Nisaab - Deeniyat
Transcription
Nisaab Syllabus Zaroori wa ahem kitaabon ya ilmi mazaameen ki ek khaas miqdaar, jis se talibe ilm ek muddat mein achhi shalaahiyat paida kar ke khaas kaam ke liye tayyaar ho jata hai, is ko nisaab kehte hain. Har ek taaleemi idara (madrasa, school, college) mein padhne waale bachchon ke liye nisaab hota hai. Nisaabe taaleem ke zariye chaaha jaane wala hadaf (Target) haasil kiya ja sakta hai. Nisaab hone se talaba ko bhi maaloom hota hai ke hamein kis saal mein kya padhna hai. Nisaab hone se nisaab ki tay ki huwi miqdaar padha kar talaba mein jaroori taaleemi liyaaqat wa salaahiyat paida karne mein sahoolat hoti hai. Jin idaaron mein nisaab nahi hota wahaan bachche lambe waqt mein bhi bahot saari jaroori cheezein seekhne se mahroom reh jate hain. Taalibe ilm nisaab ke zariye bahot saari cheezein sahoolat ke saath kam waqt mein hasil kar leta hai. Nisaab ki wajah se taaleem wa tarbiyat ki ek mut'ayyan miqdaar ustaaz, waalidain aur sarparaston ke saamne hoti hai, jiski wajah se ustaaz ko padhaane mein aur waalidain ko nigraani mein sahoolat hoti hai. 31. Deeniyat Nisaab A. Deeniyat Nisaab kaise bana? 1 Hindustaan ke mukhtalif ilaaqon ka daura aur un mein jaari makaatib ka jaaiza lene ke baad nisaab ki zaroorat mehsoos ki gayi. 2 Hindustaan aur baahar ke mulkon ke mukhtalif nisaab ko jama kiya gaya aur unka mutaala karke unke tarz wa tareeqe se faaida uthaaya gaya. 3 Hindustaan ke mash’hoor wa maaroof Deeni idaaron se faarig ulama-e-kiraam ki ek jamaat ne is nisaab ko tayyaar kiya hai, is liye musannif ka naam nahein likha gaya hai. 4 Akaabir ki kitaabon masalan Nooraani qaaida, Behishti zewar, Taaleem-ulIslaam, Deeni taaleem ka risaala wagaira se mawaad liya gaya hai. 5 Madaaris (Deeniyat ke center) ke zimmedaaron se mut’addad majlison mein nisaab se mut’alliq mashware kiye gaye. 6 Nisaab tayyaar hone ke baad akaabir ki khidmat mein pesh kiya gaya aur unke mashwaron ke mutaabiq tabdeeli ki gayi. 7 Makaatib mein chand saal nisaab jaari karne ke baad padhaane waale asaatiza se mashwara liya gaya aur unke tajarbaat ki roshni mein nisaab ko mazeed behtar aur mufeed banaane ki koshish ki gayi. 8 Kitaab ki isha’at “Ahem charitable Trust” se huwai hai, yeh ek rifaai idara hai. B. Bachchon ke liye Deeniyat Nisaab Bachchon ki taaleemi umar (jo umooman 5 saal se 20 saal tak hoti hai) tak school aur college ki taaleem ke saath saath ilme deen seekhaane ke liye 15 saal ka nisaab banaaya gaya hai, jise 3 hisson mein taqseem kiya gaya hai : (1) 5 saala ibtidaai (primary) nisaab, bachchon aur bachchiyon ke liye banaaya gaya hai. (2) 5 saala saanwi (secondary) nisaab, ladkon aur ladkiyon ke liye alag alag banaaya gaya hai. (3) 5 saala izaafi (advance) nisaab, naujawaan ladkon aur ladkiyon ke liye alag alag banaaya gaya hai. C. Deeniyat nisaab ki khusoosiyaat Sirf 1 ghante ka nisaab 1 Rozaana ek ghante ki tarteeb par banaaya gaya hai, jis ke zariye talaba apni asri taaleem ke saath saath rozaana kuch na kuch deeni taaleem aasaani se haasil kar sakte hain. 2 School, Tuition aur deegar masroofiyaat ki waja se bachchon ke paas waqt kam rehta hai. 3 Nisaab ke liye ek se sawa ghante ka waqt muqarrar kiya gaya hai, taake tamaam bachche sahoolat ke saath deeni taaleem haasil karne ke liye aa sakein. Mo'tabar wa mustanad (Authentic) Mawaad 1 Is nisaab ko mustanad banaane ke liye is ke mawaad ke saath in ka hawaala mo'tabar kitaabon se daala gaya hai. Ikhtilaaf i baaton se parhez 1 Deeniyat nisaab mein mawaad musbat andaaz mein pesh kiya gaya hai, ikhtilaafi baaton se parhez kiya gaya hai. Khubsoorat colorful kitaab 1 Har saal ki kitaab ke sare waraq (cover page) ka rang alag alag rakha gaya hai, taake pehchaan ne mein aasaani ho aur Kitaab ke 5 buniyaadi anaaween ke liye bhi alag alag rang ka intikhaab kiya gaya hai aur mazmoon ki shanaakht ke liye safhaat ke kinaare par gehre rang ke nishaanaat (Tag) lagaaye gaye hain, is tarah kitaab rangeen aur bachchon ke liye dilchasp bani hai. Aasaan zabaan wa umar ke munaasib mawaad 1 Bachchon ki umar aur un ki zehni satah ke lihaaz se mawaad aur zabaan ka intikhaab kiya gaya hai. 2 Mazaameen aasaan andaaz mein diye gaye hain. 3 Shariat ka lihaaz rakhte huwe bachchon ki dichaspi ke liye tasweerein bhi di gayi hain. Mulki aur gair mulki zabaanon me tarjama 1 Urdu English Urdu English Transliteration Arabic Hindi Gujarati Tamil Asaami Malayalam Bangla Telugu Manipuri Deeni taaleem haasil karne mein zabaan rukaawat na bane aur ziyaada se ziyaada log nisaab se faaida uthaayein, isi maqsad se nisaab ka mukhtalif zabaanon mein tarjama kiya gaya hai. Jaise english, hindi, gujarati, malayalam, tamil, telugu, manipuri, aasaami, bangla, sawaahili, arabic, brail wagaira. Kitaab ke ibtidaai saf haat mein 6 baatein pesh ki gayi hain 1 Pesh lafz : Ilme deen ki ehmiyat wa fazeelat aur ummate muslima ki zimmedaari bataayi gayi hain. 2 Nisaab ka ta'aruf :Jis se nisaab ke anaaween aur mazaameen ki waaqifiyat hogi. 3 Nisaab ki khusoosiyaat : Ta'aruf ke baad nisaab ki khusoosiyaat di gayi hain, us se insha Allah nisaab ki umda tarteeb ka andaaza hoga. 4 Nisaab padhaane ka tareeqa : Nisaab ko nizaam ke saath murattab kiya gaya hai, jis ke bagair nisaab ka khaatir khwaah faaida nahein ho sakta, isi garaz se padhaane ka tareeqa bhi diya gaya hai, jis se nisaab ko makaatib mein jaari karne mein madad milegi. 5 6 Ijmaali naqsha : Is se makaatib ke zimmedaaraan aur waalidain ko maaloom hoga ke 5 saal mein bachcha kya padhne waala hai. Maheena waar mazaameen aur fehrist : Is se har maheene ka target aur saal bhar padhaaye jaane waale mazaameen ka tafseeli ilm hoga. Maheena waar mazaameen ke baad kitaab mein padhaaye jaane waale mazaameen ki fehrist safa number ke saath di gayi hai. 32. 5 saala ibtidaai (primary) nisaab Ibtidaai nisaab mein naazira-e-qur'an mukammal karne ke saath saath deen ki bahot hi buniyaadi baatein sikhaayi gayi hain. 5 Buniyaadi an aaween aur 14 zeli mazaameen Bachchon ke liye 5 Saala primar y course me in 5 bun iyaadi ana aween aur un ke tahat 14 zeli mazaameen diye gaye hain. Hamd aur Naat Nisaab mein har saal ibtidaaiyya ke tahat chhoti aur aasaan ek hamd aur ek naat di gayi hai. 5 saal mein 5 hamd aur 5 naatein di gayi hain. Qur'an ke tahat 2 zeli mazaameen hain : No.1 Nooraani Qaaida : Qur'ane kareem ko sahi aur tajweed se padhne ke liye nooraani qaaida ko kitaab mein shaamil kiya gaya hai, nooraani qaaida ek saal aur 8 maah mein mukammal hoga, aur naazira-equr'an 3 saal aur 2 maah mein mukammal hoga. No. 2 Hifze Surah : Qur'ane kareem ki soorton ko yaad kraane ke liye Hifze surah ka mazmoon rakha gaya hai. Is liye ke namaaz mein qur'ane kareem sahi padhna farz hai. Is tarah 5 saal mein 21 soortein zabaani ho jaayegi. Hadees ke tahat 2 Zeli mazaameen hain : No.3 Dua wa sunnat : Rozaana pesh aane waale aamaal ki masnoon duaaein aur sunnatein di gayi hain aur khaas khaas mauqon par kahe jaane waale masnoon kalimaat bhi shaamile nisaab kiye gaye hain, is tarah bachche 5 saal mein 38 aamaal ki duaaein aur 13 aamaal ki sunnatein seekh leinge. No.4 Hifze Hadees : 40 Hadeesein yaad karne par Huzoor r ne jannat ki bashaarat di hai, is liye 5 saal mein chhoti aur aasaan 40 ahaadees di gayi hain, taake har bachcha un ko yaad kar ke us fazeelat ko haasil karle. Aqaaid wa Masaail ke tahat 4 Zeli mazaameen hain : No.5 Aqaaid : 5 saal mein Aqaaid ke tahat islaam ke 5 kalime aur imaane mufassal mein aayi huwi baatein sawaal wa jawaab ke andaaz mein di gayi hain. No.6 Namaaz : 5 saal mein wuzu aur namaaz sikhaane ke saath saath mukammal namaaz aur us ki duaaein, mazeed 6 namaazon; witr, juma, musaafir aur beemaar ki namaaz ke padhne padhaane ka tareeqa aur un ki amali mashq bhi di gayi hain. No.7 Asma-e-Husna : Allah ta'ala ke sifaati naamon mein zabardast taaseer hai, un ko yaad karne par jannat ki bashaarat di gayi hai, isi liye 5 saal mein Allah ta'ala ke 99 Sifaati naam diye gaye hain. No.8 Masaail : Zindagi ko shareeat ke mutaabiq guzaarne ke liye Masaail ka jaanna bahot zaroori hai. Masaail ke zariye amal ka sahi aur galat hona maaloom hota hai. Chunaanche 5 saal mein namaaz aur tahaarat ke zaroori Masaail jaise Gusl, wuzu, namaaz ke fraaiz aur waajibaat wagaira ke saath saath zakaat roza aur haj ka mukhtasar ta'aruf diya gaya hai. Islaami tarbiyat ke tahat 4 Zeli mazaameen hain : No.9 Islaami maaloomaat : is ke tahat islaami sakhsiyaat aur islaami maqaamaat wagaira se mutaalliq 110 sawaalaat wa jawaabaat diye gaye hain. No. 10 Bayaan wa Dua : Deen ki baatein logon tak pahonchaane ke liye har ek bayaan aur Allah Ta'ala se maangne ki aadat daalne ke liye bayaan ke baad ek qur'ani dua di gayi hai. Is tarah bachcha 5 saal mein 5 bayaan aur 5 qur'ani duaaein seekh lega. No. 11 Seerat : 5 saal mein Huzoor r aur Khulafa-e-raashideen; Hazrat Abu bakr, Hazrat Umar, Hazrat Usmaan aur Hazrat Ali RZ ki seerat bachchon ke andaaz mein di gayi hai. No.12 Aasaan deen : 5 Saal mein deen ke Mash'hoor 5 Sho'be Imaaniyaat, ibaadaat, muaamlaat, muaasharat aur akhlaaqiyaat par aasaan andaaz mein 40 asbaaq diye gaye hain. Zabaan ke tahat 2 Zeli mazaameen hain : No.13 Arabi : 5 saal mein ginti rozaana istemaal hone waali cheezon ke naam, islaami maheenon aur dinon ke naam aur jism ke aaza ke naam diye gaye hain. No. 14 Urdu : Hamaare akaabir ki aksar kitaabein urdu zabaan mein hain, un se bharpoor faaida uthaane ke liye urdu zabaan ka seekhna zaroori hai. 5 saal mein mukammal Urdu padhna likhna sikhaaya jaaye ga. 5 Saala Secondary Course Yeh nisaab padhne waale talaba wa taalibaat ki umr taqreeban 11, 12 saal hogi, chunaanche is nisaab mein un ki umar ke etibaar se aainda pesh aane waali zaroori baatein di gayi hain, jaise tahaarat, namaaz, roza, namaaze janaaza wagaira ke ahkaam. Yeh nisaab ladko aur ladkiyon ke liye alag alag tayyaar kiya gaya hai, jisme ladko aur ladkiyon ki zaroorat ke lihaaz se chand mazaameen mein farq kiya gaya hai; jaise darse hadees, Masaail wa namaaz, seerat wa aasaan deen ke tarbiyati asbaaq. 5 Buniyaadi anaaween aur 12 zeli mazaameen 5 saala Secondary Course mein 5 Buniyaadi anaaween aur un ke tahat 12 zeli mazaameen diye gaye hain. Hamd wa naat 5 saal mein 5 hamd aur 5 naatein di gayi hain. Qur'an ke tahat 3 Zeli mazaameen hain No.1 Tadweer ma' ilme tajweed : 5 saal mein sura-e-hujuraat se sura-e-mursalaat tak tamaam sooratein tajweed ki mukammal riaayat aur qawaaid ke ijra ke saath di gayi hai. No.2 Hifze Surah : 10 sooratein : sura-e-burooj se sura-e-lail tak aur sura-e-alaq wa sura-ebayyina di gayi hai. No.3 Darse Qur'an : Sura-e-faatiha aur 30th paara aakhri paao ki 18 sooraton ka lafzi wa muhaawari tarjama aur mukhtasar paigaam diya gaya hain. Hadees ke tahat 2 Zeli mazaameen hain No. 4 Aadaab wa duaaein : 5 Saal mein 26 duaaein ma' fazaail aur 12 aadaab diye gaye hain. No.5 Dars-e-Hadees : Imaaniyaat aur ibaadaat se mutaalliq Huzoor r ke 25 irshaadaat ka lafzi wa muhaawari tarjama aur mukhtasar tashreeh di gayi hai. Aqaaid wa Masaail ke tahat 3 zeli mazaameen hain No. 6 Aqaaid : Islaam ke buniyaadi Aqaaid ko mazeed wazaahat ke saath 5 saal mein diya gaya hai. No.7 Masaail : Islaam ke buniyaadi arkaan (Namaaz, roza, zakaat aur Haj) ke tamaam zaroori masaail ke saath zindagi ke mukhtalif haalaat aur daur mein pesh aane waale deegar ahem masaail diye gaye hain. No.8 Namaaz : Mukhtalif auqaat mein Huzoor r se saabit 8 namaazein, un ke fazaail aur un ke padhne ka tareeqa diya gaya hai. Islaami tarbiyat ke tahat 2 Zeli mazaameen hain No.9 Seerat : Hamaare Nabi r ki seerat ke 25 t a r b i ya t i m az a am e e n a u r k h u l a f a a - e raashideen, azwaaje mutah’haraat, sahaaba-e- kiraam, sahaabiyaat RZ ki zindagi ke haalaat un ke deeni, hukoomati, samaaji aur tamadduni kaarnaame 5 saal mein diye gaye hain. No.10 Aasaan deen : Deen ke mash'hoor 5 sho'bon par mushtamil mukhtalif anaaween se tarbiyati asbaaq diye gaye hain. Zabaan ke tahat 2 Zeli mazaameen hain No.11 Arabi : 5 saal mein ba-qaaida arabi zabaan ibtidaa se likhna padhna sikhaaya jaayega. No.12 Urdu : Ambiya alihimus salaam ke waaqiaat aur likhne ki mashq di gayi hai. 5 Saala Advance Course Yeh nisaab padhne waale talaba wa taalibaat ki umar taqreeban 15 se 16 saal hogi, chunaanche is nisaab mein un ki umar ke etibaar se mazeed zaroori aur ahem baatein di gayi hain. Talaba ki asri taaleem umooman umar ke is hisse mein jaari rehti hain, lihaaza asri taaleem ke saath saath deeni taaleem se waabastagi rahe aur us ka mauqa mile, is garaz se nisaab ko itni taweel muddat tak phailaaya gaya hai, is tarah ummeed hai ke maktab mein padhne wale talaba Qur'an wa Hadees ke uloom, Aqaaid wa Masaail ke zakheere, tarbiyat ke baab mein islaami hidaayaat aur arabic zabaan ka achha khaasa ilm haasil kar leinge, phir agar woh ma'ash ka (yaani rozi kamaane ke liye) rukh karta hai to yeh taaleem un ke liye mufeed saabit hongi. Yeh nisaab ladko aur ladkiyon ke liye alag alag tayyaar kiya gaya hai, jis mein ladko aur ladkiyon ki zaroorat ke lihaaz se chand mazaameen mein farq kiya gaya hai; jaise darse qur'an, darse hadees, masaail, seerat wa aasaan deen ke tarbiyati asbaaq. 5 buniyaadi anaaween aur 9 zeli mazaameen 5 Saalaa Advanc Course mein 5 buniyaadi anaaween aur un ke tahat 9 zeli mazaameen diye gaye hain. Qur'an ke tahat 2 zeli mazaameen hain (1) Uloomul Qur'an : Aam fahem zabaan mein, usoole tafseer, kutube tafseer wa mufassireen ka ta'aruf aur kutube tafseer ki khusoosiyaat di gayein hain. No.2 Darse Qur'an : Sura-e-qadar se Sura-efajar tak qur'ane kareem ki 9 sooraton aur aayatul kursi ka lafzi wa muhaawari tarjama, soorat ka mukhtasar mafhoom, shaane nuzool aur us ka paigaam aam fahem zabaan mein diya gaya hai, neez Sura-e-Ankaboot, Sura-eBaqra, Sura-e-yunus, Sura-e-kahaf, Sura-eibrahim aur Sura-e-aale imran ki chand aayaat ke ahem mazaameen diye gaye hain. Hadees ke tahat 2 zeli mazaameen : (3) Aadaab wa Duaaein : 34 aamaal ki duaaein aur 12 aadaab ke zariye zindagi ke mukhtalif sho'bon ke baare mein Aap r ki hayaate mubaaraka se rehnumaai ki gayi hain. (4) Darse Hadees : 10 mustadallaat imaame Abu hanifa u aur Imaaniyaat wa ibaadaat ke deegar ahem 6 riwaayaat ka dars, neez sunnate nabwi aur jadeed science ke 4 asbaaq ke zariye ummat ke naujawaanon ko yeh baat bataayi gayi hai ke yeh deen deene fitrat hai, neez hadees, kutube hadees wa muhaddiseene izaam ka aam fahem zabaan mein ta'aruf diya gaya hai. Aqaaid wa Masaail ke tahat 2 zeli mazaameen hain (5) Aqaaid : Tauheed, Risaalat aur aakhirat ka aqli suboot mukaalme aur mazaameen ke andaaz mein diya gaya hai, neez deegar ahem aur zaroori islaami aqaaid, usoole arba'a: qur'an, hadees, ijma, qayaas ka ta'aruf aur qayaamat ki badi badi alaamaat bayaan ki gayi hain. (6) Masaail : Fiqah aur us ki buniyaad ka ta'aruf, muaamlaat aur tijaarat ke ahkaam aur halaal wa haraam ke baare mein masaail jaise : sood, juwa, bima, incurrence, bank se jaari hone waale cards wagaira aur Huzoor r se saabit 5 namaazon jaise : Salaatut tasbeeh, namaaze istisqa aur namaaze kusoof wagaira ke padhne ka tareeqa diya gaya hain. Islaami Tarbiyat ke tahat 2 zeli mazaameen diye gaye hain (7) Seerat wa Taareekh : Huzoor r ki zindagi ke mukhtalif goshon aur sifaat par 10 asbaaq, seerat ki ahem aur mufeed kitaabon ki taraf rehnumaai, neez naamwar taaba'een, akaabir, auliya aur maazi qareeb ke ulama-e-haq mein se 35 ke haalaat pesh kiye gaye hain aur islaami taareekh se khilaafate raashida, khilaafate banu umayya, khilaafate abbaasiya aur khilaafate usmaaniya ka mukhtasar ta'aruf, khusoosiyaat aur urooj wa zawaal aur un ke asbaab diye gaye hain. (8) Aasaan Deen : Muaamalaat, muaasharat aur akhlaaqiyaat par 46 asbaaq qur'an wa hadees ki roshni mein diye gaye hain, neez islaam ka siyaasi wa ma'ashi nizaam, rusoomaat ki islaah ke liye mazaameen diye gaye hain. Zabaan ke tahat ek zeli mazmoon hai : 9) Arabic : Fe'le maazi wa muzaare se akheer tak mukhtalif af'aal ki mashq, neez mukhtalif jumlon, mazaameen aur mukaalmon ke andaaz mein intihaai sahal andaaz mein arbi zabaan ki mashq karaayi gayi hai. 33. 2 Saalaa Mardon ka nisaab Mardon ke liye 2 saalaa nisaab tayyaar kiya gaya hai. 5 buniyaadi anaaween ke tahat 10 zeli mazaameen Mardon ke 2 Saalaa nisaab mein 5 buniyaadi anaaween ke tehat 10 zeli mazaameen hain : Qur'an ke tahat 2 zeli mazaameen hain : (1) Nooraani Qaaida/ Naazira-e-Qur'an (2) Hifze Surah. Hadees ke tahat 2 zeli mazaameen hain : (3) Dua wa Sunnat (4) Hifze Hadees Aqaaid wa Masaail ke tahat 2 zeli mazaameen hain : (5) Aqaaid (6) Masaail Islami Tarbiyat ke tahat 2 zeli mazaameen hain : (7) Seerat (8) Aasaan Deen Zabaan ke tahat 2 zeli mazaameen hain : (9) Arabic (10) Urdu 3 Saalaa Aurton ka nisaab Aurton ke liye 3 saalaa nisaab tayyaar kiya gaya hai. 5 buniyaadi anaaween ke tahat 10 zeli mazaameen Aurton ke 3 Saalaa nisaab mein 5 buniyaadi anaaween ke tehat 10 zeli mazaameen hain : Qur'an ke tahat 2 zeli mazaameen hain : (1) Nooraani Qaaida/ Naazira-e-Qur'an (2) Hifze Surah. Hadees ke tahat 2 zeli mazaameen hain : (3) Dua wa Sunnat (4) Hifze Hadees Aqaaid wa Masaail ke tahat 2 zeli mazaameen hain : (5) Aqaaid (6) Masaail Islami Tarbiyat ke tahat 2 zeli mazaameen hain : (7) Seerat (8) Aasaan Deen Zabaan ke tahat 2 zeli mazaameen hain : (9) Arabic (10) Urdu
Similar documents
Leh Jeet Gya Maama! Phir se aya Obama! \(^_^)
ment me president ke role ki baat tou hoi but Rs5M or Akbar Bugti saab ke launde ne apne Zardari saab pe kisi ne ekk ungli nai khaaye 1.5M rupee :O In sabbb logon ko jo uthai :O ;) SC said ke essa ...
More informationNigraani - Deeniyat
aabaad ho gaye the, jo ilme Deen se naawaaqif the, aur is se badh kar woh ilme Deen seekhne ki fikr bhi nahin kar rahe the aur na hi woh padhe likhe qabeele waale un par koi tawajjoh de rahe the, R...
More informationTareeqa-e-taaleem
Doosre paanch maheenon waale mazaameen padhaate waqt daur ke dinon mein pehle paanch maheenon waale mazaameen ka bhi daur karaate rahein. Masalan Dua-o-Sunnat ka daur Hifz-e-Hadees ke saath, Aqaaid...
More information(Musalmaanon) Tum woh behtareen ummat ho jo logon
har fikar mand shakhs ho sakta hai, jo maktab ko munazzam karne ke liye tayyaar ho, aise shakhs ko maktab ka maqaami zimmedaar bhi kehte hain.Kisi bhi nizaam ko chalaane ke liye ek zimmedaar ka hon...
More information