlab hai
Apni beeti Sunate Yeh hein
Sab ke barabar Aajiz o Nadan
Kaar e Jahan mein batate Yeh hein
Jin ka chaha khuda ka chaha
Unka chaha mitaate yeh hain
Nayebe akbar qaadir e qul ko
Pathar ka thahrate Yeh hein
Pathar se bhi Badtar la shae
Mahez pe Theeka Khaate Yeh hein
Kia Har Baar Nabi o Wali se
Shaitaan Bhoot Milate Yeh hein
Jo Ayaat Butun mein hein unko
Mehboobun pe Jamate Yeh hein
Unko Nabi Bot Bhoot hein Yaksan
Yeh Tauheed Sujhate Yeh hein
Shaan e Jalaal e Habeeb e Haq ko
Salb e Hawaas Banate Yeh hein
Hamd Kare Haq Midh e Nabi se
Qadh se Qadr barhate Yeh hein
Utni hi Shaan e Khuda Barhti hai
Jitna Nabi ko Giraate Yeh hein
Rab deta hai Rusul ko Tasallut
Beqaabo Thahraate Yeh hein
Shah ke Huzoor Qiyam e Adab ko
Shirk Bhawan mein Bithate Yeh hein
Taiba ke Jangal ke Adab per
kia Zanjeerein turate Yeh hein
Khud Farmaan e Rasoolullah per
Hukum e Shirk Lagate Yeh hein
In hua Illa Wahyun Yooha
Dekho kahan Chalkate Yeh hein
Sunke Tabarruk Aab e Madina
Shirk mein Dobe Jaate Yeh hein
Inko Safar e Taiba ka Saqar hai
us per Adab kia gaate Yeh hein
Phakkar Chakkar warna Mushrik
kia Tahzeeb Jagate Yeh hein
Yeh hay Rasoolullah ki izzat
Phir Islam rakhaatay yeh hain
Shah ka Khayaal Namaz mein Aana
Darjun Khar se giraate Yeh hein
Lanat e Haq ho La'an e Rusul ho
Kaisi Deenak Sunate Yeh hein
Surah e Fatiha aur Tashah'hud
Shirk indhan mein Dhansate Yeh hein
Bail Gadhe ki Yaad mein doobein
is ko Sahel batate Yeh hein
Lekin Yaad e Rasoolallah per
Shirk ki naiw Chunate Yeh hein
Khar se inko Khair hi pahunchi
Khaar to Shah se Khaate Yeh hein
Khatm jinhun ne Nabuwwat kar di
Jis per Dil humkate Yeh hein
Yaade Muhammad yaade Khuda hay
Kis ko khar se ghataate yeh hain
Inko Gadhe ka Zikr hi Rozi
Jis ki Shaan Badhate Yeh hein
Hum ko Zikr e Habeeb Jise Yun
Aag Samjh ke Bujhate Yeh hein
Gair e Nabi ko Wahi o ismat
Maan ke Naiw Jamate Yeh hein
Kahe ki Naiw Nabi Banne ki
Jis per Jaan Ganwate Yeh hein
Salb e Quran Jayez Kah kar
Usko Hudoos mein laate Yeh hein
Quran Wajh e Hidayat kab hai
Mahez ilzaam hai gaate Yeh hein
Mansab e Fahm e Nukaat e Quran
Har geeri ko dilate Yeh hein
Phir is Kizb e Ja'ali ki Tuhmat
Khud Quran pe Uthate Yeh hein
Khud kahe Quran Ma Yaqiluha
Ummi fahem Batate Yeh hein
Be Samjhaye Na Samjhey Sahaba
Apni Taang Arate Yeh hein
Haq ke Bayan ki Nabi ko Haajat
Pait se Khuwande Aate Yeh hein
Quran har Shae ka hai Tibiyaan
Sifar Nabi ko Banate Yeh hein
Mo'ti ilm hai Sarwar e Aalam
Un se Alag Katraate Yeh hein
Haq ne Yu alimuhum Farmaya
Khud Fahmeed Manate Yeh hein
Nil Ummieen Yaad hai inko
Woh Taleem bhulate Yeh hein
Ba'az kitaab pe Naam ko imaan
Ba'az se Kufr Dikhate Yeh hein
Qaasid se Ab kia Kaam hai inko
Suljhi Paae Paate Yeh hein
Khuwande hein kiyun Ummi se sikhein
Saaf hai Khat Parhe Jaate Yeh hein
Yeh hai Hadees ki Durgat Jis ke
Da'we per itraate Yeh hein
Jab to Muqallid Mujtahdeen ko
Nasraniyat Urhate Yeh hein
Mujtahid e Asr Inka hai Jisko
Ban se Pakar kar laate Yeh hein
Tarmahi Miskaah aur Bakhari
Ghol kar usko Pilaate Yeh hein
Saaphi Hanphi ke sikke khote
Jhinji Apni Bhunate Yeh hein
Saare Sirk Biddat pe Baithi
Ab kia Deedah Lalchate Yeh hein
Al Haasil Quran ko Har Dam
Jhutlate Mukrate Yeh hein
Roo e Zameen per Kafir hein Sab
Aisi Baaw Chalate Yeh hein
Shah ki Ummat Kafir Maani
Aap kahan bache Jaate Yeh hein
Roe Zameen se Alag kia Koi
Goh ka Bhatta basate Yeh hein
Apni Aag mein Jal gaye Aap hi
Achi Deepak gaate Yeh hein
Shirk ki aisi Tand Charhi hai
Shirk hi Shirk Bulate Yeh hein
Shirk ki Tasbeeh inka Wazeefa
Shirk hi Japte Japate Yeh hein
Sawan ke Andhe ka Hara hai
Shirk Jo gaate gawate Yeh hein
Shirk Malhaarein milkar gaayein
shirk mein Chunri rangate Yeh hein
Shirk hai inki Barhti Daulat
Chapparun Shirk lutate Yeh hein
Shaho malak qurano jibreel
Sab pe shirk gumaate yeh hain
Tauraat o Injeel o Zaboor Ab
un se Shirk Jutate Yeh hein
Gaib per Kashti e Khizar o Musa
Shrik Bhawar mein Phansate Yeh hein
Sajda e Yaqoob o Yusuf ko
Chaah e Shirk Jhankate Yeh hein
Ubriul Akmaha wal Abrasa per
Sooli se Dhamkaate Yeh hein
Aheyal Mautaa Sun ke to Mar kar
Shirk Garhe mein Samate Yeh hein
Naam e Pisar per Aadam o Hawwa
Dono ka Deen Khapate Yeh hein
Ek Bare ke bhi Daada Naana
Shirk ke Neeche litate Yeh hein
Daadi Naani dono Musalman
Kufr unhein kab Chipkate Yeh hein
Ab Jo hukum Awlaad per Aaya
Pocho kia Farmate Yeh hein
Aur agar unko bhi Shirk mein sayein
Jab kia Chaak silate Yeh hein
Murtad o Murtadda ka Tanakeh
Radd hai kidhar Chakrate Yeh hein
Laakhun Musalman kar diye Mushrik
Ghar ki Khabar bisrate Yeh hein
Jaisi karni Waisi Bharni
Kaatein jaisi Buwate Yeh hein
Abd e Aziz o Waliullah ko
Shirk ki Wali Dikhate Yeh hein
Sheikh Mujaddid Sahab per to
Sab se siwa gurrate Yeh hein
Aap per Dhalein Baap pe Dhalein
Kaun hai jis ko bachate Yeh hein
Haji imdaadullah ko bhi
Shirk Madad Puhnchate Yeh hein
Thanwi qasim gangohi ko
Shirk ke Thaan Bandhate Yeh hein
Qad Yasduq Khud aur Teeno
Chaar pe Sach Dhalkate Yeh hein
Shirk e Fiqhi Kufr e Kalami
Baham Bante Khate Yeh hein
Chahe tu Haq Aalim ho per Ab tak
Jahil hai Yeh gaate Yeh hein
Uski Sifaat e Qadima ko Haadis
Aur Makhlooq likhate Yeh hein
Saara Eilm e Gaib e Elahi
Paanch mein Khatam Karate Yeh hein
Simt o Zaman o Makan se Tanziya
Haq ki Dalaal Batate Yeh hein
Dedaar e Bekaif per Emaan
Kufrun ke saath ginate Yeh hein
Tark e Saza e Shrik per usko
Begairat thahrate Yeh hein
Gar e Kufr ki Qatae saza bhi
Mutazila si Manate Yeh hein
Qadr e Hukum e Nabi Rakhne ko
Heela gar usko Banate Yeh hein
Morchal uski Qabar pe Jhalne
Namgeerah Tinwate Yeh hein
Khaas unhein Apne liye Karne ki
Tuhmat Haq per Uthate Yeh hein
Jo ek Per ke Patte gin de
Usko Khudae thamate Yeh hein
Haq se Haath mein Haath Mila kar
Peer ko baatein karate Yeh hein
Yun ghul mil kar Kalaam e haqeeqi
Yarana Ghuntwate Ye hein
Lekin Shaah e Rusul ke Haq mein
Qaahir Mahez Batate Yeh hein
Kizb e ilahi Mumkin kah kar
Deen o Yaqeen sab Dhaate Yeh hein
Kizb ka kianam han koi Kaazib
Samjhe us se darate Yeh hein
Inko Bhula bahela ke ho Jhoota
Es ka Paas dilate Yeh hein
Qudrat e Rab se hi Kizb e Bashar hai
Taqat jis ki Rakhate Yeh hein
Kizb e Khuda per Kaun hai Qaadir
Qudrat jis se ghatate Yeh hein
Aundhi Aqal ki Andhi Burhiya
kis Jangal mein Charate Yeh hein
Bil Fel inka Khuda Aibi hai
Phir imkaan to gaate Yeh hein
Soye Aunghe Baheke Bhooley
Kia kia Gat banwate Yeh hein
Gaflat Zulm Thakan Muhtaji
kaun sa Naqs Barate Yeh hein
Kaam ko us per Mushkil Maanein
Khalq se usko Harate Yeh hein
Khaaye bhi Phir kiyun nahi usko
Mohan Bhog Charhate Yeh hein
Uff inke Imkaan ki Khuwari
Bheek tak usko Mangwate Yeh hein
Jor aur Joru o Maa Baap uske
Bachche usko Janate Yeh hein
Uska Shareek aur Khuwari mein Yawar
Sab ki Khaip Bharate Yeh hein
Zillat Izzat o Khauf ka kia gham
Maut tak usko chakhate Yeh hein
Jitne Aib Bashar kar Sakta
Apne Khuda ko lagate Yeh hein
Uchle Kore Kalayein Khaye
Sab Khail usko Khilate Yeh hein
Dubke Phoole Simte Phaile
Usko Rabar ka Banate Yeh hein
Mard bhi Aurat bhi Khasna bhi
kia kia Suwaang Rachate Yeh hein
Apne Khuda ko Mahfil Mahfil
Kauri Naach Nachate Yeh hein
Chaarun Simt ek aan mein Muh ho
Naach uska Yeh dikhate Yeh hein
Chaumukhe Brahamma aur Kaanha ke
Aage Sees Nawate Yeh hein
Dev ke Aage Ghanti baja kar
Bam us se bulwate Yeh hein
Ling Chilhiri ki danrotein
Pooja Paat karate Yeh hein
Kataki isnaan aur Baisakhi
Dhubki usko khilate Yeh hein
Zaani Muzni auchuka Daako
Saare Jhoole Jhulate Yeh hein
Kon si khwaari baaki chori
Sab us se karwaate yeh hain
Bete Gaaye Yahood o Nasara
Joru aur Milate Yeh hein
Aqal e Farang se Baagh e Khird mein
Teen Khuda lahkate Yeh hein
Chor Sharabi Zaalim o Jaahil
Rab pe Rawa ginwate Yeh hein
Khakul Aibi Poch Khuda ko
Poojte aur Pojwate Yeh hein
Milk e Khuda se Bahar Cheezein
Aurun ki Milk ginate Yeh hein
Laakhun Karoron Khuda ke Pujari
Phir Tawheed manate Yeh hein
Sab Khabarein Quran ki Jhooti
Parni Rawa Thahrate Yeh hein
Ab to uluhiyat bhi Sedhari
Dhol se Khaal ganwate Yeh hein
Us ke ilm o Jaz mein Takhalif
Kehke Khudae Dhaate Yeh hein
Balke Kamaal use Thahra kar
Ganga ulti bahate Yeh hein
Jab hai Kamaal Khilaaf e Quran
Ab kia Palla Bachate Yeh hein
Ya to Khuda hai Kamaal se khaali
Ya Quran jhutlate Yeh hein
Rab ka Ghazab ho wahi se pahle
Kis ko Daal batate Yeh hein
Balke Kaha imaan se Khaali
Lanat ho kia gaate Yeh hein
Mursal e La Saani ka Saani
Gangohi ko batate Yeh hein
Qabr hai Toor woh Rab yeh Musa
Kaise Junoon Pakate Yeh hein
Uske Kaale ghulamun ko Yusuf
Paaji pan yeh dikhate Yeh hein
Abd e Nabi Shirk Andhe ke Bande
Banke Bahut ithlate Yeh hein
usko Muhmi Subqi kah kar
Esa ko jonkate Yeh hein
chapter 4 .The deviant sayings of rashid
ahmed gangohi
ilm Apne Murshid e Shaitan ka
ilm e Shah se Barhate Yeh hein
uski wus'at Nas se Maney
Shirk yahan Phansate Yeh hein
ilm e Gaib e iblees ko Maney
Shah ko kaho Jal Jate Yeh hein
Aise Fazl per usko Jamate
Maula Tujh ko Hatate Yeh hein
Saaf Sareehan Apne Khuda ka
usko Shareek Banate Yeh hein
Shirkat kaisi Khud Shaitan ko
Apna Khuda Thaherate Yeh hein
Jo Allah ko Jhoota Maney
Suwaleh usko ginate Yeh hein
Kafir Gumraah Faasiq kaisa
Karra Lafz Bachate yeh hein
Shafae o Hanafi ke Manind
uska Khilaaf Manate Yeh hein
Bandun ko Qudrat de di Haq ko
Ab Bedakhal Batate Yeh hein
Mujh ko Bhai kaho ki Tauhmat
Maula Tujh per uthate Yeh hein
Apne hi Muh Maloon hoye Khud
Naar mein Waar Chawate Yeh hein
La'an Eblees per Auroun ke Muh se
Apne hi Muh ki Paate Yeh hein
Muh ki Paae Muh ki Khaae
Bachke Kahan Ab Jaate Yeh hein
Baap ko Apna Qareeb batana
Gustakhi Thahrate Yeh hein
Shah e Rusul ko Bhai kahna
Maa ka Doodh Banate Yeh hein
Mitti mein Milna Mitti se Milna
Ek hi yun Chandrate Yeh hein
Peeth Rasoolullah ko de kar
Kaisi Aundhi Kaate Yeh hein
Istimdaad karein Shaitaan se
Shirk Nabi se Batate Yeh hein.
Majlis e Mawlid e Shah hai Khurafaat
Aisi Kharafat laate Yeh hein
Suwaang Kanahiyya Janam ka hai
Pandit Ji Chawkaate Yeh hein
Fatiha mein Quran ki Tilawat
Vaid Padhant Sunate Yeh hein
Quran Vaid hai Qari Pandit
Yeh Tashbeeh Jamate Yeh hein
Fikr Baqadr e Himmat hai kia
Hindu Dharam Dharaate Yeh hein
Hindu Dharam se Badtar Riddat
Jiddat jis mein dikhate Yeh hein
Shirk o Kufr Aurun ke liye Shar
Khair Apnun ki Manate Yeh hein
Apnun ka Zahr e Halahal Sab ko
Shahed Bata ke Chatate Yeh hein
Shah ke Rahmat e Aalam hona
Har Mulley ko Dilate Yeh hein
Yaani Yeh bhi hein Rahmat e Aalam
Mulley Khud Kahlate Yeh hein
Fazl e Shah mein Bukhari o muslim
Sab Mardood Batate Yeh hein
Naqs ko Ek be'asal Riwayat
Apni Burhaan laate Yeh hein
Raad ko uska Raawi gaayein
Kia bepar ki urate Yeh hein
Fazl e Shah ki Adawat dekho
Kia kia Haath Chabate Yeh hein
Yauma Yadiz Zalim ka Rang
Duniya hi se Dikhate Yeh hein
Anjaan anparh ke Chalne ko
Kia Kia Jaal Bichate Yeh hein
Tafwiyat-ul-Emaan ka Parhna
ain Islam Banate Yeh hein
Yun Quran se usko Barha kar
Jabtak e Kufr Manjhate Yeh hein
Abd e Aziz Tak imaan kab tha
Islam Aaj Phailaate Yeh hein
Niyyat e Ajar ka Ahl hai Kafir
Kufr ko kia Chamkate Yeh hein
Hindu ko kia Ahl Samjhtey
Apni Daal Galaate Yeh hein
Yeh hein Mufeed Nabi ko Jo Samjhey
us per Shirk Aurhate Yeh hein
Rab ki Duhae Lagw Samajh kar
Jabran Shirk Manate Yeh hein
Waqt Pare per Jayez keh kar
Jaado karte Karaate Yeh hein
Shirk Mubaah hai Balke hai Sunnat
Fel e Rasool Batate Yeh hein
Be Rab ke diye ilm jo Maney
Kufr se usko Bachate Yeh hein
Naar e Safar mein Raushni Sujhi
Kia Andhera Machate Yeh hein
Deoban walon ke Milne se
Urdu Shah ko Sikhate Yeh hein
unke Nabi ki ustazi ka
Haq ummat pe Jatate Yeh hein
Uff Bebaki Shah se Apni
Roti tak Pakwate yeh hein
inki Rasoe ki Yeh Rasae
Haq Ruswae Paate Yeh hein
Holi o Diwali ka Khana Jayez
Jai Jai kar ke Khaate Yeh hein
Sharbat o Aab e Sabeel e Muharram
Saaf Haraam Karate Yeh hein
Naame imaam nay aag lagaa dee
Najd ki holi jelaatay yeh hain
chapter 5.The deviant sayings of qasim
nanotwi
Shah ke Pichle Nabi honey ko
Fazl se Khaali Gaate Yeh hein
Jaise Aise Waisun ki Awsaaf
Itna is ko giraate Yeh hein
Haq per Fuzool aur Be Rabti ki
Lim Quran pe Lagate Yeh hein
Midh jo isko Samjhe Sahaba
Nafaham usko batate Yeh hein
Ab se un tak Ummat bhar per
Jahill ka Muh aate Yeh hein
Aik Sahaba kia ke Nabi per
Ta'n Yahi Barsaate Yeh hein
Munkir e Khatam ko Phir Kafir bhi
Dhoke ko likh Jate Yeh hein
Dar Kufr o Deen Manda Tazabtub
Ne imaan Na Sabate Yeh hein
Dhoka Khul gaya Chand Warq Per
Phir Wahi Palta Khate Yeh hein
Shah ke Baad Tabuwwat Taza
Paak Khalq se Batate Yeh hein
Aap hi Kafir Aap hi Mukaffir
Apni Aap hi Dhate Yeh hein
Jab to Baraye Naam Khud Apna
Islam Aap Sunate Yeh hein
Awwal Kafir Aakhir Kafir
Har Phir Kufr pe Chate Yeh hein
Dhoka Dene waba Phir uchla
Kufr ko kitna Bhaate Yeh hein
Unke Kufr ka uthta Joban
Nahaq usko Chupate Yeh hein
Sarkash utna utna Ubhrey
Jitna Jitna Dabate Yeh hein
Aur Khudaon Ka Woh Khuda ho
Rutba is mein Barhate Yeh hein
Mushrik ko isbaat Batan ki
Yeh Burhaan Barhate Yeh hein
Khalq se uska Tanasub Ga kar
Arba mein usey laate Yeh hein
Hum ko Ghulam se Jo hai woh Nisbat
Haq ko Hum se batate Yeh hein
Yeh Zaat Tarfain o Wast Hai
Yun Taslees Manate Yeh hein
Aur Rusul ki Arzi Mohabbat
Ek din un se Chinate Yeh hein
Chapter 6 . The deviant sayings of ashraf
ali thanwi
Shah sa Har Kas o Naakas Jane
Gaib pe Aib Dikhate Yeh hein
ilm e Huzoor mein Bachche Pagle
Kul Chaupaye Bharate Yeh hein
In mein Nabi mein Farq Batao
Kis Lanat ki Gaate Yeh hein
In Hum Illa kalAnaam
Bal Hum Adall ke Bharate Yeh hein
Thak kar es Bad Gaali ko ek
Ilmi Bahes banate Yeh hein
Aib ki Laye Raieb ki Gaye
Gaib se Waib kamate Yeh hein
Usko Kafir likh gaye Jis ko
Bhait imaan Charhate Yeh hein
Lekin Jab Tak Naam Na Jana
Jaan ke Jaan Chaurate Yeh hein
Woh Bajahannam Khud Kufr Apna
Mante aur Chapwate Yeh hein
Qaul hai Kufr aur Qayel Kafir
Lekin Naam Bachate Yeh hein
Qayel Thande Ji se Kafir
Naam liye Garmate Yeh hein
Waar jo Khatm e Nabuwwat per thay
Ab woh Beej ugaate Yeh hein
Yani Apni Nabi Japne ko
Taskin Bakhsh Banate Yeh hein
Apne Naam per isteqlalan
Salle Ala Bhatwate Yeh hein
Behki Zubaan aur Din bhar Behki
uff uff Kia Behkate Yeh hein
Inki Sana thi Nabi ki Zam thi
Yun ye uzr manate Yeh hein
Inko Bura Kehta to yeh heela
Sunte Ya Jal Jate Yeh hein
Sheikh Ji Mirza ke hoye Waris
Sheikhi Jis pe Dikhate Yeh hein
Baptisma Mirza se Paya
Balke usey Sharmate Yeh hein
Maa ka Adab Kafir bhi kare ga
In ki Suno kia Gaate Yeh hein
Waqiya Dhalein Baan ka Aana
Zan ka Zahen Larate Yeh hein
Jin per Lakhun Maayein Tasadduq
Tabeer unki banate Yeh hein
Kiyun dab e Siddiqa karein kia
Deen ka Dena Dharate Yeh hein
Woh to Musalmano ki Maa hein
Kab Islam Rikhate Yeh hein
Inki Joro Daad hai Bad hai
Badr o Daad hi Paate Yeh hein
kaukaba mein Satr hi thay Jin Per
Qaroon Ganj Basate Yeh hein
yun to do so tees hein ab kis
Tahtus Sara ko Jaate Yeh hein
chapter 7 . Dua for his students and
friends and khulafa
Tere Raza Per Teri Raza ho Us se Ghazab Thar Raate Yeh hein
Balke Raza ke shagirdun ka Naam liye Ghabrate Yeh hein
Hujjatul Islam Hazrat Maulana HAMID RAZA KHAN Alayhirrahmah
Haamid-o-Minni Ana Min Hamid
Hamd se Hamd Kamate Yeh hein
Hazrat Maulana ABDUS SALAAM Jabalpuri Alayhirrahmah
Abd-e-Salaam Salamat Jis se
Sakht Aafaat mein aate Yeh hein
Malik-ul-Ulema Hazrat Maulana ZAFARUDDIN Bihari Alayhirrahmah
Mere Zafar ko Apni Zafar de
Us se Shikastein Khaate Yeh hein
Sadrush Sharia Hazrat Maulana AMJAD ALI Alayhirrahmah
Mera Amjad Majad ka Pakka
Us se bahut Kachiyate Yeh hein
Sadrul Afazil Hazrat Maulana NAEEMUDDIN Muradabadi Alayhirrahmah
Mere Naeemuddin ko Naemat
Us se Bala mein Samate Yeh hein
Hazrat Maulana Sayyed AHMED ASHRAF Kichochvi Alayhirrahma
Ahmed Ashraf Hamd-o-Sharaf le
Us se Zillat Paate Yeh hein
Hazrat Maulana Sayyed DEEDAAR ALI shah Alayhirrahmah
Maulana Deedaar-e-Ali ko
Kab Deedaar karate Yeh hein
Maulana AHMED MUKHTAAR Razavi Mirthi Alayhirrahmah
Majboor Ahmed Mukhtaar inko
Karta hai Marjaate Yeh hein
Hazrat Maulana ABDUL ALEEM Razavi Mirthi Alayhirrahmah
Abd-e-Aleem ke ilm ko Sun kar
Jahl ki Bahl Bhagate Yeh hein
Hazrat Maulana ABDUL AHAD Razavi Alayhirrahmah
Ek Ek Waz e Abdul Ahad Per
kitne Nathne Phulate Yeh hein
Maulana Mohammed RAHEEM BAKHSH Razavi Alayhirrahmah
Bakhsh Raheem pe Rahmat Jis se
Aarey ke Neeche aate Yeh hein
Maulana Munshi Mohammed LA'AL KHAN Razavi Alayhirrahmah
Johar Munshi Laal pe Heera
Kha Marne ko Mangate Yeh hein
Huzoor Mufti-e-Aazam Shah Imaam MUSTAFA RAZA KHAN Alayhirrahmah
Hazrat Maulana BURHAAN-UL-HAQ Razavi Jabalpuri Alayhirrahmah
Aale Rahmaan Burhan-ul-Haq
Sharq pe Barq Girate Yeh hein
Hazrat Maulana Mohammed SHAFEE AHMED Razavi Alayhirrahmah
Taaza Zarb-e-Shafee Ahmed se
Kuhna Bukhaar Uthate Yeh hein
Hazrat Maulana HASNAIN RAZA KHAN Alayhirrahmah
De Hasnain Woh Taqbeeh inko
Jis se Bare Khisiyaate yeh hein
Najdiya mein Halchal Rahe inki
Jaise Hal un per Chalate Yeh hein
Kam ko Fuzun Afzun ko Fuzun Tar
Kar de Tera hi Khaate Yeh hein
Apno mein inke Misl Fuzun Kar
Tera Zikr Barhate Yeh hein
Dil mein Hiraas Na Laane Dena
Dil mein annee Chamkate Yeh hein
Apna karam rakh sar pe qadam rakh
Tere hi kehlaate yeh hain
Tere Gada hein Tujh per Fida hein
Tera hi Khaate Gaate Yeh hein
Transliterated by
Faqeer Mohammed Shakeel Radawi
11 Rabi ul Thani 1436
February 2015