JUZ 1 - Darul Arqam
Transcription
JUZ 1 - Darul Arqam
JUZ 1 OBJECTIVE OF THE COURSE-TO UNDERSTAND QURAN WHY IS THIS COURSE CALLED AS JAWAHIR PROG TRANSLATION FOLLOWED –ROMAN ENGLISH WORD TO WORD BY THE TEAM OF DARUL ARQAM How To Follow The Notes? Question And Answer Session At The End Of The Class Inshallah TESTS AND CERTIFICATION 6 TESTS- EACH COVERING 5 JUZ (PARAH) ALL TESTS ONLINE (TIME BASED) OPEN BOOK EXAM 80% PASS MARKS CERTIFICATION BY THE END OF THE COURSE EXAM FEE- SR 50 / RS 800 (TO BE PAID THROUGH OUR VOLUNTEERS OR REPRESENTATIVES) FOR ONLINE TRANSFER OR BANK DEPOSITS FOR DETAILS WHATSAPP ME ON -00919705106472 Qur’an ki Ehmiyat 1. 2. 3. 4. 5. 6. Nazil karne wale rab kaun hai? Kaunse rasool par naazil hui? Laane wale farishte kaun hai? Naazil hone wali raat? Kaunsi ummat ke liye nazil hui? Kaunse shehar me nazil hui Quran ka haq ada karne ke liye Sahi padhna Samajhna Amal karna Doosro tak pahunchana Misaalein Munafiqeen Ki 1-Aitakaadi Munafiqeen- Muhammad S.A.W Ke Aane Se Pehle Shirk, Kufr Ke Andhero Me The. Jab Aap Aaye To Mahol Raushan Hua, Lekin Unke Andar Ka Jo Noor Hai Wo Bujh Gaya. (Haq Se) Goonge, Behre Aur Andhe Hai Aur Hidayat Ki Taraf Palatna Unka Mushkil Hai 2.Amali Munafiqeen- Iman Ki Barish Ke Saath , Usme Azmayasho Ke Andhere, Bijli Aur Kadak Hoti Hai. Jab Koi Zaati Fayda Islam Me Dihkta To Iman Walo Ke Saath Ho Jaate, Jab Koi Nuksaan Dikhta Aage Nahi Badhte. Allah Chahe To Inki Dekhne Aur Sunne (Haq Aur Hidayat) Ki Salahiyat Le Le, Lekin Allah Ne Inko Mauka Diya Hai. IBRAHEEM (as) ISHAQ (as)(Falasteen) YAKOOB 12 Bete Jinse 12 Qaum Ismaeel (as)(Makkah) Ayat 40-124 Bani Israel Ka Zikr Hai Bani Israel Kaun Hai? •Bani Yaane Bete •Israel Yakoob A.S Ka Laqab Hai •Yakoob A.S Ibraheem A.S Ke Bete The Ye 12 Beto Ki Naslo Ko Bani Israel Kehte Hai 12 Me Se 1 Yusuf A.S •Moosa A.S, Harun A.S Dawood A.S, Suleman A.S, Yahya A.S Zakariya A.S Etc Sab Bani Israel Me Se Hi The •Bani Israel Ka Asli Watan Falasteen Tha •Yusuf A.S Ko Unke Bhaiyo Ne Kuwe Me Pheka, Waha Se Wo Misr Lejaye Gaye, Jab Wo Misr Me Bada Mukaam Paaye, Apne Bhaiyo Ko Misr Bulaya, Is Tarah Bani Israel Falasteen Se Misr Gaye. •Lambe Arse Tak Bani Israel Ka Misr Me Zor Raha, Lekin Dheere Dheere Wo Kamzor Hue Yaha Tak Ke Firaun Ne Unko Ghulaam Bana Liya Aur Unse Khoob Mehnat Karwata Aur Zulm Karta •Firaun Unke Beto Ko Qatl Karta Kyu Ke Kaha Jaata Hai Ke Usne Khaab Me Dekha Ke Bani Isarel Ke Ek Ladke Ki Wajah Se Uski Saltanat Qatm Hogi. Isliye Bhi Qatl Karta Taake Unki Poppulation Zyada Na Badhe •Moosa A.S Bani Israel Ki Aulaado Me Se The Lekin Allah Ne Unhe Bacha Liya Aur Firaun Ke Ghar Me Wo Parwarish Paaye •Moosa A.S Ke Zariye Allah Ne Bani Israel Ko Firaun Ke Zulm Se Bachaya, Aur Firaun Aur Uske Saathiyo Ko Red Sea Me Gharkh Kardiya •Firaun Ke Gharkh Hone Ke Baad, Bani Israel Ko Lekar Moosa A.S Sehraye Seena (Sinayi Desert) Me Gaye. Waha Unhe Falateen Wapas Haasil Karne Ke Liye Jihad Ka Hukm Hua. •Par Bani Israel Waapas Falasteen Me Daakhil Ho Paaye. •Bani Israel Ne Jihad Se Inkar Kiya To Saza Ke Taur Par 40 Saal Sehraye Seena Me Hi Rahe •Yahi Sehra Me Unpar Mann Aur Salwa Utarti, Baadalo Ka Saaya Hota Ur Paani Ke 12 Chasme Phoote •Yahi Par Kohe Toor Par Bula Kar Allah Ne Moosa A.S Ko Tauraat Ata Ki •Jab Moosa A.S Tauraat Lene Gaye, Us Waqt Bani Israel Ne Bachde Ki Pooja Shuru Kardi. •Yahi Moosa A.S Aur Harun A.S Ka Inteqaal Hua. •Moosa A.S Ke Shagird Yoosha Bin Noon Ke Time Bachde Ki Pooja Ke Baad Unki Maafi Kis Tarah Hui? 3 Tarah Ke Log The •Bachde Ki Pooja Karne Wale •khamosh Rehne Wale •Pooja Se Rokne Wale Ayah 65-66 Ashabe Sabt Ke Bare Me Hai •Sabt Yane Saturday •Ye Log Bani Israel Me Se Hi The •Samadar Ke Kinare Rehte •Allah Ne Inhe Hafte Ke Din Sirf Ibadat Me Mashghool Rehne Ka Hukm Diya, Business, Aur Duniyayi Koi Kaam Me Bhi Unhe Involve Nahi Hona Tha Saturday Wale Din •Wo Log Machli Pakadne Ka Kaam Karte •Unlogo Ne Ek Chaal Chali Ki Friday Ke Din Jaal Bicha Dete, Saturday Khud Ba Khud Machliya Jaal Me Phas Jaati, Sunday Jaal Nikal Lete •Saza Ki Taur Par Unhe Bandar Banaya Gaya •Lesson-Deen Me Tricks Aur Hila Saazi Gunah Hai. Ex-Zakat Se Bachne Maal Ko Bacho Me Taqseem Karna Yahaa Se Ibraheem A.S Ka Zikr Ibraheem A.S Ko Kayi Azmayasho Ke Baad Imam Banaya Gaya Imam ( Yahood , Nasara, Ahlemakkah, Musalman Sab Unko Mante) Ibraheem A.S Ki Kuch Azmayashein Buth Parast Walid Walid Ka Khud Unhe Jalane Laakdiya Dhona Jila Watan Kayi Saal Tak Koi Aulaad Nahi Mushkil Se Hone Wali Aulad Aur Biwi Ko Sehra (Desert ) Me Chodne Ka Hukm Bete Ko Zubah Karne Ka Hukm Etc Ayah 74 Is Ayat Me Dilo Ko Patharo Se Compare Kiya Gaya Hai Logo Ke Dil Pathar Ho Gaye Hai-Jisme Koi Khair Nahi Hai Kuch Patharo Se Paani Phoot Te Ha—Dilo Me Khair Hoti Hai Kuch Shaq Hote Hai , Phir Paani Phoot Ta Hai—Kuch Haadso Ke Baad Khair Nikalti Hai Kuch Allah Ke Khauf Se Gir Padte Hai-Allah Ke Dar Se Sajdah Karte Hai Ayah 84 Bani Israel Ke 3 Qabeele The •Banu Nadeer •Banu Qainaqa •Banu Quraiza •Arabo Me Aws Aur Khazraj Ke Beech Dushmani Thi •Bani Israel Ko Allah Ka Wada Tha Ke Ek Doosre Ka Qatl Nahi Karna Aur Naa Ke Ek Doosre Ko Gharo Se Aur Watan Se Nikalna •Lekin Arabo Ki Ladai Ke Dawran Banu Quraiza Ne Aws Ka Saath Diya Aur Banu Nadeer Aur Banu Qainaqa Ne Qazraj Ka Aur Is Tarah Aapas Me Ek Doosre Ke Qilaf Hue, Qatl Kiye Aur Gharo Se Nikale •Lekin Jab Qaidi Bankar Jaate To Bani Israel Apne Logo Ko Fidiya Dekar Chudaate •Allah Ke Kuch Ehkam Par Amal Kiya Aur Kuch Ko Toda •Aise Logo Ke Liye Duniya Aur Akhirat Me Ruswayi Hai •Lesson- Alaah Ke Tamaam Ehkam Par Amal Karna Hai, Sirf Kuch Par Karna Durust Nai JUZ 2 QATIL :- jisne qatl kiya MAQTOOL:- jo maaragaya. Yahaan par Qatl ke baare me aaya hai. Qatil ke saath maqtool ke relatives 3 qisam ka maamla karsakte hain :- 1.Qatl ke badle Qatl. 2.Qatl ke badle blood money (deeyath). 3.Maaf karsakte hain. •Hajj Ke 3 Types Hai:-1. Hajj E Tamatto:-qurbani Lazmi,makkah Se Baher Waalo Ke Liye 2. Hajj E Qiraan:-qurbani Lazmi,ek Hi Ehram Me Umrah+hajj 3. Hajj E Ifraad:-qurbani Nahi,makkah Waalo Ke Liye. Hajj Ke Mahine:-shawwal, Zilqada And Zilhajj. 8 Zilhajj Yamut Tarwiyah 9th Zilhajj Yamul Arafah 10th Zilhajj Yaumun Nahr 11,12,13 Zilhajj Ayyame tashreeq Talaaq Ka Sahi Tareeka •Sirf Halate Tohr Me •1 Waqt Me 1 Talaq •Iddat Biwi Shohar Ke Ghar Me •Iddat Ke Dauran Shohar Ko Ruju Ka Haq •Agar Iddat Ke Dauran Ruju – To Naye Nikah Ki Zaroorat Nahi (Lekin Zindagi Bhar Is Talaq Ka Shumar) •Agar Iddat Ke Dauran Ruju Nahi To Aurat Azaad (Mazeed Doosri Aur Teesri Talaaq Ki Zaroorat Nahi) •Agar Iddat Ke Baad Ruju Karna Chaho To Naya Nikah Aur Naya Mehar (Ye 3 Talaq Ke Baad Mumkin Nahi) •Teesre Talaq Ke Baad Wahi Mard Se Nikah Jayaz Nahi Yaha Tak Ke •Halaalah Haraam •Khula •Aurat Ki Taraf Se Talaq Ki Maang •Kuch Maal Ka Chodna Ya Wapas Dena •Shohar Ko Ruju Ka Haq Nahi Iddat •Talaaqi Yaafta- 3 Haiz •Bewa-4 Mahine 10 Din •Khula-1 Mahina •Hamela -Till Delivery •Jisko Haiz Naa Ata Ho-Mahino Ka Hisaab Kuch Aur Important Points •Bache Ko Doodh Pilane Wali Maa •Bache Ko Doosh Pilane Ki Muddat 2 Saal •Is Dauran Talaaq Ho Jaye To Bache Ke Walid Par Doodh Pilane Wali Maa Ke Khane Aur Kapde Ki Zimmedari •Agar Walid Faut Ho Jaye To Waris Par Doodh Pilane Wali Maa Ka Kharch •Agar Walid Aur Waldah Apsi Razamandi Se Kisi Aur Se Doodh Pilwana Chaho To Kar Sakte Hai •Bewa Ko Iddat Ke Dauran Payghaame Nikah Nahi Bhej Sakte Hai Lekin Isharatan Izhaar Kar Sakte Hai •Nikah Ke Baad , Ruksati Se Pehle Talaq Ho Jaye To Aadha Mehar Dena Hai JUZ 3 AYATH 255-AYTAL KURSI • Sabse azeem aur afzal ayath of quran • Ayaton ki sardar • Isme Allah ka introduction aur sifaath ka zikr –ism e azaam-al hayyu, al qayyum. • Allah ke sivay koi ilah nahi • Hamesha zinda hai • Hamesha qayam rehnewala hai • Usko na neendh na oong aathi hai • Aasaman o zameen sab kuch usi ka hai • Sifarish sirf uski ijazath se hogi • Past and future ka ilm rakhnewala sirf allah • Kursi aasmaan aur zameen pe chahi hui hai • Aasaman aur zameen ki hifazath nahi thakathi • Buland aur bada MAAL KHARCH KARNE KA TAREEQA • • • • • • Halaal aur umdah maal kharch karna hai Sirf allah ki razamandi ke liye maal kharch karna Sunnath ke mutabiq kharch karna hai Ehsan nahi jathana directly or indirectly, Takhleef nahi dena Dhikhawe ke liye maal nahi dena 270-NAZAR MANNATH MAANGNA : Allah se wada karna ke agar mera kaam hojaye toh main fula fula neiki ka kaam karongi. NAZAR KE CONDITIONS : • Sirf allah se maangna , allah ke ilava kisi aur se nahi • Sirf jayez cheezo me maangna • Haraam cheezo ke liye nahi • Hojaye toh karna wajib • Nazar se behter roza , namaz ke baad dua maangna DEIN (LEIN DEIN ) KA MAMLA KAISE KARNA HAI • • • • • • • • • Dein likhna hai Likhnewala adl se likhe Qarz lenewale ki responsibility likhne ki, documentation me kami na kare Qarz lenewala-agar kamzor hai toh uska wali usko dictate kare 2 Gavah lele, 2 aadmi ya 1 aadmi aur do auratein , gavaah inkaar ya susthi na kare Chota ya bada ,fixed time ka contract likhlo taake relationship me misunderstanding na ho Hazir tijarath –one time tijarath jisme wahi payment and wahi cheez lerai , likhne ki zaroorath nahi Likhnewale aur gavah ko pareshan na karo Safar me aur hadar me likhnewala na ho toh rahn rakho. RAHN MORTGAGE/ZAMAANATH Woh cheez jo zamanath ke taur pe rakh kar uske badle paise liye ja sakthe hai • Rahn qarz lenewali ki hi cheez hogi-owner wohi hoga • Usse jo fayda /nuqsan hoga who bhi owner ka hi hoga RIBA -SOOD INTEREST -thoda maal deke zyaada lena SOOD Sirf fayda –musalsal hotha hai Mehnath , zehniyath nahi lagthi Ek taraf ka faida. Maashre ki tabahi Kamayi me barkath nahi TIJARATH Faida aur nuqsan dono(profit loss sharing) Mehnath , zehniyath lagthi hai Society ka bhala. Society me tamiri kaam Kamayi me barkath ISA (A.S) KO LEKE IKHTELAFAATH : YAHUDI (JEWS): Isa as ki nabuwath ka inkaar karte. Woh yeh maanthe ke isa as suli pe chada diye gaye, qatl kardiye gaye aur dafn kardiye gaye ISAYI (JEWS): isa as allah ke beta maanthe suli pe chada diye gaye, 3 din baad dobara zinda huye aur aasmaan pe chale gaye (uta liye gaye) MUSALMAN : Ye maante ke isa as allah ke bhejehue rasool hai, na unka qatl hua aur na who sooli pe chadhaye gaye balke jism aur ruh ke saath allah ne uta liya . Wo dobara ayenge , kufr ko khatam karenge, saleeb ko todenge QURAN ME DO TARAH KE AYATH: MUHKAMATH MUTASHABIHATH Clear instructions , allah ke hukm jise aqal samajh sake .eg namaz, zakath, roza, hajj Bahum milthi jhulthi aayath. Ghaib ki cheeze jo aqal na samajh sake use milthi jhulthi cheezo se explain. Eg: jannath, jahannum, allah ki kursi. Kitab ki asal . inpe amal karna hai. Inki taweel ke peeche nahi padna hai balke sab pe iman laana hai.kyunke inki taweel sirf allah aur pokhta ilmwalo ke paas hai. Sirf who log jinke dilo me tedapan hai who inki taweel ke peeche padthe hai. Ilmwale kehthe hai: iman laaye hum sab kuch hamare rab ki taraf se hai. Jaise allah ne bataya hai hum un sab pe iman late hai. JUZ 4 Jung – e – Uhud (brief) Jange Badr ke baad kaafiro ka gussa, gazab aur badle ka irada Abu Sufyan ki leadership me lashkar ka madine ki taraf aana Musalmano me mashwara( 2 opinions) 1. Madine ke andar muqabla 2. Madine ke baahar muqabla Jinhone badr me hissa nahi liya madine ke bahar jaakar muqaabla karna chahte the Abdulla bin Ubay ka 300 admiyo ke sath lautna, munafiqath zahir hogayi. Muhammad saw ka teerandazo ko positions dena Pehle Musalmano ki jeet Maal-e-ghaneemat ko bataurna ke liye bina permission apne positions chodna. Khalid bin waleed aur sathiyo ka peche se hamla. Muhammad(SAS) zakhmi aur 70 shaheed Jeet ka haar me badalna Musab bin Umair ke Shaheed hone par, Aap (SAS) ke shaheed hone ki afwa Doosre din dushman ka phir qauf aur Hamra-ul asad ki taraf rawaangi(sirf junge uhud ke participants) Wirasath: Insaan ke faut hone ke baad uske maal ki taqseem. Ise Ilm-un- nisf kaha jaata hai. Yeh ilm farz-e- kifaayah hai. Insaan apne 1/3rd maal ka haqdaar hai wo use jise chahe de sakta hai. Rest Allah ke bataye gaye haq se taqseem hoga. Kharabaddar, blood reletions aur zarurath mando ko di jaa sakti hai. Pehle aurto ka wirasath me koi hissa nahi hota tha. Yateem aur mohtaj ko bhi kuch de sakte toh do agar nahi toh sileh rahmi se pesh aaye. Yateem ke maal ko khaane wale apne pet me aag bharte hain aur wo bhadakti aag me honge akhirath me. Ladke ka hissa ladki se dugna hoga. Kalala: use kehte hai jiske na maa-baap ho aur na aulad. Allah ki itaat me hi kamiyabi hai, Jannath hai. Jo koi nafaramani karega toh uske liye ruswakun azaab hai aur jahannum hai. Mother 1/6 Father 1/6 wife 1/8 2 Muharramat Rishte: o Maye: maa, nani, dadi,foster mother o Betiya: apni beti(sagi & saunteli), poti , nawasi o Behne: sagi, saunteli, foster sisters o Bhanjiya: sagi, saunteli o Bhatijiya: sagi, saunteli o Phupiya, khaalaye o saas, bahu. Muharramat rishto se nikah nahi hosakta. Nikah hua magar sohbath se pehle talaq hogayi toh unki betiyan halal hain. Phupi- bhatiji aur khala- bhanji ko bhi ek sath nikah me nahi rakh sakte. Pehle do behno ko ek saath nikah me rakh sakte the. Eg: yaqub (AS) ne 2 behno ko ek sath nikah me rakha tha. Wo tab jayez th par ab nahi. Ek ke faut hone ke baad dusri se nikah jayez hain. JUZ 5 Ayat 89-90 : Cases :Qatl Nahi Karna Hai : 1. Peace Treaty (Contract) --- Ho Musalmanon Ka Kisi Qaum Se. 2. Neutral – Kisi Se Bhi Ladhna Nahi Chahte. 3. Wo Sulah Chahte Ho. Qatl karna hai : 1. Wo Kafir Ke Saath Milkar Musalmanon Ko Nuksaan Pahunchana Chahte Ho. 2. Fitna – Agar Wo Sajish Jung Ki Chipkar Kare. 3. Wo Sulah Nahi Chahte Ho. 1. i. Qatl-E-Qata : Accidental Killing, Bina Irada Kaffara + Diyat (Blood Money)-----Waris Maaf Karsakte (Sadqa) ii. Maqtool Dushman Qaum Se Ho Only Kaffara iii. Peace Treaty Ho Kaffara + Diyat 2. Qatl-E-Amad : Intentional Killing, Murder Jahannam, Allah Swt Ki Lanat, Ghazab, Azaab Ayat 105 –Waqya: Banu Zafar, Ansaar Ka Ek Qabila Tha, Uske Ek Shaqs Tama’bin Ubayriq Ne Apne Humsaye Ke Ghar Se Chori Ki Aur Us Cheez Ko Ek Yahoodi Ke Paas Amanat Ke Taur Par Rakhadi. Malik Ko Shaq Hua Yahoodi Par. Poochne Par Yahoodi Ne Bataya Ki Usne Chori Nahi Ki. Jab Ye Mamla Rasool Saw Ke Paas Gaya To Banu Zafar Ke Log Tama’ko Support Kiye. Rasool Saw, Tama’ Ke Haq Me Faisla Karne Waley They. Phir Allah Swt Ne Apko Wahi Ke Zariye Sachai Ki Khabar Dedi. JUZ 7 AND 8 • Ruku -8 Ayat 59 -64 • Nooh As Ko Bheja Allah Ne Unki Qaum Ke Taraf •Nooh As Ne Apni Qaum Ko Allah Ki Taraf Bulaya-Tawheed Ki Dawat Di • Nooh As Ko Unki Qaum Aur Qaum Ke Bade Bade Sardaro Ne Gumrah Kaha Aur Jhutlaya • Allah Ne Nooh As Aur Unke Saathi Ko Ek Badi Kashti Me Sawar Karwadiya Aur Unko Nijat Di • Aur Gharkh Kar Diya Jhutlane Walo Ko – Bahut Bada Toofan Ka Azab Aaya Ruku-9 Ayat 65 – 72 Hood As Ko Bheja Allah Ne Qaum E Aad Ki Taraf –Ye Unhi Ke Qaum Me Se The Hood A.S Ne Apni Qaum Ko Allah Ki Taraf Bulaya- Tawheed Ki Dawat Di-Nemato Ki Yaad Qaum E Aad Bahut Mazboot Jism Ke Quwwat Wale Log The Qaum Ke Log Aur Qaum Ke Bade Kafir Sardaro Ne Jhutlaya Allah Swt Ne Hood As Aur Unke Saathi Ko Nijaat Di Jhutlane Walo Ko Allah Ka Azab Ne Gherliya Allah Ne In Par Andhi Aur Toofan Ka Continuous Azab Bheja -7 Raatein Aur 8 Din Ke Liye Unki Poori Generation Qatm Ho Gayi •Ruku- 10 Ayat 72 -84 • Saleh As Ko Bheja Allah Ne Qaum E Samood Ki Taraf-Ye Unhi Ki Qaum Me Se The • Saleh As Ne Apni Qaum Ko Allah Ki Taraf Bulaya-Tawheed Ki Dawat Di • Oontni Ka Moujiza Pesh Kiya –Jo Qaum Ke Liye Aazmayesh Thi • Qaume Samood Ko Allah Ne Dunyavi Taraqqi Di Thi-Ye Log Pahado Me Ghar Tarash Kar Lete • Qaum Ke Bade Sardaro Ne Takabbur Kiya Aur Paigambar Ko Jhutlaya • Qaum Ne Oontni Ko Maar Dala • AGlildaghi dNaeh a Pta Akuard SLhiyaad eInekdo Z Aazlzaabl eS eK a– AAuzanbd hAea yMau Inn PGairr Gaye Aur Halaak Ho Gaye – Cheeq • Allah Swt Ne Saleh As Aur Unke Saathi Ko Bacha Liya • Loot As Ko Allah Ne Nabi Banakar Bheja • Loot Ne Apni Qaum Ko Neki Ka Hukum Diya Aur Burai Se Roka • Is Qum Ke Log - Behayai (Fahesha) -Homosexuality- Me Mubtalaa The • Loot As Ne Inhe Samjhaya • Lekin Qaum Nahi Mani-Qaum Ke Logo Ne Loot As Ko Dhamki Di • Allah Swt Ne Loot As Aur Unke Gharwalo Ko Bacha Liya •Allah Ne Basti Ko Palat Diya-Pathar Ki Barish Hui –Us Basti Par-Poori Qaum Tabah Ho Gai Ruku-11 Ayat 85-87 Shoeb As Ko Bheja Allah Ne Madyan Ki Taraf- Ye Unhi Ke Qaum Me Se The Shoeb As Ne Apni Qaum Ko Allah Ki Taraf Bulaya Tawheed Ki Dawat Di Naap Tol Me Kami Na Karne Ki Hidayat D i Zameen Me Fasad Na Karne Ko Kaha Rasto Me Daketiya Dalne Se Mana Kiya Allah Ke Raste Se Logo Ko Na Rokne Ki Hidayat Di Deen Ke Seedhe Rate Par Tedha Pan Na Nikalne Ko Kaha Allah Ki Nemato Ki Yaad Dihani Karwayi Sabr Iqtiyar Karne Ko Kaha Shoeb As Ne Bahut Hi Khoobsurat Tareeqe Se Apni Qaum Ko Naseehat Di Phir Bhi Unki Qaum Nahi Samjhi JUZ 9 JUNG E BADR • • • • • • • • • • • • • • . Jange Badar (2H) Jange Badr 17 Ramazn 2 Hijri me hui Quraish ka khafila frm Syria (1000 oont 40 aadmi) Musalmaan qabar lene nikle Abusufyan ka makkah qabar bhijana Quraish ka 1300 ka lashkar lekar nikalna Abu sufyan ka route change karna Abhu jahl ki zidd Muhammad s.a.w ka sahaba se mashwera Kuwe ke paas musalmano ka camp Barish se madad Amna saamna Suraqa ki shakl me iblees Abujahl ka qatl 14 musalmaan shaheed aur 70 kafir qatl Summary of Moosa AS ka waqeya • Yakoob As ke. 12 bete.wo Falsteen me the. • Yusuf AS doosri biwi ke bête,unko bahiyo ne jangal me koowe me daal diya. • Khafila unko lekar Misr (Egypt) pahuncha. • Waha wobadshah bane,bhaiyo ko maaf kiya sab ko Misr bulaa liya. • Pehle yusuf as ke time par khoob mukaam izzat badshahat etc thi • Baad me zawaal aaya, Bani Israel labour class ho gaye aur Firaun ki badshahat. • • • • Allah chahte the ke Bani Israelo ko firaun se najaat dilaye. Firaun bacho ka qatl karta. In halaat me Moosa As ki paidayash hui. Allah ne Moosa As ke Maa ke dil me baat daali ke Moosa As ko ek box me band karke river Nile me daal de. • Behan box ko follow karti gayi. • Box firaun ke mehal pahuncha. • Asia w/o Firaun ne jab bache ko dekha, Allah ne ek attraction bache ke chehre par daal diya. • Wo kisi ka doodh nahi peete.,Behan mehal me aati jaati to maa ke paas doodh peene laute. • So mehal me shahi zindagi guzari • Jab jawaan hue, Bani Israeli ek Masri se lad raha tha,Bani Israeli ne madad ke liye bulaya,Moosa As ne ek ghoosa maara wo Masri mar gaya. • Unhone maghfirat ki dua ki aur qubool hui. • Next day same Bani Israeli lad raha tha- usne kaha kya kal jaise maara aaj mujhe maaroge—khul gaya ki Qatl Moosa as ne kiya. • Darbaar me faisla ke Moosa As ke Qatl ka descision,Kisi ne aakar bataya, Moosa as Madyan chale gaye. • Waha do ladkiya paani ke liye wait kar rahi kyu ki koi mard unki help ke liye nahi tha.Moosa as ne unki madad ki. • Unke walid milna chahe. • He may be Shoeb as. • Decide ye hua k eek se shaadi ke liye 8-10 yrs kidmat. • Phir wo nikle,kohe toor ke paas thehre ,aag dekhi. • Darakht se awaaz,beginning of wahi. • Moosa As ke haath me as tha, wo us se janwaro ke liye patte jhadaate,tek lagate etc • Phekne ka hukm aur wo saanp (azdaha ban gaya) • Haath nikaalne ka hukm wo raushan hokar nikla. • Maqsad to send towards Firaun-Bani Israel ki azaadi • • • • • • • • • • • • • • • Phekne ka hukm aur wo saanp (azdaha ban gaya) Haath nikaalne ka hukm wo raushan hokar nikla. Maqsad to send towards Firaun-Bani Israel ki azaadi Jadugaro ko muqaable ke liye bulaaya gaya.,logo ko aise laga rassiyaa naach rahi hai. Moosa As ne apna as pheka to sab nigal gaya. Sab jadugar sajde me gir gaye. Firaun ne dhamki di ke haath pair kaat denge. Ab Bani Israeli aur Firauniyo ki azmayash shuru Qahad Phalo kanuksaan Toofaan Tiddiyaa Juye Medak Khoon etc • • • • • • • • • • • • • Moosa as se kehte dua karke azaab hataiye, azaab hat ta to phir buraiya karte. Finally Moosa as ko Hukum ke apne logo ko lekar falasteen jaye. Firaun ne peecha kiya aur wo aur uske followers gharkh hue. Sehraaye seena, maydaane teeh Kohe toor par tauraat. Harun as ko unki responsibility. Saamri ke kehne par bachde ki pooja Tauba Allah ko dekhne ki khawhesh Kohe toor ka sar par uthna Jihad se mukarna Mann salwa, 12 chashme etc Yahi par Moosa as ka inteqaal JAADU MOUJAZAT Cheez badalti nahe – ankhon ka dhoka Khuli nishaniya rehti Jaadu ka tod moujood hai Iska tod nahi Iske inkar par saza nahi Iska inkar par azab hai Allah ne haram kiye Alla ke zariye hothe hai Jaadugar ki zindagi me darr aur dhoka hamesha laga rahta Anbiya ki zindagi sukoon. Evil persons do jaadu Only Nabi can show moujaza JUZ 10 Jung E Tabuk Ke Baare Me Zyaadatar Aayte Shuru Me Bismillah Nahi Padi Jaati 8-9 Hijri Ke Darmiyan Nazilhui Isko Sure Bara’ah,kashifa(kholne Waali),tauba Bhi Kaha Jaata Hai 6th Hijhri-sule Hudaibiya 2 Saal Me Thod Diya Gaya 8th Hijhri-fatah Makka 9 Th Hijri –Aap(saw) Abu Bakr Siddiq(ra) Koameer E Hajj Banakar Rawana Kiya Unke Jaane Ke Baad Sura Tauba Ki Shuru Ki Aayat Naazil Aap(saw)in Aayaton Ka Paigaam-ali(ra) Ko Dekar Bheja 10 Zilhajj Kotamaam Logon Ke Saamne Sunaya Ehkamaat Koi Shaqs Khana Kaba Ka Nanga Tawaf Nahi Karega Jis Kaafir Ke Saath Muaida Haiwo Muqarrar Waqt Tak Arab Me Rehsakta Hai Jiske Saath Muaida Nahi Unko 4 Maheene Ka Time Is Saal Ke Baad Mushrik Aur Musalmaan Milkar Hajj Nahi Karenge Jung E Tabuk 9th Hijri Me Isayi ,Roman Se Shaded Garmi Ka Waqht Fasal Ki Katai Ka Waqht Sab Par Farz E Ain Tha30,000 Ka Lashkar Lekar Mohammad(saw)gaye SADAQA-- Allah Ke Raah me Kharch Karna, Allah Ki Raza Ke liye. Farz(zakat)-Nafil(sadaqath) ZAKAT-1-Fuqara Keliye(jo Apni Zarurath Poori Nahi Kar Sakte) 2-Miskeenke Liye(apni Zaroorath Ke Liye Koshish Karte Lekin Poori Nahi Karpaate) 3-Zakaat,sadaqath Collect Karne Walon Ko(unki Salary) 4-New Muslims, kafir-jo Islaam Lane Ki Chances Hai(ex-safwan Bin Umayya-kufr Ki Haalath Me) 5-Ghulaam Azaad Karne 6-Qarzdaar Ke Liye (Zaroorath Ke Liye Liya Gaya Ho Jisme Israaf Na Ho) 7-Deen Ko Aage badane Ke Liye 8-Musaafiron Ke liye JUZ 11 A Surah Tawbah 3 MUQLIS SAHABA 1.KAAB BIN MALIK 2.MURARA BIN RABI’A 3.HILAL BIN UMAYYA TEEN MUQLIS MOMIN KA WAQIYA MUHAMMED (SAWS) JAB JANGE TABOOK SE WAPAS AE TU TAMAM MUNAFIQ BAHANE LEKAR AYE LEKIN YE MUQLIS MOMIN JANTE THAY KI ALLAH AAP KO WAHI KE ZARIYE BATA DEGA AUR WO LOG BATA DIYE KI HUM SUSTI KI WAJH SE PEECHE RAH GAE TAB AAP(SAWS) UN SE BAAT KARNA CHOD DIYE PHIR AAP NE SAHABA AUR GHAR WALON SE BHI BAAT KARNE SE MANA KAR DIYA ISI TARHA UN LOGON SE SUB 50 DIN TAK QATA TALLUQ RAHE ZAMEEN WASI HONE KE BAWAJOD UN PAR TANG HU GAE THI US KE BAAD ALLAH NE WAHI NAZIL KI AUR UNHE MAAF KAR DIYA. JUZ 11 B • Awliya Allah – Allah Ke Dost Jo Imaan Laaye Aur Taqwa Ikhtiyaaar Kare TAQWA- Allah Ki Mohabbat Me Nek Kaam Karna Aur Allah Ki Naraazgi Se Bachne Ke Liye Gunahon Ko Chodna. Jisko Dekhkar Allah Ki Yaad Aaye – Taqwe Ka Libaas. Inke Liye Duniya Aur Aakhirat Me Bhalaayee Hai. Nooh A.S Ka ILAAQA Nooh A.S Ki Kashti Jahan Mili (Acc To Archaeologists) Nooh A.S Pehle Rasool. Unki Qaum Sabse Pehle Shirk Karne Walon Me Se Thi. Unhone Tawheed Ki Dawat Di – Par Qaum Na Maani. Allah Ne Unhe Kashti Banane Ka Hukm Diya–Toofaan Aaya–Unko & Unke Followers Ko Allah Ne Bacha Liya. Nooh A.S Ko Adam E Saani (Second Adam) Bhi Kaha Jaata Hai Kyunke Aage Phir Nasl E Insaani Unhi Se Chali. MAUJZE & JADU ME FARQ MAUJZA Khudrat Ke Khilaaf. Isme Bhalaaayee. Cannot Be Cancelled(Phera Nahi Ja Sakta). Behtareen Insaano Ke Haathon Allah Karwate Hai. Aage Sikhaya Nahi Ja Sakta. JAADU Ankhon Ka Dhoka. Sirf Nuksaan. Can Be Undone ( Paltaya Ja Sakta Hai). Badtareen Insaano Ke Haathon Se Hota Hai. Sikhaya Ja Sakta Hai. MAP OF EGYPT FIROUN KI BODY BANI ISRAYEEL’S CROSSING SITE Yunus As – Area – Nainwa ( Iraq/Shaam) YUNUS A.S Yunus A.S Nainwah Ki Taraf Bheje Gaye They Apni Qaum Ko Tawheed Ki Daawat Baar Baar Di Qaum Na Maani Toh Gusse Me Qaum Ko Chodkar Chale Gaye. Allah Ke Hukm Se Pehle. Kisi Rasool Ko Jayez Nahi Ke Allah Ke Hukm Se Pehle Hijrat Kare Woh Kashti Me Jaa Rahe They Ke Toofaan Aaya – Logon Ne Ek Aadmi Ko Kam Karne Ka Faisla Kiya Khurra (Chit) Daala – Toh Har Baar Yunus A.S Ka Naam Aaya . Yunus A.S Ko Samandar Me Phenk Diya –Machli Ne Unhe Nigal Liya. Yunus A.S Machli Ke Pet Se Dua Ki Aur Yunus A.S Ko Machli Ne Ugal Diya. Unki Qaum Par Se Azaab Taal Diya Gaya Kyunke Unke Nabi Allah Ke Hukm Se Pehle Unhe Chodke Chale Gaye. JUZ 12 Nooh As Area – Central Iraq. Adam E Saani Pehle Rasool – Jinhe Shariyath Di Gayi Thi. Qaum Ka Gunaah – Pehla Shirk Inhi Ki Qaum Ne Kiya. Tableegh – 950 Years. Maujza- Kashti Banane Ka Hukm. Jisme Imaan Waale & Janwaron Ke Jode(Pairs) Sawaar Kiye Gaye. Azaab – Toofaaani Baarish –Aasmaan Se & Zameen Se Paani Nooh A.S Ka ILAAQA Nooh A.S Ki Kashti Jahan Mili (Acc To Archaeologists) HOOD A.S Ka ILAAQA – AHQAAF (Yemen) HOOD A.S. Area – Ahqaaf Ka Ilaaqa (Yemen) Hood A.S Qaume Aad Ki Taraf Bheje Gaye They. Aad Bahut Quwwat Wale Log They. Lambe Chawde They. Ghar Banane Me Maahir They. Qaume Aad Ki Faujein Door Tak Phaili Thi. Maal & Aulaad Ki Kasrat Thi. Gunaah – Shirk Azaab - Kaale Baadal- Azaab Ke Baadal .Saqt Thandi Aandhi & Tez Hawa Shor Waali Area Of Qaume Samood SALEH A.S Ka ILAAQA HIJR (Tabuk & Madina Ke Beech ) SALEH A.S Qaume Samood Area- Hijr (Tabuk & Madina Ke Beech ) (Hijr Yaani Pathar – Pathreela Ilaaqa Tha) Same Paighaam – Tawheed Ka. Qaum e Samood -Pahadon Me Ghar Tarashte They. Maujza – Hamla (Pregnant) Oontni Pahad Se Nikli Gunaah – Shirk , Nafarmani , Oontni Ke Kaunche (Paaon Ke -Heels Ke Patte- Feet Till Ankles) Kaat Daale. Azaab - Hawlnaak Cheekh, Awaaz,Zalzala. Gharon Me Aundhe Monh Girey Padey They Ibrahim A.S Ka Safar LOOT A.S Ka ILAAQA- SUDOOM Locate Sudoom(Near Dead Sea\0 In This Map LOOT A.S Area – Sudoom. Gunaah (1) Shirk (2) Homosexuality (3)Khule Aam Burayiyaan -Nange Naach Etc. (4) Raston Me Kaafilon Ko Lootna Azaab – Patharon Ki Baarish. Poori Basti Ka Paltaa Dena. SHOAIB A.S KA ILAAQA- MADYAN Shaam (Syria) aur Yemen Ke beech Locate Madyan Between Syria & Yemen(Near Hijaz) SHOAIB A.S. Area – Madyan (Shaam (Syria) & Yemen Ke Beech) Gunah- (1) Shirk (2)Naap Tol Me Kami (3) Loot Maar (4) Fasaad Same Paigaam Tawheed Ka. Azaab – Cheekh & Zalzala MUSA A.S KA SAFAR Misr (Egypt) Se Madyan Madyan Se Misr Moosa A.S Qaum- Bani Israyeel Area- Misr Maujza- Yade Baiza (Shining Hand) & Asa (Stick) & More Kitaab - Tauraat Gunaah- Shirk & Nafarmani, Heela Saazi. Surah Yusuf Bani Israyeel Ne Jab Mohammed S.A.W.S se poocha ke Bani Israyeel Falasteen se Misr Kaise pahunche Toh Allah Ta’la Ne Jawab Me Surah Yusuf Nazil Ki .Yusuf A.S Ka Complete khissa hai Is Ek Surah me hai. Summary Of Yusuf A.S Story In Juz 12 Yaqoob A.S Ka Laqab Israyeel Tha Unke 12 Bete The – 10 Bete Ek Biwi Se Aur 2 Bete Doosri Biwi Se Yusuf A.S & Binyameen Doosri Biwi Se They. Yusuf A.S Jab Chote They Tab Unhone Khaab Dekha Aur Apne Walid Yaqoob A.S Ko Bataya Khaab Ye Tha Ke 11 Sitaare Aur Chand Aur Sooraj Yusuf A.S Ko Sajda KarRahe Hain. Yaqoob A.S Ne Kaha Ke Yeh Khwaab Ka Zikr Apne Bhaiyon Se Na Kaho-Kyunke Shaytaan Unke Dilo Me Hasad Paida Karega. Bhaiyon Ko Yusuf A.S Se Hasad Thi Kyunki Woh Yaqoob A.S Ke Pyaarethey. Bhaiyon Ne Yusuf A.S ( Jo Ke Bache They) Unko Kuwe Me Daal Diya Aur Waalid Se Kaha Ke Bhediye Ne Kha Liya. Ek Khaafila Wahan Se Guzra Aur Kunwe Me Yusuf A.S Ko Paakar Rakh Liya Ke Unhe Ghulam Ki Tarah Bech Denge. Azeez E Misr Ne Yusuf A.S Ko Khareed Liya Aur Apni Biwi Se Kaha Ke Isey Bete Ki Tarah Rakhe – Ghulaam Ki Tarah Nahi. Yusuf A.S Wahin Paley Badey. Azeez Ki Biwi Unki Khoobsoorati Se Influence Hui Aur Yusuf A.S Ko Phuslaana Chaha. Jab Yusuf A.S Badkaari Ke Liye Na Maane Toh Unhe Jail Me Daal Diya . Jail Me Unhe Do Qaidi Miley Jo Badshah Ke Darbari The. Unhe Badshah Ko Zeher Dene Ke Jurm Me Jail Bheja Gaya. Qaidiyo Ne Yusuf A.S Se Apne Khwaabon Ki Taabeer Poochi. Toh Yusuf A.S Ne Bataya Ke Un Me Se Ek Sooli Par Chadhaya Jayega Aur Doosra Shaqs Jail Se Choot Jayega. Yusuf A.S Ne Jail Se Chootne Waale Ko Kaha Ke Unka Zikr Badshah Se Zaroor Karna. Lekin Woh Shaqs Bhool Gaya. Phir Ek Dafa Badshah Ne Darbariyo Se Apne Khwaab Ki Taabeer Poochi Aur Koi Na Batla Saka Toh Us Shaqs Ko Yusuf A.S Ke Baare Me Yaad Aaya – Woh Yusuf A.S Ke Paas Gaya Aur Badshah Ke Khwaab Ki Taabeer Poochi. Yusuf A.S Ne Na Ke Sirf Taabeer Bataayi Balke Solution –yaani Masle Ka Hal Bhi Bataaya- Baad Me Baadshah Ko Pata Chala Ke Yusuf A.S Auraton Ki Chaal Ki Wajeh Se Jail Me Hain. Azeez Ki Biwi Ko Bulaya Gaya. Azeez Ki Biwi Ne Apna Gunah Khubool Karliya Aur Yusuf A.S Bekasoor Saabit Hue Aur Jail Se Choot Gaye. JUZ 13 Ayat 101-104 Yousuf A.S Ki Allah Se Dua---Ayat 101 ٓ نت َول ِِّيۦ فِي ٱلد أُّن َيا َو أ َ َض أ ِ س َٰ َم َٰ َو ٱۡلخ َِر ِۖ ِة َت َو َّفنِي ُم أسل ِٗما َوأَ ألح أِقنِي ِ ت َو أٱۡلَ أر َّ َفاطِ َر ٱل ََّٰ بٱل ١٠١ َصلِحِين ِ “Ae Zameen Aur Asman Ke Banana Wale,Tu Hi Dunya Aur Akhirat Me Mera Sarparast Hai,Mera Khatma Islam Par Kar Aur Mujhe Saaliheen Ke Sath Mila” Allah Ka Shukr Ki Allah Ne Unhe Ilm Aur Badshahat Bakhshi. Allah Ka Shukr Ki Allah Ne Unhe Khaabo Ki Tabeer Sikhai. Aakhir Waqt Tak Islam Par Isteqamat Ki Dua. Unhe Nek Logo Ke Sath Mila De. Maut Ki Dua Mangna Jayaz Nahi Hai. Ye Waqeya Muhammad(Saw) Ko Tasalli Aur Logo Ke Liye Ibrat Aur Naseehat Hai. Ayat 20-24 Ulul-Albaab (Aqlwale) Ki Sifaat. Allah Ke Ahad Ko Poora Karte Hain Aur Todte Nahin Hain. a) Ahad-E-Alast. b) Allah Se Bande Ka Wada. c) Bande Se Bande Ka Wada. Silarehmi Karte Hain. Allah Aur Uske Sakht Hisaab Se Darte Hain. Sabr Karte Hain. Namaz Qayam Karte Hain. Allah Ke Diye Hue Rizq Me Se Kharch Karte Hain. Burai Ka Badla Achai Se Dete Hain. Jin Momino Me Ye Sifat Hai Unke Liye Hamesha Ki Jannat Hai. Farishte Aise Momino Par Salamati Bhejte Hain. Ayat 40-41 Ibraheem A.S. Ki Dua: َر َّب َن أ٤٠ ُعا ِٓء َر ِّب أ ِدَي َول أِل ُم أؤ ِمنِينَ َي أو َم َيقُو ُم َّ اٱغف أِر لِي َول َٰ َِول َ صلَ َٰو ِة َومِن ُذ ِّر َّيت ِۚي َر َّب َنا َو َت َق َّب أل د َّ ٱج َع ألنِي ُمقِي َم ٱل ٤١ اب ُ ِس َ أٱلح “Ae Mere Rab Mujhe Aur Meri Aulaad Ko Namaz Qayam Karne Wala Bana Aur Ae Hamare Rab Dua Qubool Kar Le,Ae Hamare Rab Mujhe Aur Mere Walidain Ko Aur Tamam Momino Ko Us Din Bakhsh Dena Jab Hisab Qayam Hoga. JUZ 14 Sitaron ko banane ka maqsad The Dead Sea- Zameen ka sabse low point Qaum-e-samud ke tarashe hue makanaat • Pahadh mein badhe oonche strong ghar banate. • Bekhawf aur mutmayein ke ham par koi azaab nahi aasakta. • Allah swt ne aisa zalzala bheja, woh pahadh ke andar hi khatam hogaye. • Allah swt ne cheekh ka azaab bheja aur unhe halaak kardiya. • Saleh A.S ki basti ke muqaam se Muhammad S.A.W ka guzarnaSawari jaldi karli. o Apne saathiyon se kaha ki jaldi guzre. o Jin ki bastiyon par azaab aya us basti se rote hue guzro. o Rona na aaye toh roti soorat banakar chalo. o Mu’min ki Ruh ka qabz hona: • Farishtey salam karte hai. • Farishta suraj ki tarah roshan chehre wala. • Reshmi kafan laayenge ruh lapetne ke liye. • Basharat denge maghfirat ki. • Behtareen khushboo ayegi jism se ruh nikaalte waqt. • Rahmat ki dua karenge zameen aur aasmaan mein farishte. • Asman ke darwaze par ta’ruf karate. • Har aasman ke farishtey doosre aasman tak saath jate. • Illiyeen mein record. Kaafir ki ruh ka qabz hona: • Khaufnaak farishte. • Kafan taat ka. • Darate hai. • Marte peet te hue uski ruh nikaalte. • Aag ka azaab pehle se hi sunadete hai. • Gandi badboo jab ruh nikaalte hai. • Asman ke jitne bhi farishte hai darwaze bandh karte aur kholte nahi, aur wahin se ruh ko zameen par patak diya jata hai. • Sijjeen mein record. Pehli Hijrat Habhsha ki taraf Doosri Hijrat Madina ki taraf Shahed ki makkhi JUZ 15 Ayat 5-7 • Bani Israel ne jab bahut fasad kia, unke pas YARMIA naam ke nabi bheje gaye, unhone unka qatl kiya. • BABYLONIAN emperor BUQTENAZAR ne 588-586 mein Jeruselum par hamla kiya aur kai yahoodiyon ka qatl kiya aur kaion ko qaidi banakar Babylonia legaya. • Later on PERSIAN emperor CYRUS ne BABYLONIA par hamla kiya aur Bani Israel ko wapas JERUSELUM le aaya. • Unmein phir se bigaad hua....kai nabiyon ka qatl kiya YAHYA AS ka bhi qatl kiya aur ISA AS ke qtl ki sazish ki. • ISA AS ke 70 saal baad ROMAN emperor TETUS ne yahoodiyon par hamla kiya kaiyon ko qatl kiya aur unka haal bigaad diya Ayat 22 Walidain ke saath ahsaan • Maa Baap hameri jannat aur dozak hai. • Maa Baap ko UFF thak nahi kahna. • unko danta nahi. • Unse izzat se baat karna. • Unki madad karna aur unke saath humble rehna. • Walidain ke liye dua karna. Ayat 36 Jis cheez ka ilm nahi uske peeche mat pado • Kisi ki andha dhun pairvi na karna. • Koi mamla jiska hame ilm na ho uske peeche na pado. • Quran aur Hadith mein jo nahi hain ,use deen ka hissa mat banao. • Gaybi Haqeeqato ke baare mein falsafe na banao. • Jo mamle hamse taluq nahi rakte ho uske peeche mat pado. Ayat 55 Baaz nabiyon ko baaz par fazilat • ISA AS – bina baap ke paida kiye gaye • IBRAHIM AS – khaleelullah • MUSA AS - ALLAH ne unse kalaam kiya • SULAIMAN AS – parindo ki boli jante the • MOHAMMAD SAW – isra aur meraaj AYAT 63 Saitaan hamaare maalon aur aulaadon mein sharik • Maal – haraam kaamon mein kharch karna ..Like: music, juaa,sood lena ya dena, Israaf karna. • Aulaad - Aulaad mangne ghair Allah ke dar par jaana, Zina ki aulaad, galat tarbiyat, aulaad ke liye halal aur haraam ke fark na karna. AYAT 101 MUSA AS ke 9 nishaniyan • Asa • Yad-E-Baiza(chamakta haath) • Sukhaa padna • Dariya ka phatna • Tidyon ki barish • Jueyein • Tufaan • Khoon • Meindakon ki barish JUZ 16 الر ِح ْي ِم َّ الر ْح َٰم ِن َّ ِِب ْس ِم هللا Ilm Ki Ahmiyat • • • • • • Ilm Ki Ahmiyat Musa(As) Itne Bada Rasool Hone Ke Bawajood Ajizi Se The Quraan Mai Sabse Zyada Zikr Musa (As) Ka Hai, Musa (As)Galti Hone Par Maafi Maangte. Ilm Sekhne Ke Lea Sabr Ki Zaroorath Hai. Ilm Se Sabr Ajaata Hai Kitni Badi Position Ho To Bhi Ilm Ki Talab Rehna Hai. Ustaad Ke Saath Shagird Ka Mamla Ustaad Ke Saath Shagird Ka Mamla • Ajizi • Ehteraam Karna – Bhale Hi Umr Me, Darje Me, Maal Me Kam Ho. • Sawal Ka Jawab Agar Ustad Na De To Israr Nahi Karna. • Ustaad Ki Ijazat Ke Bagair Majlis Nahi Chodna • Ikhtelaf Ho To Bhi Still You Have To Respect Teacher • Teacher Will Decide Portion • Ustad Ke Lea Dua Karna. • Ilm Sikhna Ke Lea Khud Ko Takleef Dena (Ex: Travelling) • Izzat Dena • Useless Question Nahi Pochne Chahiye. • Ustad Ki Narazgi Bardasht Karna. • Guftugu Ke Waqt Adab Ke Lehaz. SURA TAHA RABBISH RAHLI SADRI AYAT )28- 25:ص ْد ِري َو َيسِّرْ لِي أَم ِْري َوحْ لُ ْل ُع ْقدَ ًة ِمنْ ل َِسانِي َي ْف َقهُوا َق ْولِي (سورة طه َ َربِّ ا ْش َرحْ لِي Aye Mere Rab Khol De Mere Liye Mere Seena Aur Asaan Karde Mere Liye Kaam Mera/ Aur Khol De Girah Meri Zabaan Ko TAHA AYAT 15 QAYAMAT KA MANZAR AYAT 77 RED SEA PHIROAN JUZ 17 SURAH HAJJ Surah hajj ayat no.5. Embrology Surah hajj. Ayat no 27 Surah hajj. 30-37 JUZ 17 SURAH AMBIYAH Shirk se bachne ki dua Ibraheem as ki dua Zakariya as dua Ayyub as dua younus as dua Surah ambiya big bang theory ayat no. 30 Surah ambiya ayat no. 32. Atmosphere layers Surah ambiya ayat no.44 earth hot ball JUZ 18 2.Alaqa 3.Mudgha JUZ 18 b Sur Noor -ayat 35. Tel-noorglass(protection of noor /reflection) Imanhidayatilm JUZ 19 ۡ َ َّ ۡ ۡ لَ َب ۡي َن ُه َماَ َب ۡر َز ٗخاَ َو ِح ۡج ٗرٱَ َّم ۡح ُجو ٗرٱ ٥٣ نَ ََٰه َذٱَ َعذبََ ُف َرٱتََ َو ََٰه َذٱَ ِملحََ ُٱ َجاجََ َو َج َع َ َ ۞و ُه ََوَٱل ِذيَ َم َر َجََٱل َب ۡح َر ۡي ِ َ Barrier of seas : Soorat Furqan aayat : 53 JUZ 20 Qayamath ki 3 badi nishaniyan • Suraj ka maghrib se nikalna • Dabbatul arz ka nikalna • Dajjal ka aana Dabbatul arz(naml –82) • Ek janwar nikalega ,jo kalaam karega aur insan samjhenge • Ek haath Memusa (as) ki asaa hogi jisse wo kaafiron ko maarega • Doosre haath me suleiman as ki anghooti hogi jisse woh mumino ko roshan karega Surah naml hud hud bird Surah naml –61-DO SAMUNDARO KA MILNA Juz 22 Surah Al Ahzaab Ayah 35 - Allah ke pasandeeda mard/aurat ke sifaat: Allah ke hukm ke aage sar jhukaane waale (Islam me completely daakhil hona) Imaan laana – dil se yaqeen karna, zabaan se iqraar aur amal se saabit karna. Qunoot – poore dil ke jhukaav ke saath itaat. Sache – qaul aur fayl me. Sabr karne waale – har haal me isteqaamat. Khushoo’ karnewaale – namaazo me aur aam zindagi me. Sadaqah dene wale – doosro ki zaroorat bhi poori karte hai. Roza rakhne wale – fard aur Sunnah Hifazat karne wale – apni sharmgaaho ki. Zikr karne wale – subah sham Allah ka zikr Aise logon ke liye Allah ne tayyar kiya bahut bada ajar. Ayah 37 - Zaid bin Harith (radiAllahu anhu): • Wahid sahabi jinka naam Quran me aaya hai. • Qabeela e Kalb se the. • Haritha bin Sharjeel ke bete the. • Jung me qaidi bana kar laaye gaye phir mele me beche gaye. • Khadija (RA) ke bhateeje – Hakim bin Hizam ne unko khareeda aur apni phuppi Khadija ke hawale kiya. • Khadija (RA) ne nikah ke baad Muhammad (SAWS) ko Zaid (RA) tohfe me diya. • Muhammad (saws) ne unhe apna beta bana liya tha. • Phir Zaid (RA) ka nikaah Zainab (RA) (aap saws ki phuppizaat behen) se kiya. • Zaid (RA) se talaq ke baad, Allah ne aap (SAWS) ka nikah Zainab (RA) ka nikah khud karwaya. Ayah 50: Aap (saws) se khitaab – ye rukhsat di ja rahi hai ke aap 4 se zyada shaadiyan kar sakte hai. Khaas hukm khaas zaroorat ki wajeh se Allah ne di. Aish ke liye nahi. Khadijah (ra) – talaq shuda thi. Aap(saws) 50 saal ki umr tak inke saath the. Sauda (ra) - 50 saal ki bewa thi. Aisha (ra) – only virgin (hijrath ke baad), Abu Bakr (ra) se rishtedaari ke liye. Umme Salama (ra) – Abu Jahl aur Khalid bin Waleed ke khandaan ki beti thi. Hafsah (ra) – Junge Badr ke baad, Umar (ra) se rishtedaari ke liye. Zainab (ra) – Zaid (ra) se talaaq ke baad. Ghulaam aurton me se – Rehaana (ra), Safiya (ra), Juweriyah (ra) – teeno kitabi aurtein jo musalmaan hui. Umme Habibah (ra) – chacha Abu Sufyan ki beti jinhone hijrath ki. Shaadiyon ki wajeh – Daure jahiliyyat ki kuch rasmo ko todne aur qabaaili dushmani khatm karne. Ayah 53: • Is ayat ko ayat- e-hijaab bhi kaha jaata hai. • Umar (RA) kehte the ke aap (SAWS) ke paas ache bure sab log aate hai, kash aap apne azwaaj ko parde ka hukm dete. Toh Allah ne is ayat ko nazil kiya. • Iske baad sab azwaaj ke gharo ke samne parda laga diya gaya. Log ek hijaab ke peeche se baat karte azwaaje mutaharaat se. • Ummehaatul mumineen se aam mumin ka nikah hamesha ke liye haram kar diya gaya. Ayah 56 - Nabi (SAWS) par durood bhejna: • Abdullah bin 'Amr bin Al-'As (RA) – Aap (SAWS) ne farmaya: “Jo shaqs ek baar mujhpar durood bhejega, Allah taala us par 10 rehmetein nazil karenge, uske 10 gunah maaf kiya jayenge aur 10 darje buland kiye jayenge.” (Muslim) • Ali (RA) – Aap (SAWS) ne farmaya: “Wo shaqs bada bakheel hai jiske paas mera zikr ho aur wo mujhpar durood na bheje.” (Tirmidhi) • Umar (RA) – Aap (SAWS) ne farmaya: “Jab tak tum apne Nabi par durood na bhejo, dua zameen aur aasman ke darmiyan maukoof rehti hai.” (Tirmidhi) JUZ 23 Hadees :Rasool Allah (s.a.w) ne farmaya : Rashq to sirf 2 insano par karna chahiye – 1.Jisko Allah Taala ne Quran ka ilm diya ho aur wo din raat uski tilawath karta ho. 2.Jisko Allah Taala ne maal diya ho aur wo use din raat haq ke liye luta raha ho. Ayat 50 - Soor Phoonkne Waale ki Tayyari:Nabi Kareem (s.a.w) ne farmaya : Soor phoonkne waale farishte ko jab se ye zimmedari di gayi hai wo tab se tayyar halath me apni aankhen Arsh ki taraf lagaye hue hain is baat se darte hue ki kahin hukm milne se peshtar uski nigah idhar udhar na hojaaye. Goya ki uski aankhen do Roshan Sitare hai. Ayat 58 - Ahle Jannath ki Khush Haali :Nabi Kareem (s.a.w) ne farmaya : Ek awaaz dene waala awaaz dega (Aye Jannath Waalo) tumhare liye ye tay hogaya ke : Tum sehathmand rahoge kabhi beemar nahi hoge. Aur Tum zinda rahoge kabhi faut nahi hoge. Tum jawaan rahoge kabhi boodhe nahi hoge. Aur tum khushhaal rahoge tumhe kabhi museebath nahi aayegi. Juz 27 Surah At Toor -Aayat 26: Hadith:-Aulad Ki Dua Aur Istagfar Se Maa Baap Ke Darje Buland Hote Hain 3 Cheezon Ka Sawab Marne Ke Baad Bhi Jaari Rahega Sadqa Jariya Wo Ilm Jisse Log Fayda Uthate Hain. Nek Aulad Jo Unke Liye Dua Karti Ho(Sahih Muslim). Surah At Toor -Aayat 26: Gharwalon Ke Bare Me Wo Darte The Ke Unko Koi Bura Anjaam Na Mila. Allah Se Darkar Gharwalon Ki Qatir Galat Kaam Nahi Karte The. Gharwalon Me Itne Busy Na Hote Ki Allah Ko Bhool Gaye Surah Najam Ayat 18 Badi Nishaniyan Jo Aap (S.A.W.S) Ne Dekhi Burraq Par Sawari Aasmano Par Jana Sidratul Muntaha Jannat Jahannum Nabiyon Se Mulaqat Surah Rehman- Ayat 17 Interpretation Of This Ayat With Respect To Scientific Knowledge Is That This Verse Refers To The Two Solstices , The Summer Solstice (21st June) & The Winter Solstice (21st December). These Two Astronomical Points Represent The Shortest & Longest Days Of The Solar Year And Consequently The Two Rising Points (East) And Setting Points (West) Of The Sun Within The Solar Year When The Location Of The Observer Is Closest Or Furthest Away From The Sun.
Similar documents
jawahir program
Bani Israel Ke Ek Shaqs Ka Qatl Hona Ilzaam Ek Doosre Par Lagana Moosa A.S Ke Paas Faisle Ke Liye Ana Gaay Ka Zubah Kiya Hua Hissa Murde Ko Lagana Murde Ka Kuch Der Ke Liye Zinda Hona Aur...
More information