Transliteration App
Transcription
Transliteration App
HIFAAZAT Qur'an aur Huzoor ki Duaaon ke zariye INDEX 1-Shaitaan se hifaazat ki dua 2-Kisi bhi cheez ke shar se hifaazat ki dua 3-Nazare bad ka ilaaj 4-Kisi se khatre ya khauf ke waqt ki dua 5-Imaan par saabit qadmi ki dua 6-Gam wa pareshaani door karne ke liye 9-Beemaari (Nazare bad wagaira) se hifaazat ki dua 10-4 Cheezon se bachne ki dua 11-Jaadu se hifaazat ka nuskha 12-Museebaton se najaat haasil karne ka nabawi nuskha 13-Har qism ki aafiyat ka nabawi nuskha 14-Badan ki salaamati ki dua 15-Nuqsaan se bachne ki dua 16-Tamaam zarooraton ka hal 17-Shaitaan ke asraat se hifaazat aur bhi kai fawaaid 18-Aaseb aur saher wagaira se hifaazat ka Nabawi nuskha 19- Sageera gunaahon se maafi ki dua 20-Har Farz namaaz ke baad Padhein 21-Manzil 22-Nuqsaan se hifaazat (Istikhaare ki Dua) 1 - Shaitaan se hifaazat ki dua Subah ke waqt padhein Aoozu billaahis samee’il aleemi minash shaitaanir rajeem. [Amalul Yaum Wallaila Libni Sinni : 49, Anas Bin Maalik ] Tarjama : Main shaitaan mardood se Allah ki panaah mein aata hoon, jo sunne waala aur jaanne waala hai. Fazeelat / Hadees : Rasoolullah ne farmaaya : Jo shakhs subah ke waqt yeh dua padhega, to shaam tak shaitaan ke shar se mehfooz ho jaayega. 1 2 - Kisi bhi cheez ke shar se hifaazat ki dua Aoozu bikalimaatil laahit taammaati min sharri maa khalaq. [Muslim : 7053, Khaula Binte Hakeem ] Tarjama : Main Allah Ta'ala ke mukammal kalimaat ki panaah mein aata hoon tamaam makhlooq ke shar se. Fazeelat / Hadees : Rasoolullah ne farmaaya : Jo shakhs kisi bhi jagah par qayaam kare phir yeh dua padhe to jab tak wahaan thhehra rahega koi cheez us ko nuqsaan nahin pohnchaayegi. 2 3 - Nazare bad ka ilaaj Allaahumma azhib harraha wa bardaha wa wasabaha. [Amalul Yaum Wallaila Nasai: 1033, Aamir Bin Rabee'ah ] Tarjama : Aye Allah! Nazare bad ki garmi aur us ki thhandak aur us ki takleef ko door farma. Fazeelat / Hadees : Ek shakhs ko nazar lag gayi thi to Aap ne us ke seene par haath rakh kar yeh dua farmaai. 3 4 - Kisi se khatre ya khauf ke waqt ki dua Allaahumma inna naj’aluka fee nuhoorihim wa naoozubika min shuroorihim. [Abu Daawood: 1537, Abdullaah Bin Abi Bardah ] Tarjama : Aye Allah! Ham (apni hifaazat ke liye) aap ko un dushmanon ke muqaable mein pesh karte hain aur un ki buraai se panaah chaahte hain. Fazeelat / Hadees : Rasoolullah jab kisi se khatra mehsoos karte, to yeh dua farmaate. 4 5 - Imaan par saabit qadmi ki dua Ya muqallibal quloobi sabbit qalbi alaa deenika. [Tirmizi : 2140, Anas ] Tarjama : Aye dilon ko pherne waale! Mera dil apne Deen par jama de. Fazeelat / Hadees : Rasoolullah kasrat se yeh dua padha karte the. 5 6 - Gam wa pareshaani door karne ke liye Yaa hayyu yaa qayyoom Birhamatika astageesu. [Sunanut Tirmizi : 3524, Anas Bin Maalik ] Tarjama : Aye hamesha zinda rehne waale, sab ko thaamne waale ! Main teri rahmat ki ummeed ke saath tujh se faryaad karta hoon. Fazeelat / Hadees : Rasoolullah ko jab koi gam ya pareshaani laahiq hoti to yeh kaha karte. 6 Subah wa Sham 7 martaba padhein Allahumma ajirnee minannaar [Abu Daaood : 5079] Tarjama : Aye Allah! mujhe jahannam se najaat ata farmaaiye. Fazeelat : Muslim bin Haaris Tameemi farmaate hain ke Rasoolullah ne un ke saath sar goshi farmaayi aur farmaaya ke jab tum magrib ki namaaz se faarig ho jaao to 7 martaba yeh dua padho, agar tum yeh dua padh loge aur usi raat mein tumhaari wafaat ho jaaye, to tumhaare liye jahannam se khalaasi likh di jaayegi, aur jab tum fajr ki namaaz padh lo, to ye dua padh liye karo, agar tum aisa kar lete ho, aur us din tumhaara intiqaal ho jaata hai, to tumaare liye jahannam se chhutkaara likh diya jaayega. 7 8 - Dunya wa Aakhirat ki aafiyat ke liye sab se behtareen dua Allaahumma inni as’alukal aafiyata wal muaafaat fiddunya wal aakhirah Tarjama : Aye Allah mein aap se dunya wa aakhirat ki aafiyat talab karta hoon. Fazeelat : Ek shakhs ne Huzoor ki khidmat mein aakar arz kiya ke aye Allah ke Rasool ! sab se behtar dua kaun si hai. Aap ne darje baala dua maangne ki talqeen farmaayi, doosre din bhi us ne aakar yahi sawaal kiya. Aap ne use yahi dua bataayi, jab teesre din aakar us ne yahi sawaal kiya, to Aap ne yahi dua bataayi aur farmaaya : jab tumhein dunya wa aakhirat ki aafiyat mil gayi to tum kaamiyaab ho gaye. 8 9 - Beemaari (Nazare bad wagaira) se hifaazat ki dua Bismillaahi arqeeka min kulli shai’in yu’zeeka min sharri kulli nafsin aw aini haasidin, Allahu yashfeeka bismillaahi arqeeka. [Muslim : 5829, Abu Sa'eed ] Tarjama : Main Allah ka naam le kar tujh par dam karta hoon, har us cheez se bachane ke liye jo tujhe takleef deti hai aur har nafs ke shar se aur har haasid ki aankh ke shar se. Allah tujhe shifa de, 9 Allah ka naam le kar main tujh par dam karta hoon. Fazeelat / Hadees : Hazrat Jibraeel Nabi ke paas aaye aur arz kiya : Aye Muhammed ! Aap beemaar hain ? Aap ne farmaaya : Ji haan, to Jibraeel ne yeh dua di. 10 10 - 4 Cheezon se bachne ki dua Allahumma inni aoozubika min qalbil laa yakhsha’u wa min duaail laa yusma’u wa min nafsil laa tashba’u wa min ilmil laa yanfa’u, aoozubika min haaulaail arba. [Tirmizi: 3482, Abdullah bin Amr 11 ] Tarjama : Aye Allah! Main na darne waale dil, qubool na hone waali dua, sair na hone waale nafs aur nafa na pohnchaane waale ilm se teri panaah chaahta hoon, Aye Allah! Main in 4 cheezon se teri panaah leta hoon. Fazeelat / Hadees : Rasoolullah dua farmaate the. 12 yeh 11 - Jaadu se hifaazat ka nuskha Aoozu biwajhillaahil azeemil lazi laisa shaiun a’zama minhu wa bikalimaatil laahit taammaatil laati laa yujaawizuhunna barrunw walaa faajirunw wa bi’asmaail laahil husna kulliha maa alimtu minha wama lam a’lam min sharri maa khalaqa wa bara’a wa zara’a. [Muatta Imaam Maalik : 3502, Ka'ab Ahbaar 13 ] Tarjama : Main Allah ki us azeem zaat ki panaah maangta hoon ke jis se koi cheez badi nahin hai, aur (panaah maangta hoon) Allah ke un kalimaat ki jin se aage nahin badhta hai koi nek aur koi bura shakhs, aur (panaah maangta hoon) Allah ke tamaam naamon ki jo mujhe maaloom hai aur jo mujhe maaloom nahin hai, un tamaam cheezon ki buraai se jo us ne paida ki aur thheek banaai aur phelaai. Fazeelat / Hadees : Hazrat Ka'ab Ahbaar farmaate hain ke agar mein yeh dua na padhta to yahood jaadu ke zor se mujhe gadha bana dete. 14 12 - Museebaton se najaat haasil karne ka nabawi nuskha Subah wa shaam padhein. 15 Allaahumma anta rabbi laa ilaaha illa anta alaika tawakkaltu wa anta rabbul arshil azeem. Maa shaa’allaahu kaana wa maa lam yasha’ lam yakun wa laa haula walaa quwwata illaa billaahil aliyyil azeem. A’lamu annal laaha alaa kulli shai’in qadeeruw wa annal laaha qad ahaata bikulli shai’in ilmaa. Allaahumma inni aoozubika min sharri nafsi Wa min sharri kulli daabbatin anta aakhizun bi naasiyatihaa Inna rabbi alaa siraatim mustaqeem. [Ibne Sunni : 57, Abu Darda ] Tarjama : Aye Allah ! Aap hi mere paalne waale hain, aap ke siwa koi ibaadat ke laaiq nahin hai, Aap hi par main ne bharosa 16 kiya aur aap hi azeem arsh ke maalik hain, jo kuchh Allah ne chaaha woh huwa aur jo Allah ne nahin chaaha woh nahin huwa aur gunaahon se bachne aur nek kaamon ke karne ki taaqat Allah ki madad hi se milti hai jo bulandi waala, azmat waala hai, main yaqeen karta hoon ke Allah Ta'ala har cheez par poori qudrat rakhne waala hai aur yeh ki Allah Ta'ala ka ilm har cheez ko ghere huwe hai. Aye Allah! main Aap ki panaah maangta hoon, mere nafs ki buraai se aur har us jaanwar ki buraai se jis ki peshaani Aap ke qabze mein hai, beshak mera Rab seedhe raaste par hai. Fazeelat / Hadees : Hazrat Abu Darda farmaate hain ke main ne Rasoolullah ko farmaate huwe suna ke jo shakhs in kalimaat ko subah padhe to shaam tak koi museebat nahin pohnchegi aur shaam ko padhle to subah tak koi museebat nahin pohnchegi. 17 13 - Har qism ki aafiyat ka nabawi nuskha Subah wa shaam padhein. Allaahumma inni as’alukal afwa wal aafiyata fiddunya wal aakhirah. Allaahumma inni as’alukal afwa wal aafiyata fee deeni wa dunyaaya wa ahlee wa maalee, Allaahummas tur 18 auraatee wa aamin rau’aatee, Allaahummah faznee mim baini yadayya wa min khalfee wa ainyameenee wa an shimaalee wa min fauqee wa aoozu bi’azmatika an ugtaala min tahtee. [Abu Daawood : 5074, Ibne Umar ] Tarjama : Aye Allah main aap se aafiyat maangta hoon duniya aur aakhirat mein, Aye Allah main aap se maafi aur salaamati maangta hoon mere deen par meri duniya mein aur mere ghar waalon mein aur mere maal mein, Aye Allah ! dhaanp le mere aibon ko aur khauf ki cheezon se mujhe amaan de. Aye Allah! meri hifaazat kar mere aage se aur mere peechhe se aur mere daayein se aur mere baayein se aur mere oopar se. Aur main Aap ki azmat ki panaah leta hoon is se ke halaak kiya jaaoon mere neeche se. Fazeelat / Hadees : Huzoor hamesha subah wa shaam yeh dua padha karte the. 19 14 - Badan ki salaamati ki dua Subah wa shaam 3 martaba padhein. Allaahumma aafinee fee badani, Allaahumma aafinee fee sam’ee, Allaahumma aafinee fee basari, laa ilaaha illa anta. [Abu Daawood : 5090, Abu Bakrah ] Tarjama : Aye Allah! mere badan ko durust rakhiye, Aye Allah! mere kaan aafiyat se rakhiye, Aye Allah! meri aankhein aafiyat se rakhiye, aap ke siwa koi ibaadat ke laaiq nahin. Fazeelat / Hadees : Rasoolullah rozaana subah wa shaam ke waqt yeh dua 3, 3 baar padha karte the. 20 15 - Nuqsaan se bachne ki dua Subah wa shaam 3 martaba padhein. Bismillaahillazee laa yazurru ma’asmihee shaiun fil arzi walaa fissamaai wa huwas sameeul aleem [Tirmizi : 3388, Usman Bin Affaan ] Tarjama : Allah ke naam ke saath main ne subah ki jis ke naam ki barkat se koi cheez nuqsaan nahien pohnchaati, zameen mein aur na aasamaan mein aur wahi khoob sunne waala, bada jaanne waala hai. Fazeelat / Hadees : Rasoolullah ne farmaaya: Jo shakhs subah wa shaam 3 martaba yeh dua padh liya kare, use koi cheez nuqsaan nahin pohncha sakti. 21 16 - Tamaam zarooraton ka hal Subah wa shaam 7 martaba padhein. Hasbiyallaahu laa ilaaha illa huwa, alaihi tawakkaltu wa huwa rabbul arshil azeem. [Abu Daaood : 5081, Abu Darda ] Tarjama : Mere liye Allah Ta'ala kaafi hain jis ke alaawa koi maabood nahien, Us par main ne bharosa kiya aur woh arshe azeem ka Rab hai. Fazeelat / Hadees : Hazrat Abu Darda farmaate hain ke jo shakhs subah wa shaam 7 martaba yeh dua yaqeen ke saath ya bagair yaqeen ke padh le to Allah taala us ke har aham mas'ale ki kafaalat farmaayeinge. 22 17 - Shaitaan ke asraat se hifaazat aur bhi kai fawaaid 10 Martaba subah aur 10 martaba shaam mein padhein. Laa ilaaha illallaahu wahdahu laa shareeka lahu, lahul mulku wa lahul hamdu wa huwa alaa kulli shai’in qadeer. [Musnade Ahmad: 8719, Abu Hurairah ] Fazeelat / Hadees : Jo Shakhs subah yeh kalimaat padhe to us ke liye 100 nekiyaan likhi jaayegi aur 100 gunaah maaf kiye jaaenge, aur us ke liye ek gulaam aazaad karne ke baraabar sawaab hoga. aur shaam tak hifaazat mein rahega aur jis ne shaam ko padha to subah tak us ke liye aisa hi hota hai. 23 18 - Aaseb aur saher wagaira se hifaazat ka Nabawi nuskha Shaam mein 3 Martaba padhein. Amsainaa wa amsal mulku lillaahi, wal hamdu kulluhu lillaahi, aoozu billaahillazi yumsikus samaa’a an taqa’a alal arzi illaa bi’iznihi min sharri maa khalaqa wa zara’a wa min sharrish shaitaani wa shirkihi. [Amalul Yaum Wallaila liibne sunni : 67] Tarjama : Allah ke liye ham ne aur poori saltanat ne shaam ki, tamaam ta'areef Allah ke liye hai, main panaah leta hoon 24 Allah ki, jis ne aasmaan ko zameen par girne se roke rakha hai, makhlooq ki buraai se aur us buraai se jo phaili hai aur shaitaan ke shar aur us ke shirk se. Fazeelat / Hadees : Rasoolullah ne Abdullaah bin Amr bin Aas se farmaaya: Bada achchha hota ke shaam ke waqt is dua ko 3 martaba padh lete. 19 - Sageera gunaahon se maafi ki dua Subhaanallaahi wa bihamdihi [Bukhaari : 6405, Abu huraira ] Tarjama : Allah ki zaat tamaam uyoobon se paak hai aur ta’areef usi ke liye hai. Fazeelat : Rasoolullah ne irshaad farmaaya : Jis ne rozaana 100 martaba yeh dua padhi us ke tamaam (sageera) gunaah maaf kar diye jaayeinge, agar che woh kasrat mein samandar ke jhaag ke baraabar hon. 25 20 - Har Farz namaaz ke baad Padhein Fazeelat / Hadees : Rasoolullah ne farmaaya : jo shakhs har farz namaaz ke baad. 33 martaba Subhaanallaah 33 martaba Alhamdulillaah aur 34 martaba Allaahu akbar padhta hai woh kabhi nuqsaan mein nahi rehta. [Muslim : 1377, Ka’ab bin Ujrah 26 ] 21 - Manzil 27 28 29 30 31 32 33 34 35 36 37 1 2 3 4 6 5 2 1 5 3 4 1 38 2 3 4 5 1 2 3 5 4 5 6 39 Fazeelat / Hadees : Rasoolullah farmaate hain ke jis ne istikhaara kar liya kare woh kabhi nuqsaan nahi uthaayega. [Tabraani Ausat : 6627, Anas bin Malik ] Allah ke faisle par raazi rehna insaan ki nek bakhti ki alaamat hai aur istikhaara na karna bad qismati hai. [Tirmizi : 2151, Sa'ad ] Rasoolullah istikhaara is tarah sikhaate the, jaise Qur'aan ki sooratien sikhaate. Aap farmaate hain jab koi ahem kaam ho to 2 rakaat istikhaara ki niyyat se nafl namaaz padhne ke baad istikhaare ki yeh dua apdhein. [Bukhari : 6382, Jaabir ] Note : Lafz 2 jagah aaya hai, yahaan pahnoche to apne kaam ka naam lein ya dil mein us kaam ka khayaal karein jis ke baare mein ishtikhaara kiya hai. Istikhaara ka jawaab : Khawaab mein us cheez ko dekh le ya dil mein koi baat jam jaaye ya jis cheez ke liye istikhaara kiya gaya hai us ke liye rasta aasaan ho jaaye ua rukaawat paida ho jaaye. 41 Allahumma inni astakheeruka bi ilmika wa astaqdiruka bi qudratika wa as’aluka min fazlikal azeemi fa-innaka taqdiru wala aqdiru wa ta’lamu wala a’lamu wa anta allaamul guyoob. Allaahumma in kunta ta’lamu anna haazal amra khairullee fee deeni wa ma’aashi wa aaqibati amree faqdirhu lee wa yassirhu lee summa baarik lee feehi wa in kunta ta’lamu anna haazal amra sharrul lee fee deeni wa ma’aashi wa aaqibati amri fasrifhu anni wasrifni anhu waqdir liyal khaira haisu kaana summa arzini bihi. 42 Tarjama : Aye Allah ! Main tere ilm ke zariye tujh se bhalaai maangta hoon, aur teri qudrat ke zariye tujh se qudrat talab karta hoon aur tere azeem fazl ka tujh se sawaal karta hoon, is liye ke tu (har kaam ki) qudrat rakhta hai aur main (kisi bhi kaam ki) qudrat nahin rakhta aur tu (sub kuchh) jaanta hai aur main (kuchh) nahin jaanta, aur tu hi tamaam chhupi huwi (baaton) ko achchhi tarah jaanne waala hai. Aye Allah ! agar tere ilm mein mere liye yeh kaam mere deen aur duniya aur mere kaam ke anjaam mein behtar hai to us ko mere liye muqaddar farma, aur us ko mere liye aasaan kar de phir mere liye us mein barkat ata farma aur agar tere ilm mein mere liye yeh kaam mere deen aur duniya mere kaam ke anjaam mein bura hai to us ko mujh se aur mujh ko us se door farma aur mere liye bhalaai muqaddar farma, jahaan kahin bhi ho, phir us par mujhe raazi farma. 43
Similar documents
treatment - What is Ruqyah?
HOGA AUR JULAB HONGY USME INSHA ALLAH SAB KHILAYA HOWA AUR PILAYA HOWA JADU NIKAL JAYE GA. NOTE : JIS KO JADU KHILAYA AUR PILAYA GAYA HOGA USKI ALAMAT YE HAI KE AKSAR O BESHTAR USKO GABZ KI TAKLEEF...
More information