third book pdf - Shah Bano Khan
Transcription
third book pdf - Shah Bano Khan
…………………………………………………………………………………………………………………………………………………….... INDEX S. NO. 51. CHAPTER DAJJAAL PART – 1 PAGE NO 01-04 52. DAJJAAL PART – 2 05-08 53. DAJJAAL PART – 3 09-13 54. ALLAH KAHAN HAI 14-18 55. SHIRK ( ZULM ALLAH PAR ) PART - 1 19-28 56. SHIRK ( ZULM ALLAH PAR ) PART - 2 29-32 57. LOVE ALLAH 33-35 58. DAILY CHECKLIST 36-37 59. DUA ( RABBANA ) 38-39 60. VAHI 40-42 61. INSAF KA DIN 43-46 62. SADQA AUR TAHAJJUD 47-51 63. TAKLEEF MEHSOOS KAREN 52-53 64. ITIKAAF (SECLUSION) 54-59 65. LA ILAHA ILLALLAH 60-62 66. STORY OF IBRAHIM ALEHISALAM PART – 1 63-66 67. STORY OF IBRAHIM ALEHISALAM PART – 2 67-69 68. STORY OF IBRAHIM ALEHISALAM PART – 3 70-71 ……………………………………………………………………………………………………………………………………………………………. …………………………………………………………………………………………………………………………………………………….... 69. ALHUMDULILLAH 72-75 70. BID’AH 76-83 71. EID-UL-FITR 84-90 72. TASBEEH 91-92 73. HUMATA ( ALLAH KI AAG) 93-100 74. ZAKAT KE MASAIL 101-109 75. ZAKAT-UL-FITR 110-114 ……………………………………………………………………………………………………………………………………………………………. ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 51. DAJJAAL HADITH KI ROSHNI MAIN DAJJAAL KI TAAREEF PART-1 Hazarat Abu Bakr R.A kehte hain ki hamain Nabi SAW ne aagah farmaaya dajjaal mashriq (east) ki sarzameen se niklega (origin) us jagah ka naam khuraasaan hai. Chamda bhari dhaalon jaise chehre -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 1 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- ke log (chapte chehre wale log) uske saath honge dajjaal ka zuhur (origin) ese waqt main jab log use bhool chuke honge. Hazrat Saab se rivaayat hai ki mene Nabi SAW ko logon ko farmate hue suna dajjaal zahir nahi hoga magar jab log use bhool chuke honge to hatta ke aaima (ulema) uska zikr memberon (jis par imam khade ho kar bayan dete hain) par karna chod chuke honge means vo apne khutbe main dajjaal ka zikr bhi nahi karenge. Hazrat Hafsa R.A se rivaayat hai ki Aap SAW ne farmaaya dajjaal ka logon ke saamne nikalne ka sabab (reason) uska ghussa hoga jo use ghazabnaak bana dega1. Dajjaal ka hulia (get up) Hazrat Abdullah bin Umar se rivaayat hai ki Aap SAW ne farmaya mene khwaab main dekha ki main tawaaf kar raha hoon achanak mene ek aadmi dekha gandam 1 Muslim -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 2 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- goh (brown) seedhe baalon wala, uske baalon se paani tapak raha tha jese abhi abhi ghusl (bath) kiya ho mene poocha ye kon hain unhone bataya Esa Ibne Mariyam hain, phir mene doosri taraf tawajjoh (dekha) ki to ek surkh rang (red colour) ka mota aadmi nazar aaya jiske sir ke Baal ghungraale (curly) aankh kaani (ek aankh wala) thi. Jis tarha phoola hua angoor hota hai mene poocha yeh kon hai unhone jawab diya dajjaal hai. Dajjaal ki donon aankhon ke beech main kaafir likha hoga2. Hazrat Anas se rivaayat hai ki Aap SAW ne farmaaya koi nabi aesa nahin aaya jisne apni ummat ko kaane (one eyed) aur jhoote dajjaal se na daraaya ho vo kaana hoga aur tumhara rab kaana nahin, aagah (alert) raho aur dajjaal ki donon aankhon ke darmiyan ( centre) kafir likha hoga. Kaafir ka lafz (word) har musalman padh lega chahe padha likha ho ya anpadh (uneducated) dajjaal ke sir par bohot zyada baal honge. Isliye hamain har jume ke din Surah Kahf padhne ka hukm hai. 2 Bukhari -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 3 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- Isse ham dajjaal ke fitne se mehfooz (protect) reh sakenge IN SHA ALLAH. Jo shakhs is surah ki ibtidaayi (starting) 10 aayat yaad karle vo dajjal ke fitne se mehfooz rahega3. 3 Sahi Muslim -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 4 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 52. DAJJAAL PART-2 Ab tak hamne dekha ki dajjaal qayamat se pehle niklega. Aur qayamat ki nishaaniyan hain: 1. Suraj ka Maghrib se rise hona yani west se nikalna. 2. Dabbatul ard ka nikalna, yani zameen se esa janwar ka nikalna jo logon se baaten kare. 3. Dajjaal ka zahir hona. Jab dajjaal zahir hoga to wo pury duniya ka chakkar lagayga aur log uske peeche ho jayenge aur use apna khuda manne lagenge. Nabi SAW ne farmaya ki hoshiyar raho dajjaal shaam (Syria) ya yaman ke samandar main mojood he phir farmaya nahi wo mashriq (east) ki taraf hai, do baar kaha, phir apne haath mubarik se east ki taraf ishara kiya4. Is Hadith se hamen pata chalta hai ki dajjaal east se niklega. 4 Hazarat Fatima binte qes se riwayat hai -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 5 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- Rivaayaton se hamen pata chalta hai ki dajjaal ke hukum se baarish barsegi aur zameen par ghaans aur anaaj ugega, janvar pehle se zyada doodh dena shuru kar denge. Hazarat Nawa bin Samaan kehte hain ki ek din Aap SAW ne dajjaal ka zikr kiya, mene poocha ya Rasool Allah SAW zameen main uska ghoomna kis tarha hoga yani wo kis tarah duniya main phelega. Aap me farmaya us barish ki tarhan jise hava piche dhakelti hai mtlab jis tarhan barish ke paniko hava udaakar lejati hai, aur poori zameen main pani phel jata hai usi tarhan. Dajjaal ek qaom ke paas ayga unhe apne upar imaan lane ki dawat dega, woh us par imaan le aaienge means use apna khuda maan lenge. Woh aasmaan ko hukum de kar baarish barsaayga, zameen ko hukum dekar nabataat means greenery ugaa dega, logon ke janwar khoob doodh dene lagenge. Dajjaal dosari qaom ke paas jayga unhen bhi apne upar imaan lane ko kahega woh inkaar kar denge to vahan qehad yaani drought aa jayga. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 6 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- Dajjaal zameen se khazane (treasure) nikal dega apne followers’ ke liye. Dajjaal ke nikalne ke baad kisi ka imaan laana qubool nahi kiya jayega, matlab dajjaal ke nikalne se pehle pehle jo imaan le aega uska imaan laana accept kia jayega. Adam A. S. se lekar qayamat tak dajjaal se bada koi fitna nahin. FITNA-E-DAJJAAL Ek aisa fitna hai jis se us waqt ka momin (musalman) bhi use follow karne lagega use apna khuda maan bethega kyoki uske saath jannat aur jahannum hongi. Magar jo jannat dikhai degi asal me vo jahannum hogi aur jahannum jannat. Isse log dhoka kha jaaenge aur aise miracles dekhkar use apna khuda samjhenge. Magar sachche momin samajh jayenge ki ye dajjaal hai aur pahadon main jaa ghusenge. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 7 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 8 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 53. DAJJAAL PART-3 Ab tak hamen dekha ki dajjaal poory duniyan ka chakkar lagayga aur koi shehar aisa na hoga jis main dajjaal daakhil na ho, sivaye Makkah aur Madina ke. Kyu ki farishte in dono shahron ki hifazat line banakar karenge. Riwayat he ki dajjaal ki muddat hamare subah shaam ke mutabiq 1 saal 2 mahine aur 2 hafte hogi5. Aap SAW ne farmaya dajjaal 40 din zameen par rahega jiska 1 din 1 saal ke barabar, dusra din mahine ke aur teesra din hafte yaani week ke barabar honga, aur baaki bache 37 din tumhare aam dino ke barabar honge. Ise hazarat Nawas bin Smaan ne riwayat kia hai. FOLLOWERS OF DAJJAAL Hazarat Anas bin Malik se riwayat hai, Aap SAW ne farmaya Iran ke shehar Asfaan se 70 thousand 5 Muslim -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 9 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- yahoodi siyah (black) chadar oode dajjaal ka saath denge6. Allah Ta'ala jab Isa A.S. ko dubara is duniya main bhejenge to Isa A.S. Bache hue musalmano ke saath mil kar dajjaal aur us ki army ke khilaaf jihaad karenge . Dajjaal Isa A.S. ke haatho Lud naam ki jagah par qatal hoga, jahan aaj kal Israel ka airport hai. Dajjaal se mukable ke dauran musalman Syria ki city Damascas ke kareeb ghauta par apna padhaw dalenge. Jab Hazarat Isa A.S. aasmaan se utrenge to musalmano ko namaz padhaenge. Dajjaal Isa A.S. ko dekhega to is tarha ghulega jese namak paani main ghul jata hai, vo use chod dete to bhi vo yun hi ghul jata magar Allah Ta'ala use Isa A.S. ke haato qatal karange aur Isa A.S. Apne neze par dajjaal ka khoon longo ko dikhange6. Hazarat Abu Hurayra se riwayat hai ki Rasool Allah SAW ne farmaya ki qayamat tab tak nahi aaygi jab tak musalman yahoodiyon ke khilaaf jang nahi karenge, woh unhe maar denge jab yahoodi patthar 6 Muslim -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 10 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- ya kisi tree's ke peche chupenge to wo patthar aur tree's bhi bolenge “Ae musalman Allah ke bande idhar aa mere peeche yahoodi chupa he, ise maar do”. Sivay Gharqad ka tree woh unhen bachayga kyoki ye yahoodiyan ka tree hai. Isliye yahoodi is tree ko khoob lagate hain taki zyada se zyada ye tree's zameen par oog jay, Woh ise shirt par, tea cups waghera ke zariye ise promote karte hain. DAJJAAL SE BACHNE KI DUAYEN 1. Hazrat Ayesha R.A arz karti hain ki Rasool Allah SAW namaz main darood sharif ke baad ye dua manga karte the: "ALLAH HUMMA INNI AAOZUBIKA MIN AZZABAL QABRI WA AAOZOBIKA MIN FITNATIL MASSEHIL DAJJAALI WA AAOZUBIKA MIN FITNATIL MAHYA WAL MAMAATI ALLAH HUMMA INNI AAOZUBIKA MINAL MA ASMI WAL ALLAH MAGHRAM" 7. 2. Hazrat Abu Darda kehte hain ki Aap SAW ne farmaaya jo shakhs Surah Kahaf ki ibtidaayi 7 Bukhari aur Muslim ne rivaayat kiya hai -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 11 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- (starting) aayat padhta rahe vo dajjaal ke fitne se mehfooz rahega8. 3. Jo shakhs Surah kahaf ki ibtidaayi (starting) ten aayat yaad kare vo dajjal ke fitne se mehfooz rahega. 4. Hazrat Abu Saeed RA kehte hain ki Aap SAW ne farmaaya jo shakhs jumme ke din Surah kahaf padhe to do jumuh ke darmiyan (between) uske liye NOOR E ROSHAN ban jaata hai . Vese to saare Qur'an ka padhna fazilat hai magar Surah kahaf ka padhna apne andar kai faayede rakhta hai jisme specially dajjaal ke fitne se protection hai. 8 Tirmizi -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 12 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- Isliye Surah Kahaf ko khaas fazilat hai, yeh Qur'an ke beech Mai aai hai. Isme paaye jaane wale ehkaamat bohot hi precious hain.Isliye kaha gaya hai ki Surah Kahf padho. Isme mojood stories insan ko zindagi jeene ka tareeqa sikhate hain. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 13 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 54. ALLAH KAHAN HAI Ak baar Hz Abdullah bin Umar jo second khalifa HZ Umar ke bete the apne kuch ghulamoon ke saath safar kar rahe the.Raste main khane ka vaqt hua to sabne khana nikala aur khane ke liye beth gaye.Unhone dekha ki qareeb hi ak charvaha hai apni bakriyoon ke saath to Abdullah bin Umar ne usko bulaya ki aao hamare saath khana kha lo.Usne bataya ki uska roza hai Abdullah bin -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 14 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- Umar ko bahot hairat hui ki ramzaan bhi nahi hain aur itni garmi main isne nafali roza rakha hai. Unhone usse iske bare main poocha to usne kaha ki main aakhrat ki tayyari kar raha hoon isliye roze se hoon. QUR'AN Aaj tum is jannat main maze se khao peeo us amal ke badle main jo tum duniya main kar ke aaye ho. Isliye main duniya main amal kar raha hoon taki kal jannat main khaoon peeyoon.Abdullah bin Umar ko ye sun kar bahot khushi hui kyon ki vo bhi bahot parhezgaar the. Unhone usko aur aazmana chaha kaha ki tum isme se ak bakri mujhe beech do hum ise zibah karenge aur isse tumhe iftaar karvayenge. Is par usne kaha ki ye bakriyaan meri nahi hain ye mere malik ki hain main to ghulaam hoon ,main -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 15 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- amanat main khyanat nahi kar sakta .Abdullah bin Umar ne kaha malik ko pata nahi chalega agar pata chal bhi gaya to tum kah dena gum gaye,Ya bhediya kha gaya.is par charvaha kahne laga- ALLAH KAHAN HAI ? Yani agar koi dekh nahi bhi raha tab bhi Allah to dekh raha hai vo ye repeat karta hua vo vahan se chala gaya. Abdullah bin Umar ko uska ye kahna itna pasand aaya ki foran madine pahunch kar us ghulaam ko uske malik se khareeda azaad kiya aur sari bakriyaan bhi khareed kar use tohfe main de di. Uski honesty ka badla Allah ne use duniya main bhi diya. Aur Allah ki razamandi use mili aur jo aakhrat main milega vo alag. Ye duniya ki zindagi bahot thodi hai. Ye sirf hamare test ke liye hai isliye itni problems difficulties hain jo sirf hamara test hai ki hum karte kya hain. Asal zindagi vo hai jo marne ke baad shuru hogi jiske baad kabhi maut nahi hai. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 16 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- Jisko ye baat samjh main aa jati hai vo duniya ki har pareshani gham main mayoos nahi hota use pata hota hai bas thode din ki baat hai agar yahan bach bach kar zindagi guzaar li to kal Allah ke paas har vo cheez milegi jiski qurbani humne duniya main Allah ki khatir ki hogi. Amanat ko amanat samjhna bahot zaruri hai .jab hum office main kaam karte hain to amanat ka kitna khyal rakhte hain office ki har cheez official use ke liye hoti hai na ki personal . Isliye kabhi bhi office ke papers, pen ,pencils ko ghar la kar bancho ko na deen .Office se printouts nikaalna apne personal use ke liye ya koi bhi aesi cheez ye amanat main khayat hai .Iska bahot dhyaan rakhna chahiye ki chahe koi dekh na raha ho Allah hai.Thode se paise bachane ke to dekh raha liye imaan na gavayeen. Isi tarah batain bhi amanat hoti hain ki jab koi kahe ye baat kisi ko na batana to vo bhi amanat hai.isi tarah rishte bhi amanat hote hain.Har har baat main ye soocheen ki chahe koi dekhe ya na dekhe Allah to dekh raha hai aur palat kar Allah ke paas hi jana hai. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 17 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 18 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 55. SHIRK (ZULM E AZEEM) PART-1 BISMILLAH HIRRAHMAAN NIR RAHEEM Ye duniya ak examination hall hai aur hum har vaqt duniya ka koi na koi question solve kar rahe hote hai.aur Allah SWT dekh rahe hote hain ki hum kya kar rahe hain us question ko kaise solve karte hain. Chalain isko aese samjhte hain ki suppose koi hai jo bahot bimaar hai uski bimari theek hi nahi ho rahi vo Allah se khoob dua kar raha hai lekin uski nahi suni ja rahi kyonki Allah ne uski kismat main likha hai ki aaj se ak mahine baad uska koi dost use milega jo use us -us doctor ke paas lejayega khud paise dega ilaaj karvayega aur vo theek ho jayega. Ab ye Allah ka banda hai, Allah ki zaat par ise yaqeen bhi hai ,taqdeer par bhi yaqeen hai ab iske paas do options hain ya to dua karta rahe aur Allah par bharosa rakhe ya galat jagah se madad mange aur shirk kare Allah par zulm kare aur imaan gavan de. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 19 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- Ab ye dua karta hai 15 din guzar jate hain aur kuch nahi hota to shaitaan ko moqa mil jata hai vo iske paas kisi ko bhejta hai ki hum us dargah par chalte hai, vahan dua karte hain ,ya tum koi taveez pahan lo isse theek ho jaoge. Ab agar insaan na umeed ho kar shaitan ki baat sun leta hai aur taveez pahanta hai ya dargah par jata hai aur theek 15 din baad uska vo dost aata hai jiska aana iski taqdeer main likha tha aur uska ilaaj karvata hai aur ye theek ho jata hai to shaitaan kahta hai dekho tumne ye taveez pahna aur dargah par gaye isse theek ho gaye. Aur ye insaan bhi yehi samjhne lagta hai to ye apne exam main fail ho jata hai aur iska imaan chala jata hai aur Allah SWT jinhone ise theek kiya vo bhi naraz ho jate hain ki theek maine kiya aur ye kah raha hai ki dargah ya taveez se theek hua. Ise shirk kahte hain ki Allah SWT par zulm karna ki Allah ko chodhkar kisi aur cheez par bharosa karna Allah par, taqdeer par bharosa na karna. Allah ke bajaye khud ki sunna, dosroon ki sunna. Allah ke -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 20 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- bajaye kisi aur ki baat ko importance dena sab kuch diya aapko Allah ne aur baat aap kisi aur ki mane, mohabbat kisi aur se kare, ahsan kisi aur ka mane, bharosa kisi aur par karen. Isko Allah SWT apne oper zulm samjhte hain aur is cheez se Allah SWT ko takleef hoti hai. Allah Taa'la ne insaan ko paida kiya, hamain itna achcha jism diya, ankhain, kaan, haath, paer diye. ALHAMDULILLAH Hum chal sakte hain, dekh sakte hain, bol sakte hai, phir itne achche maa -baap diye ,bhai -behan, rishte, phir hamare liye itni khoobsurat duniya banaye taki hum araam se rah sake ,badle main humse kya chaha ki hum iski itaat kare, na farmani na kare, us par bharosa kare, usi se mohabbat kareen, jab koi mushkil aaye to usi ko madad ke liye pukare. Lekin hum uski din raat nafarmani karte hai phir bhi vo hamain diye chala jata hai lekin ye gunah aesa hai jisko vo zulm samjhta apni zaat ke liye jise vo kabhi nahin bakshega vo hai shirk. Jinhone shirk kiya hoga Qayamat ke din Allah SWT aese logon ki taraf dekhenge bhi nahi na unse baat karenge. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 21 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- SHIRK KYA HAI 1. Kisi se aesi mohabbat karna jaisi Allah ka haq hai. Jaisi mohabbat Allah se karni chahiye. Pathar ko khuda banana, kisi buzurg se aqidat rakhna, ki yehi sab kuch theek kar sakta hai aur koi nahi. 2. Madad ke liye Allah ko chodh kar insano ko pukarna aur ye samjhna ki ye hamain mushkil se bachayenge. Insan ko sirf zariya samjhna chahiye ki Allah ne madad ki ise hamari madad ke liue bheja. 3. Qabro par jana, unse mangna ki ye qabr vale Allah se hamari sifarish karenge jab ki vo to mar chuke hai unka to is duniya se koi talluq hi nahin hai Qabr vale na sunte hai na bolte hai lekin majority of Muslims hinduoon ko dekh kar qabro ki pooja shuru kar dete hai. Ye Allah par bahot bada zulm hai .Qayamat ke din Allah SWT kahenge bulao un ko khud ko chudhane ke liye jinko tum duniya main mujhe chodh kar pukarte the. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 22 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 4. Maal par bharosa karna ki yehi mera sahara hai din raat paisa kamane main lagna namaze chodhna ye samjhna ki yehi maal bure vaqt main kaam ayega ye bhi shirk hai kyonki bure vaqt main Allah SWT kaam aate hain na ki maal .Surah Kahaf main baagh vale ka kissa yaad kareen .ki ak min lagta hai jab jal kar khtam ho jata hai .iska matlab ye nahi ki insan maal na kamaye .kamaye use Allah ke raste main lagane ke liye apni living ke liye kamaye lekin us par bharosa na kare. 5. Dikhava karna logon ke samne alag, akele main alag. Namaz padhna logon ko dikhane ke liye, naiki ke kaam karna Allah Taa'la aese amal qubool nahin karta yahan humne Allah ke saath logon ko shareek kiya ki Allah SWT aapke liye to kiya tha -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 23 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- lekin aap sab ke saath share kar lijeye. To Allah ko khalis kaam uske liye chahiye use sharing pasand nahi. 6. Khud ki baat manna yani namaz ka vaqt hai lekin hum match dekh rahe hain hamara dil nahin chah raha ki namaz padhe to humne Allah ki baat na maan kar apni baat mani Allah par zulm kiya shirk kiya.haan Allah Taa'la namaz ka vaqt to hai lekin mujhe aapse mulaqaat nahi karni main apni baat sununga aur TV dekhunga to is vaqt aapne Allah ki baat na sun kar apne nafs ki baat suni .shirk kiya. Zulm kiya .yaad rahe ki ye aankhe aapko Allah ne di hai. Isliye nahi ki aap inke zariye Allah ki nafarmani karen. 7. Bimar hue to ye kahna ki uski vajah se bimaar hue. Ki Allah ne mujhe ye takleef di. Why me? Jab ki vo to taqdeer main likhi thi. Bimari ko Allah SWT hamare gunaho ko dhone ka zariya banate hain isliye Har haal main Allah SWT ka shukar ada kare. Apne nafe- nuqsaan ka zimmedaar kisi ko thahrana jab ki nafe- nuqsaan ka malik sirf Allah hai. Yani iski vajah se mujhe fayeda hua uski vajah se nuqsaan hua. Yani zarur usne jadu kiya hoga to main -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 24 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- bimaar hua. Ye sab zulm hai Allah ko in batain se takleef hoti hai. 8. Ye kahna ki us Doctor ki is dava se main theek hua ye bhi shirk hai kyonki theek to Allah ne kiya Dr. Aur dava to sirf zariya the. Agar Allah na chahe to koi dava shifa nahi de sakti. Iska matlab ye bhi nahi ki sab kuch chodhkar bheth jayeen ki agar kismat main hoga to khud theek ho jayenge. Nahi asbaab to hamain istemaal karna hai is duniya main zindagi guzaarne ke liye lekin bharosa sirf Allah par karna hai. 9. Taveez pehanna ki ye musibat se bachayega. Taveez par bharosa karna Allah par nahin.hamain pata nahi hota ki taveez main kya likha hai ,agar Qur'an ki koi aayat likhi hai to vo pehan kar toilet ja rahe hain to ak gunah ke oper dosra gunah. Ye samjhna ki ye taveez pahan liya ab koi musibat nahi aa sakti. Ye bhi zulm hai musibat se Allah SWT hi bacha sakte hain koi taveez nahi sahaba ya Aap SAW ne kabhi koi taveez nahi pehna. 10. Maan-Baap ya shohar ya bivi ya bachcho ya dosti ki khushi ke liye Allah ke nafarmani vale kaam -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 25 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- karna jaise shohar ki khushi ke liye parda chodh dena ya bivi ke kahne par rishvat lena yani jo Allah ne haram karar diya ho use in logon ki khatir halal kar lena yani maan-baap ko kisi dargah par le jana ye kah kar ki Maan-Baab ki khushi ke liye ye bhi Allah ke saath shirk hai ki Allah ki baat na maan kar humne inki baat mani. Dost bura maan jayega ye sooch kar vo kaam karna jiska karna Allah ko pasand nahi. Yaad rahe ki ye rishte aap ko Allah ne diye hain .Isliye nahi ki aap inki mohabbat main Allah ki nafarmani kareen. Ye bahut sensitive issue hai bahut phoonk- phoonk kar qadam rakhna hota hai ki kahin koi aesi galti na ho jaye ki shirk ho jaye. Allah par zulm ho aur Allah ko humse takleef pahunche. Jab hum Allah ke bajaye kisi aur ko importance dete hai to Allah Taa'la ko bilkul pasand nahin aata aur agar usi halat main mout aa gaye to ye vo ak akela gunah hai jisko Allah SWT kabhi nahin bakhshenge. Shirk ki vajah se sari naikiyaan bhi zaya ho jati hai. Allah SWT kahte hain ye naikiyaan mere liye to nahin ki. Jisko khush karna tha duniya main kar diya mere liye kya laye ho. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 26 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- Isliye hamain chahiye ki shirk ke bare main zyada se zyada jane aur usi se mohabbat kare jisne sab kuch diya usi se mange jo sab kuch de sakta hai aur har haal main usi ka ahsaan mane usi ka shukar ada kare. Aap SAW ke chacha jinhone sari zindagi apko protect kiya Abu Talib jinhone aapko pala kuffare makkah to aapki jaan ke dushman the unse sari zindagi hifazat ki lekin marte dam tak islam nahin laye aur kufr ki halat main hi mar gaye jab Aap SAW ne Allah se unki maghfirat ki dua ki to Allah SWT ne aapko dua karne se rok diya inse zyada kya naiki ho sakto hai ki Aap SAW ko sambhala, qadam-qadam par saath diya, lekin unke shirk ki vajah se sari naikiyaan zaya ho gaye. Yani pori zindagi bahot achche kaam kiye lekin Allah ko rab na mana .Isse unko bhi javab mil jayega to mother Teresa ke bare main poochte hai. Achche kamoon main do cheeze zaruri hain ak vo sirf Allah ko khush karne ke liye kiye jayeen dosra jo tariqa Aap SAW ne bataya vese kiye jayeen. Apna koi tariqa usme add na kiya jayee. Jo Allah ki ibadat nahi karte aur bahot achche kaam karte hain unko uska badla duniya main hi de diya jata hai. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 27 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- Shaitan sab se pehle insan ko shirk main phasata hai kyonki uska vada hai ki main tere bando ko age se peeche se daye se baye se behkaonga aur tu majority ko nashukra payega. To Allah SWT ne bhi usko javab diya ki jo teri baat manenge unko bhi main tere saath Jahannum main dalunga lekin mere mukhlis yani khalis bando par tera zor nahin chalega. Shaitan oper aur neeche kahna bhool gaya isliye shaitan se bachne ke liye oper ka rasta yani Allah se dua ka rasta khula hai. Dosra neeche ka sijda yani namaz nafil, namaz tahajjud se Allah se madad mangne ka darvaza khula hai. ALLAH TA'ALA' HAMAIN MEHFOOZ RAKHE AAMEEN -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 28 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 56. SHIRK (Zulm E AZEEM) PART - 2 TYPES OF SHIRK 1. Allah ke siwa kisiaur ko musibat ya pareshani main pukarna ya madad ke liye pukarnajo maujood nahin hai, zinda nahi hai shirk hai. Jaise Ghause Azam/ya Khwaja Ghareeb Nawaz/ya Nabi/ya Ali etc. Agar asbaab samne hai jaise bimari me doctor, police for security, agar gaddhe me gir jaye aur koi upar hai to usko hath dekar madadke liye pukarna etc jayaz hai. 2. Dori/dhage/seepi/kodi/moti/stone/metal/angooth i/chhalla /mala /nibu/mirchi/taweez/qabr ki mitti/kapda/kaaghaz/ adhe hue keelen/huroofe muqattaat/ghode ki naal/ imaam zamin bandhna, -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 29 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- gale me ya ghar me ya car me chipkana, thokna, latkana, tona totka dabana hifazat barkat ke liye ki hamari hifazat karenge, sab shirk hai sirf shirk. 3. Ganda-dhage par Qur'an me se kuch padhkar phoonk kar githane bandh kar pehanna shirk hai. Allah ne to hamain phoonk maar kar ghanthan bandhne wali aurton se khud ki panah mangna sikhaya hai Surah FALAQ main. 4. Taweez-chahe usme numbers wala naqsh ho/ya Allah ka naam/ya ayatul kursi/ya poora QUR'AN ye sab pehanna aur latkana shirk hai. 5. Tilismi moti-teeth nikalte waqt bachchon ke gale me kale dhage me jo dalte hain yeh shirk hai. Jab daant nikalna honge tabhi niklenge insab se kuch nahi hota Atqaad khraab hota hai. Allah ko pasand nahi hai aur iska koi medicinal use bhi nahi hai. 6. Tughra-Allah ke naam/charon qul/ayatul kursi/ Qur'an ya huroofe muqatta-at/kaabe ka darwaza etc gharon ya dukano me is niyat se lagana ki barkat ho, nazar se bache, shaitan na aye, hifazat ho ye shirk hai haan sirf decoration, ya dekh kar bar bar padhenge is liye lagaya ja sakta hai. 7. Car hangings-paper/iron/copper jis par Allah ka naam/ayatul kursi ya kuch bhi likha ho car me -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 30 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- hifazat ke liye rakhna ya is niyat se ki koi musibat nahi aaegi Qur'an ki copy rakhna shirk hai. Agar niyat ye hai ki isliye rakh rahe hain ki agar time milega to Qur'an padh lenge koi Surah yaad kar lenge. Ya safar ki dua dekhkar yaad rahega ki dua padhkar gadi main bhethna hai to vo theek hai, shirk nahi hai. Hamara pore deen ki buniyaad niyat par hai ki ander kya sooch rahe hain. 8. Allah ke alawa kisi aur ke liye nazro -niyaaz manna shirk hai. 9. Dargah /alam/taziye par jana, chadhawe chadhana, dua mangna, tawaaf karna shirk hai. 10. Jadu karna jadu karvana kufr hai jo shirk ka sabab banta hai, faal kholna ya parchiyen nikalkar apni qismat maloom karna shirk hai. 11. Nazar se bachne ke liye kala teeka lagana, ya body par saleeb/cross ka nishan banana, dinon yani days ko lucky ya unlucky samajhna like mangal, shani etc shirk hai. 12. Horoscope/zodiac signs par yaqeen karna aur apni taqdeer janne ki koshish karna shirk hai isi tarna haath dikhana apni kismat maloom karna. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 31 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- Sitaroon se kismat maloom karne ki koshish karna sab shirk hai. SUPPLICATION FOR FEAR OF SHIRK َو َأ ْس َت ْغ ِّف ُر َ َِّك َمإ ََل َأ ْع َ َُل،َ ْش َك ِّب َك َو َأَنَ َأ ْع َ َُل ِّ ْ َُاللَّهُ َّمإ ِّن ْيأَ ُع ْو ُذ ِّب ََكَنْأ ِ “O Allah, I take refuge in you least I should commit shirk with you knowingly and I seek your forgiveness for what I do unknowingly”. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 32 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 57. LOVE ALLAH Jab maine Qur'an shuru kiya to akdam se khud ko change karna bahot mushkil tha. Accident ke baad kafi cheeze jaise film, TV, gane, ye to sirf khauf se chode the lekin phir bhi bahot kuch tha jo apne ander change karna tha. Main apni teacher se kahti main hijaab nahi kar sakti, mujhse nahi hota, naqab lagane main mera dam ghutta hai. Abaya India main pehanne main mujhe garmi lagti hai, to vo smile deti aur kahti ki jab Allah se mohabbat ho jayegi to sab asaan ho jayega. Mujhe lagta tha kya mujhe Allah se mohabbat nahi hai, aur kya hai ye mohabbat aur mujhe kab hogi. Phir jab Qur'an ke saath vaqt guzarta gaya aur Qur'an ke saath- saath Aap SAW ki life history padhi ,sahaba ki life history padhi dekha ki unko Allah se kaisi mohabbat thi to thodha- thodha samjh main aana shuru hua. Mohabbat ak driving force hai jo insan se kuch bhi karva leti hai phir insan ki apni marzi nahi chalti. Bas phir ye ahsaas hota hai ki jisse mohabbat hai vo -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 33 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- khush rahe hamare kisi kaam se naraz na ho. Phir mujhe ahsaas hua ki hum sab Allah ki, Aap SAW ki izzat to karte hain lekin shayad mohabbat nahi karte isi liye hamain deen ki batain follow karne main takleef hoti hai. Isko isse samjhte hain jaise Saudi Arabia ke naye king Salmaan hain. As a king sab unki izzat karte hain.Lekin jaise hi vo king bane to dhere -dhere unke bare main pata chalna shuru hua ki vo hafize Qur'an hai.Bahot khoobsurat Qur'an padhte hain, unke ander Allah ka khauf hai, namaz ki hifazat karte hain, namaz ka vaqt hua to Obama ko chodh kar chale gaye.jab crown prince the to aam logon ke saath tavaf karte the. Itna sab kuch sunkar unse mohabbat bhi hui, izzat ke saath ki itne achche insan hain. Isi tarah hum sab Allah Taa'la ki izzat to karte hain lekin kam jaane ki vajah se vo mohabbat nahi karte jitni karni chahiye. Agar hamain Allah se mohabbat ho jayegi to deen aur bhi asaan ho jayega. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 34 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- Uske liye Allah Taa'la ke bare me zyada se zyada jaanne ki koshish karna chahiye, usse milne ka shauk hona chahiye.jisse hamara usse ak rishta qayam ho sake taki hum har vaqt Allah ko apne saath mehsoos kare apne khushi gham main usko pukarain. Allah Taa'la Qur'an main kahte hain inhone meri qadar ki hi nahi jaisi karni chahiye thi. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 35 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 58. DAILY CHECKLIST 1. Subah sabse pehle FAJIR KI NMAAZ 2. Phir thoda sa QUR'AN PADHNA 3. Phir SUBAH KI DUAYEE net se mil jayengi aur 10 min., lagenge padhne main. 4. Ghar se nikalte hi SADQA dena. 5. ZOHAR KI NAMAZ vaqt par. 6. ASIR KI NAMAZ vaqt par kyonki is vaqt farishte change hote hain to ALLAH TAA'LA ke paas gavahi denge ki humne isko is haal main chodha ki ye namaaz padh raha tha. 7. SHAM KI DUAYEEN - Subah sham ki duayeen hamari hifazat karti hain. 8. MAGHRIB KI NAMAZ. 9. Phir ISHA KI NAMAZ. Uske baad o SURAH MULK -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 36 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- o RAAT KI DUAYEEN o AYATAL KURSI o TEENO QUL o VAZU KARKE SONA. 10. Sona seedhi karvat par aur jaldi sona kyonki fajir main phir uthna hai. 11. Iske alava din bhar sirf LA ILLAHA ILLALLAH padhte rahe shuru main adat isi se dale. 12. Koshish kareen din bhar main kisi ak ko khana khila deen Ofcourse kisi friend ko nahi kisi gareeb ko friends ko to hum aese hi khilate rahte hain. 13. Iske alava kisi ki madad kren jo madad mange bagair kisi return ki umeed ke.Aur jo bhi naiki ke kaam kar sakte hoon. 14. Raat ko sone se pehle calculate kareen ki aaj kitni naikiyaan kamai. 15. Haram se bachna, jhoot nahi bolna masaaq main bhi nahi etc. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 37 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 59. DUA (RABBANA) RABBINA ATINA FID DUNIYA HASANATAUN VA FIL AAKHIRATI HASANATAUN VAQINA AZAAB UN NAAR. RABB- Ae Hamare Rab. NA- Humko AATI- De NA- Humko FI- Main DUNIYA- Duniya HASANA- Bhalaiyaan VA- Aur FI- Main L- Liye AAKHIRATI- Aakhrat HASANA- Bhalaiyaan VA- Aur QI- Bacha NA- Humko AZAAB- Azaab UN- Se NAAR- Aag -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 38 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- Ae hamare rab de humko is duniya main bhalaiyaan aur aakhrat main bhalaiyaan aur bacha humko aag ke azaab se. AYAH 201 SURAH BAQARAH. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 39 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 60. VAHI Allah Taa'la ne duniya banaye insano ko banaya phir aese hi duniya main bhatakne ke liye chodh nahi diya shuru se paigambaro ko bheja messengers prophets jinhone Allah ke message ko hum tak pahunchaya ki Allah Taa'la ne hamain kyon banaya hai hamari zindagi ka purpose kya hai hamain mar kar kahan jana hai .Ye paigham message Allah Taa'la ne vahi ke zariye Qur'an ki shakal main hum tak pahunchaya. Jab bhi koi naya electronic market main launch hota hai to uske saath ek book hoti hai jisme likha hota hai use kaise chalana agar hum vo book na padhe aur apni marzi se use chalaye yani agar 220v ki jagah use 110v par chalaye ya vice versa to kya hoga. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 40 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- Isi tarah Allah Taa'la ne hamare liye Qur'an utara jo hamari kitaab hai iska topic insan hai isme bataya gaya hai ki insan ko kaise chalna hai, kya boundaries hai, kin laws ko use follow karna hai aur Allah Taa'la usse kya expect karte hain. Ye pora Qur'an 23 years main Aap SAW par vahi ke zariye utra. VAHI KYA HAI? Jibrael Alehisalam jo farishtoon ke sardaar the ye Aap SAW ke paas vahi late the. Vahi message tha Allah Taa'la ka jab vahi aati to Aap par ak ajeeb si neend ki kafiyat hoti Aap ke aas paas ke logon ko buzzing sound mehsoos hoti ya ghanti ki avaz jo Aap ke paas betha hota vo samjh jata ki Qur'an nazil ho raha hai Aap SAW par bahot boojh padta agar Aap kisi oontni par hote to vo vazan se beeth jati. Ak baar Aap SAW kisi sahabi ke saath bethe the aapka ghutna unke ghutne par rakha tha vahi shuru hui to un sahabi ko itna boojh mehsoos hua ki unhe laga ki unka peer toot jayega. Sakht sardi main jab Aap SAW par vahi aati to Aap SAW paseene- paseene ho jate. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 41 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- Jab vahi khtam hoti to Aap ko vo sab kuch yaad hota tha jo Allah Taa'la ne aapko message bheja hota tha, Aap sahaba ko bulva kar unhe likhva dete the isi tarah 23 years main Qur'an pora hua baad main ise book ki shakal main copy kiya gaya. Ye ak live kitaab hai jaise hi hum Qur'an kholte hai Allah Taa'la ko pata chal jata hai .aur hamara communication Allah se shuru ho jata hai iski kisi bhi ayah ko padhkar koi ye nahi kah sakta ki ye 1400 years purani kitaab hai hum jab Qur'an padhna shuru karte hain to jo bhi hamari zindagi main chal raha hota hai vohi ayate aani shuru ho jati hai jo bhi hamari problem hoti hai uska solution mil jata hai agar yaqeen na ho to karke dekh le .ye book of guidance hai jo insaan ko Allah ke zariye guide karti hai lekin hum ise samjh kar nahi padhte isliye hum iski azmat ko mehsoos nahi kar pate aur us guidance se mehroom ho jate hain. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 42 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 61. INSAAF KA DIN Allah SWT ne insaan ko banaya to aese hi nahi bheja pori tarah programming karke bheja. Jaise hum koi mobile khareedte hai to usme pehle se kafi programmes downloaded hote hai uske baad aage hum jo chahe usme load karte jate hain.Isi tarah kaynaat ki har cheezki bhi Allah Taa'la ne programming ki hai jaise jo janver carnivorous hai vo grass nahi kha sakte. Shair kitna bhi bhooka ho apne banchcho ko nahi khata, har kism ki chidiya (bird ) ka nest banane ka tariqa alag hota hai, ye sab kisne unhe sikhaya. Suraj, Chaand sab ko pata hai ki kab kisko nikalna hai. Galaxies main har koi apne orbit main hai koi bhi apni limit cross nahi karta. Har cheez disciplined hai. Har ek Allah ki ibadat main lage hue hain Qur'an main baar baar aata hai ki -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 43 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- kaynaat ki har cheez uski tasbeeh kar rahi hai lekin tum use samjh nahi sakte. In sab ka hisaab nahi hoga kyonki inko choice nahi di gaye yani ye apni marzi nahi kar sakte. Isliye qayamat ke din inko khtam kar diya jayega yani inke liye koi jannat dosakh nahi hai. Ab insaan; isko Allah ne sabse khoobsurat banaya, aqal di, samjh di aur balance bhi diya phir duniya main free choice dekar chodha. Uske baad bhi use pori tarah apni marzi karne ki ijazat nahi hai ye aesa hi hai jaise kisi janver ke gale main lambi rassi bandhi ho aur use grazing ke liye chodh diya jaye lekin jab vo had se age badhne ki koshish kare to rassi kheench li jaye. Isliye use azadi to hai lekin had se age bhi nahi badhne diya gaya. Isliye insaan ke paas choice to hai lekin limited. Isliye har insaan vo sab nahi kar sakta jo uski marzi hoti hai .ek had par use rukna hi hota hai. Ye jo Allah ne use balance diya iski programming Allah SWT ne sab ke liye ek jaisi ki yani har insaan chahe koi bhi religion follow karta ho use pata hai kya sahi hai kya galat hai. Jhoot bolna, dhoka dena galat hai ye sab jante hai etc. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 44 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- Jab insaan achcha karta hai to chahta hai ki use praise kiya jaye, jaise chote bachche kuch achcha kar ke chahte hain ki unhe shabashi mile aur jab galti karte hain to chupte hain pareshan hote hain unhe pata hota hai ki unko saza milegi. Isi tarah jab koi aur insaan ke saath zulm karta hai to vo chahta hai ki uske saath insaaf ho. Jisne bura kiya hai usko saza mile. Kya jisne pori zindagi achche kaam kiye aur jisne pori zindagi bure kaam dono ka anjaam sirf maut ho. To ye to insaaf nahi isliye Allah SWT ne qayamat ka din rakha ki achche logon ko unke kamoon ka achcha badla mile aur bure logon ko saza mile jo unhone duniya main zulm kiye hain. Isse hamare ander ek sukoon ka ahsaas bhi paida hota hai ki koi chahe hamare saath kitna bhi bura kare is duniya main, ek din hai jab Allah SWT usko uski saza denge. Is baat se uske liye zulm sehan karna, sabr karna sab asaan ho jata hai. Phir koi uske saath bura bhi karta hai to use bura nahi lagta vo har cheez Allah par chodhta jata hai. Ye ehsaas use ek khoobsurat personality bhi deta hai. Phir aese insaan se sab mohabbat karne lagte hain. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 45 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- Lekin ak dosre tarah ka insaan hota hai jo har vaqt apni marzi karna chahta hai. Uske ander ki programming jab use alert karti hai to use shut down kar deta hai .Vo gunah karna chahta hai kyonki shaitaan ne gunahoon main bahot lazzat rakhi hai .Insaan gunah karke bahot enjoy karta hai. Qayamat ke din ka inkar bhi vo isliye karta hai kyonki vo aur gunah karna chahta hai, palatna nahi chahta. Agar jeete je aesa inssan nahi sambhla to marne ke baad qayamat ke din uska regret karna use koi kaam na dega. Us din aese log kahenge ae Allah hamain duniya main ek baar phir vapas bhej dijeye ab hum achche kaam karke aayenge.Us vaqt Allah SWT unki taraf dekhenge bhi nahi aur na baat karenge. Us din unhe apni har sans par afsoos hoga ki humne duniya main apna vaqt barbaad kiya. Kash ke hum kuch kar lete. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 46 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 62. SADQA AUR TAHAJJUD ALHAMDULILLAH going to finish 27th para bahot achchi ayat padh rahi thi soocha shure karu. AYAT 11 SURAH HADEED Allah Taa'la farmate hain kon hai jo Allah ko qarz de, achcha qarz, to Allah Taa'la use dugna karke lotayenge aur uske kiye izzat vala ajar hai. EXPLANATION Allah Taa'la ke paas to zameen aasmaan ki har cheez hai Phir vo humse qarz kyon mang rahe hain? Hamare liye taki Allah Taa'la ne jo hamain diya hai usme se hum Allah Taa'la ke raste main kharch kareen. Niyat sirf ye ho ki Allah ki khatir de rahe hain. Sadqa hamesha chupa kar karna chahiye ki paas khade shaks ko bhi pata na chale ki aapne kisi ko kuch diya. Jisko kuch den usse ye bhi expect na kareen ki vo badle main aapko shukriya kahe, na usse koi badla ki -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 47 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- umeed ho ki hum iski itni financially help karte hain badle main ye hamare liye kuch kar de. Dikhave ke liye sadqa na ho ki sab kahe ki ye bahot sadqa karta hai. Aesa sadqa Allah Taa'la qubool nahi karte. Qarz jisko diya jata hai uski zimmedari hoti hai ki vo use lotaye aur jo bhi hum Allah ke raste main kharch karte hain Allah Taa'la use apne oper qarz lete hain ki lotane ki zimmedari Allah ki hai. Jab bhi ghar se nikle to fajir ki do sunnat aur do farz padh kar nikleen. Agar fajir main na neend khul paye to jab uthe jab padh le chahe vaqt chala bhi gaya ho tab bhi. Fajir ki namaz se hum Allah Taa'la ki protection main rahte hain agar fajir chodhte hain to Allah Taa'la ki protection se bahar ho jate hai. Hamain phir farishte bhi protect nahi karte isi tarah bahar jate vaqt roz sadqa den chahe thodha hi lekin apni adat banaye ki office jane se pehle sadqa de den isse bhi protection milti hain. Ye ayat Qur'an main kafi jagah repeat ho chuki hai. Jab ye ayat nazil hui to aapne sahaba ko bataya to ak sahaba the Abu Darda vo kafi baad main islam laye the to unhe bahot afsoos rahta tha ki jo pehle islam -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 48 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- layee hain unke levels jannat main unse oper honge.Unhone jaise hi ye ayat suni Aap SAW se kaha ki mere paas do bagh hain ak zyada achcha hai jisme mera ghar hai aur 600 khajoorke pedh hain main vo baagh Allah Taa'la ko qarz deta hoon . Apne baagh ke bahar se khadhe hokar apni bivi ko avaz lagai ki banchcho ke lekar bahar aa jao maine ye pora baagh Allah ko qarz de diya. Vo bhi sahabiya thin foran apne banchcho ko lekar bahar aa gayeen aur kahne lagin ki aapne Allah ke saath bahot achcha sauda kiya... Aese jaise hi koi ayat nazil hoti thi sahaba jaldi se jaldi us par amal karne ki koshish karte the aur hum Qur'an kholte hain aur band kar dete hain. HADEES Aap SAW ne farmaya jab raat ka one third hissa bachta hai to Allah Ta'ala apne arsh se utar kar hamare pehle aasman par aate hain aur kahte hain koi hai jo mujhe pukare to main uski pukaar sunu ,koi hai jo mujhse apne gunaho ki bakshish mange to main use baksh doon aur vo apna haath phailate hain ki kon hai jo mujhe qarz de jabki na main khali -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 49 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- haath hoon na zalim hoon. Yani tumse mang kar main tum par zulm nahi kar raha iska dugna tumhe lotaonga. Aur ye har raat hota hai. Vo dua bhi sunte hain bakshish bhi karte hain aur naiki ki taraf bhi bulate hain. Hum kitne pareshan hote hain ki dua qubool nahi ho rahi hai kya kareen, kabhi koi vazifa padhte hain, kabhi kisi se kahte hain ki mere liye dua karo to ye sabse achcha tariqa hai tahajjud main uthe aur allah Taa'la se batain kareen, uske samne royeen, use apni takleef bataye, usse mange. Tahajjud ki dua zarur qubool hoti hai. Agar hum raat ko jaldi so jaye to bahot araam se fajir ke ak ghante pehle neend khul jati hai. Agar himmat nahi bister se uthne ki to agar aese vaqt neend khule to bister par lete lete hi duayeen kar leen ye qubuliyat ka vaqt hota hai pata nahi kon si hamari dua qubool ho jaye. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 50 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 51 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 63. TAKLEEF KAREEN MEHSOOS Ak baar Aap SAW subah- subah sahaba ke saath bethe unhe taleem de rahe the itne main ak qabile ke kuch log aaye unhe dekh kar lag raha tha jaise unhone bahot dino se kuch khaya nahi hai aur unke paas pora badan dhankne ke liye kapde bhi nahi the Aap SAW ne unhe dekha to tadap gaye apne ghar gaye ki shayad kuch mil jaye taki unki madad kar saken lekin ghar main kuch nahi tha kyonki aap to kuch aate hi pehle sadqa kar diya karte. HZ phir bahar aaye aur Billal se kaha azan de log namaz padhne aaye namaz ke baad Aap SAW ne khutba diya yani logon ko address kiya unhe Qur'an sunaya ki logon ko sadqa do apne dirham aur dinaar se aur agar kuch na ho to khajoor ka ak tukda hi do lekin khud ko Jahannum ki aag se bachao yani logon ki takleef mehsoos karo unki madad ke liye age aao ye sunte hi logon ke paas jo kuch tha unhone lana shuru kar diya. Yahan tak ki dheer lag gaya,aap SAW khush hue aur unki madad ki. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 52 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- Yahan jo seekhne ko mila vo ye ki jab bhi kisi ko takleef main dekhe to bas ye na karen ki takleef mehsoos karen aur chodh de ki koi aur madad kar dega sab se pehle khud age badhkar madad karne ki koshish kare phir jab namaz ka vaqt ho pehle namaaz ada kareen Aap Saw chahte to kahte pehle inki madad karo phir thodi deer se namaz padh lenge lekin namaz ke mamle main no compromise. Uske baad Aap SAW Allah ka kalam sunakar logon ko sadqa karne ko kaha taki sab log aapke hukum se nahi apni dil ki khushi se sadqa kareen. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 53 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 64. ITIKAAF (SECLUSION) To isolate oneself har duniya ke kaam se aur Allah se jud jana sab kuch bhool kar. Allah Ta’ala se talluq jodne ka sabse khoobsurat zariya jisme hum hain aur Allah Ta’ala aur beech main koi nahi . Isme khud ko Duniya se kaat kar masjid main raha jata hai aur ibadat ki jati hai. MAQSAD Kuch vaqt ke liye duniya chodh kar Allah ki zyada se zyada ibadat karna. Bahot bahot istaghfaar karke Allah se dua karna ki abhi tak se sare gunah Allah Ta’ala mauf kar deen. Khud ke liye jannat mangna aur jahannum se panah mangna. Khoob achche se Qur'an ko samjh kar padhna, apni zaban ko Allah ke zikr se tarr moist rakhna. Nafil namaze ada karna. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 54 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- Masjid muttaqeen ka ghar hai yani vo har namaz masjid main ada karte hain.jo shaks masjid main hota hai uspar Allah ki khas rahmate hoti hain usse Allah Ta’ala khush ho jate hain, uske liye qayamat ke din pulsaraat se guzaarna asaan kar dete hain. Allah Ta’ala logon ke masjid main aane se aese khush hote hain jaise jab koi gum jaye aur jab mile to ghar vale khush hote hain. Itikaaf ka matlab hai thahar jana ruk jana kisi cheez ko khud par lazim kar lena. To restrict ourself at one place. Itikaaf do tarah ka hota hai; A. Vajib- Agar kisi ne mannat mani ho ki main Itikaaf karunga to phir us par lazim ho jata hai use karna hi hoga.ak baar hz umar ne nazar mani thi ki vo ak raat ka Itikaaf karenge to aap SAW ne pasandida unhe ijazat di thi.vese nazar manna nahi kyonki hum isme condition rakhte hain Allah ke samne ki agar ye kaam ho gaya to hum aesa karenge. Yahan HZ Umar ne jo nazar mani thi vo islam lane se pehle ki thi. B. Sunnat hai sunnate muaqqida- Iski taqeed ki hai aap SAW ne ki aesa karo. Ye na farze ain hai aur -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 55 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- na farze kifaya. Farze ain yani definitely aapko karna hi hai. Farze kifaya yani agar kuch log kar leen to baqi logon ko karne ki zarurat nahi. o Itikaaf ke liye niyat karna zaruri hai, niyat dil main hogi koi alfaaz kahna sabit nahi. o Itikaaf ke liye maghrib main masjid main dakhil ho, pori raat ibadat kareen phir fajir se Itikaaf shuru kareen.agar ramzaan Itikaaf ke aakhri ashre ka karna ho to 20 roze ki maghrib main masjid main dakhil hoon pori raat ibadat kareen kyonki vo 21st shab hogi. Phir fajir main Itikaaf ki jagah dakhil hoon aur Itikaaf shuru kareen. Jo 29th ki maghrib ko khtam hoga, agar 10 din ka Itikaaf hai to. o Itikaaf masjid main hi karna zaruri hai ghar main Itikaaf nahi hota. Agar aurat hai to use bhi ghar main Itikaaf karne ki ijazat nahi. Aurat ka Itikaaf uske shohar ki marzi se hoga, agar vo ijazat de to vo Itikaaf karegi.Vo aurtoon ki masjid main karegi jahan koi mard nahin hoga. Uska Itikaaf bhi same aesa hi hoga jaisa mard ka hoga bas -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 56 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- uska paak hona zaruri hai. Aap SAW ki zindagi main kisi bhi aurat ne kabhi bhi apne ghar main Itikaaf nahi kiya hamesha masjid main hi kiya. Isiliye ye compulsory ibadat nahi hai, jo easily kar sakta ho vo kare. o Itikaaf dikhave ke liye na ho ki sab kar rahe hain to hum bhi karenge. o Itikaaf ke liye apna zaruri saman saath le jaya jayega jaise tooth brush soap gadda pillow etc. o Itikaaf individual ibadat hai. o Aap SAW ramzaan main 10 din ka Itikaaf karte the.ak saal aapne ramzaan main nahi kiya to baad main shawwal ke mahine main kiya.jis saal aapka inteqaal hua aap SAW ne 20 din ka Itikaaf kiya.is saal aap SAW ne jibreel alehsalam ke saal do baar Qur'an revise kiya.jab aap SAW Itikaaf karte to masjid nabwi main ak tent laga diya jata. o Aap SAW ne hz umar ko ak raat ke Itikaaf ki bhi ijazat di isse pata chalta hai ki ak raat ka bhi ho sakta hai. o Kuch ghantoon ke Itikaaf ki bhi ijazat di gaye hai. o Itikaaf ke liye roza shart nahi hai. Yani agar koi buzurg hai jo roza na rakh sakta ho lekin Itikaaf -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 57 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- kar sakta hai to vo bagair roza rakhe bhi Itikaaf kar sakta hai. Lekin koi sehatmand roza chodh kar Itikaaf nahi kar sakta. o Ramzaan ke alava dosre mahino main bhi Itikaaf kiya ja sakta hai. o Itikaaf karne vale ko bagair sharaye uzar ke masjid se bahar aane ki ijazat nahi, jaise vo kisi bimaar ko dekhne nahi jayega, na kisi ke janaze main ja sakta hai. o Lekin majbori main jaya bhi ja sakta hai.jaise aap SAW ki ak bivi jab raat ko aapke paas kisi kaam se aayen jab aap Itikaaf main the to aap unhe ghar chodhne aaye kyonki vo akeli thin. o Agar kisi ko khana dene vala koi na ho to aesi condition main ghar khana lene jaya ja sakta hai lekin phir vo sirf khana le aur aa jaye . Duniya ki, kisi cheez main involve na ho. o Aap SAW ke zamane main Itikaaf ke liye masjidoon main tent lagaye jate the.har ak ka alag tent hota tha. Aaj kal masjidoon main parde se partition kiya jata hai. o Koshish kareen ki aesi Masjid main Itikaaf kareen jahan jumah padha jaye varna jumah padhne kahin aur jana hoga. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 58 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- o Itikaaf milkar nahi kiya jata yani aesa nahi hoga ki 2-4 log ak jagah ikaththa beth jayeen batain kareen aur kahe ki Itikaaf kar rahe hain ye galat hai. o Zyada se zyada Qur'an padha aur samjha jaye. Ramzan main ak Qur'an khtam karna sunnat hai farz nahi .aapki zindagi ke aakhri saal main aapne do baar Qur'an khtam kiya tha. Isse pata chalta hai ki Qur'an do baar bhi padha ja sakta hai, lekin sirf reading karna bagair samjhe fayeda nahi dega jab tak samjha na jayee aur us par amal na kiua jaye. o Itikaaf hi halat main husband wife ka relationship mana hai uske alava naha sakte hain perfume laga sakte hain .nails kaat sakte hain. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 59 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 65. LA ILAHA ILLALLAH LA- Nahi koi ILAHA- Yani aesi hasti jiski ibadat ki jaye mohabbat aur tazeem yani izzat ke saath sivaye Allah ke. Yani , Nahi koi ilaha sivaye Allah ke. Ye vo kalma hai jiske bagair koi muslim ho hi nahi sakta. Jab koi dosre mazhab se islam main revert hota hai to yehi kalma padhaya jata hai. Ye hamare deen ka base hai jis kisi ki zaban par ye kalma akhri alfaz bante hain maut se pehle Allah Ta'ala uski maghfirat kar dete hain .Ye vo kalma hai jo jab meezan yani tarazu par rakha jaye aur dosri taraf duniya ki sari nakiyaan rakhi jayeen to ye kalma bhari hoga . Koi musalmaan ho nahi sakta jab tak ye kalma uski zindagi main na ho, jo is kalme ke saath nahi jeeta vo maut ke vaqt jitni bhi koshish kar le unke muh se nahi nikal sakta. Ye islam ka first pillar hai SHAHADAH. Dekhen akhir is kalme main aesa kya hai… -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 60 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- Isko ak simple example se samjha ja sakta hai jaise aap kisi se kahe mujhe aapse mohabbat hai. Ya kisi se kahe mujhe aapse mohabbat hai aur kisi se nahi hai dono sentences main bahot difference hai pehla sentence show karta hai ki mujhe aap se mohabbat hai aur dosro se bhi ya ho sakti hai. Lekin dosra show karta hai ki mujhe sirf aur sirf aap se mohabbat hai kisi aur se nahi. Bas yehi matlab hai LA ILAHA ILLALLAH ka. Hum Allah Taa'la se promise karte hain, ek vada karte hain ahad karte hain ki Allah Taa'la hum sirf aur sirf aapki ibadat karte hai kisi aur ki nahi, aapke siva koi aur hai bhi nahi jo ibadat ke qabil ho. Itni pakki knot laga kar jab hum kisi aur ko unke festivals par wish karte hai, ki aapko mubarak ho iska matlab hota hai ki aap jo bhi kar rahe hain hum usko sahi samjh te hain aur aapke liye barkat ki dua kar rahe hai aur saath main beth kar vo cheeze khate hai jis par Allah ka naam nahi liya jata kisi aur ke naam se hi vo cheeze banaye jati hain. jab hum aesa karte hain to kya Allah Taa'la ke saath khyanat nahi karte ki zaban se to kahe ki sirf aapse mohabbat hai aur kisi se nahi lekin jab moqa mile to isse bhi -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 61 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- mohabbat show kare aur usse bhi .cake bhi kha rahe hai aur laddu bhi. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 62 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 66. STORY OF IBRAHIM ALEHISALAM PART - 1 Ibrahim Alehisalam jinhe Allah Taa'la ne apna dost kaha KHALEEL ULLAH yani friend of Allah. Aesa kya kiya inhone ki aaj muslims, jews, Christian sab inko apna paighambar mante hain. Ye iraq main paida hue us vaqt har taraf jahalat ka andhera tha, idol worship hoti thi, koi suraj ki poja karta, koi sitaroon ki har taraf confusion tha, usme inko hamesha bechaini rahti ye dua karte ki unhe sahi rasta mil jaye phir Allah Taa'la ne inki dua qubool ki aur apni pehchan karvaye inhone sabse kahna shuru kiya ki ak Allah ki ibadat karo lekin koi na mana. Ak din sab ne soocha ki inko khtam kar diya jaye kyonki ye hamain apni ibadat se rokte hai. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 63 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- Bahot badi aag jalaye gaye aur usme inhe phaink diya gaya lekin inhone Allah se madad mangi to Allah Taa'la ne inke liye aag ko thanda kar diya aur ye sahi salamat bahar aa gaye. Ye inka pehla test tha .uske baad jab inhone dekha ki ab in logon ko samjhane ka koi fayeda nahi to inhone vahan se hijrat ki yani Allah ke deen ko bachane ke liye vo jagah chodh di aur apni bivi HZ Sarah aur bhatije Lut Alehisalam ke saath philisteen aa gaye. Ye bahot boodhe ho chuke the inki koi aulaad na thi HZ Sarah bhi boodhi ho gaye thi to unhone inka dosra nikah HZ Hajra se karvaya. Unse Allah Taa'la ne inko aulaad di Ismael Alehisalam. Ab inka phir test shuru hua. Abhi Ismael Alehisalam paida hi hue the ki Allah Taa'la ne inko hukum diya ki apni bivi aur doodh peete bachche ko Makkah chodh aao, ye bina kuch bataye apni bivi Hajra aur Ismael Alehisalam ko Makkah lekar aaye us vaqt Makkah sirf pahado se ghiri jagah thi na pani na koi insan kuch bhi nahi tha Ibrahim Alehisalam jab unko chodh kar jane lage to HZ Hajra pareshan ho gayen ki unke paas thodi khajoor aur pani hai aur ye humain is tarah pahado ke beech kahan chodh kar ja rahe hain. Vo doudti hui peeche tak aaye kaha jata hai abhi Makkah main -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 64 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- jannatul Ma'ala hai vahah tak aayen ki aap humko akele chodh Alehisalam kar kahan ja rahe hain ne kuch bhi javab na diya Ibrahim is par HZ Hajra ne kaha ki kya Allah ka hukum hai to unhone apna sar hila diya bas vo vahi khadi rah gayeen aur sirf itna kaha ki agar Allah ka hukum hai to Allah Taa'la hamain zaya nahi karenge. Apne new born baby ko lekar vahan aayen jahan abhi zamzam ka kuan hai. Pahad the garmi thi na koi saya na koi pedh har tarah sirf pahad hi pahad thodi deer main pani khtam ho gaya ab nanhe Ismael Alehisalam dhoop aur pani ke liye tadap ne lage is par unhone apne bachche ko vahin litaya aur safa se marva jo do pahad hai unke beech main apne bachche ke pani ke liye dodhne lagi aur saath hi apne bachche ko dekhti jati ki kahin koi jangli janver unhe nuqsaan na de ye distance around half km ka hai beech main thodha deep tha vahan se unko apna bachcha nahi dikhta tha to aur teez dodhti jahah abhi green channel hai aese kar ke unhone safa marva ke 7chakkar lagaye Allah Taa'la ko unka ye dodhne apne bachche ke liye itna pasand aaya ki qayamat tak ke liye use baqi rakha ab jo bhi haj ya umra karne jata hai to use saye karni hoti hai yani aese hi 7 chakkar -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 65 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- lagane hote hai idher Ismael Alehisalam nanhe pair zameen par maar rahe the pyas aur garmi ki shiddat se. Allah Taa'la ne Jibrael Alehisalam ko bheja unhone Ismael Alehisalam ki aedi yani heel ki jagah apna par mara to vahan se zamzam ka chashma phota yani pani ka spring nikla aur pani behna shuru ho gaya itna pani nikla ki HZ Hajra pareshan ho gaye aur unhone kaha zam zam yani ruk ja tab jakar vo pani kam hua kaha jata hai agar vo aesa na kah ti to har cheez doob jati usi din se uska naam zam zam ho gaya. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 66 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 67. STORY ALEHISALAM OF IBRAHIM PART - 2 Jab vahan pani aaya to parinde aana shuru ho gaye, ak qabila tha Banu Jurham vo vahan se guzar raha tha jab un logon ne parindo ko dekha to unhe laga ki zarur yahan aas paas pani hai lekin vo jante the ki pehle pani na tha vo dhondhte-dhondhte HZ Hajra ke paas aa gaye aur unse ijazat mangi ki kya vo vahan rah sakte hain ,vo bilkul akeli thi unhone ijazat de di is tarah Allah Taa'la ne vahan ak shahar abaad kar diya ye vohi Ismael Alehisalam hain jinki nasal se age chalkar sirf ak paigambar Aap SAW paida hue . Hz Hajra ne apki parvarish shuru ki aur aapki bahot achchi parvarish ki. Ak aurat society main active role play nahi karti lekin vo aesi generation deti hai jo nations ki taqdeer badal deti hai isiliye ak maa ka dyniyavi taleem ke saath- saath deeni taleem bahot zaruri hai ki vo apne bete ko ak achcha insan banaye. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 67 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- Abhi Ismael Alehisalam thode hi bade hue the ki Allah Taa'la ne Ibrahim Alehisalam ko khwab mein dekhaya ki vo apne bete ko ziba kar rahe hain. Jiska zikr SURAH SAAFFAT mein aaya hai, paighambaro ke khwab bhi vahi ki kism hote hai. Iska matlab tha ki apne bete ko ALLAH ki rah mein qurbaan karo .Ak to budhape ki aulaad phir itni door aur ab hukum ho raha hai ki zibah karo lekin Ibrahim Alehisalam bhi Allah Taa'la ke muslim yani obedient bande the vo Ismael Alehisalam ke paas aaya aur unhe bataya ki ALLAH TAA’LA ne aesa hokum diya hai aur tumhara kyakhayal hai. Unhe bhi aesi tarbiyat mili thi ki itne chote the kahne lage abba aapko jo hokum mila hai aap kijeye. Ab dono vahan se nikle shaitan ne Ismael Alehisalam ko teen jagah behkane ki koshish ki, ki mat jao tumhare valid tumhe zibah karne ke liye le ja rahe hain unhone teeno jagah shaitan ko patthar phaink kar mara ye vohi jagah hai jahan hajj ke vaqt jamarat mein shaitanko 7 kankariyaan marijati hain phir age jakar Ibrahim Alehisalam ne Ismael Alehisalam ko peshani ke bal lita giya to aur jaise hi chaku unki garden par chalaya Allah Taa’la ne Ismael Alehisalam ko akmendhe yani dheep se replace kar diya ye -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 68 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- Jannat ka mandha tha jab uski avaz suni to Ibrahin Alehisalam ne dekha ki Ismael Alehisalam door khade hain aur unhone ak mendhe yani sheep ko ziba kiya hai .Allah Taa'la ne puraka ki ye tumhara test tha is par unhone Allah Taa’la ka bahot shukar ada kiya isli liye hum log 10 zul hijjah ko eid manate hai ye Ibrahim Alehisalam ki sunnat hai yani unhone aesa kiya tha. Haj pora Ibrahim Alehisalam ke isi story par based hai jo har saal lakho log karte hain. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 69 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 68. STORY ALEHISALAM OF IBRAHIM PART-3 Ibrahim Alehisalam Allah ke har test main paas hue to Allah Taa'la ke unhe Kaba banane ko kaha unhone Ismael Alehisalam ke saath mil kar usi foundation par jispar pehle farishte bana chuke the Kaba banana shuru kiya Jibrael Alehisalam jo farishtoon ke sardaar hain unhone akar bataya ki Kaba kaise banana hai yani uska shape kaisa hoga, kitna oper hoga, ak pathar laya gaya jispar khade hokar Ibrahim Alehisalam ne kaba banaya, vo pathar abhi bhi maujood hai Kabe ke saamne jo hamain yaad dilata hai ki Allah Ta'ala ko kaise bande chahiye jo qayamat tak ke liye maujood hai jab hum hajj ya umra karne jate hain to dekh sakte hain . Pora Kaba ban kar tayyar ho gaya to Jibrael Alehisalam jannat se kuch paththar laye jo kone ki divaar par laga diye gaye jinhe HAJRE ASVAD kaha jata hai jahan se tavaf shuru hota hai. Uske baad Ibrahim Alehisalam chale gaye. Phir kuch saloon baad phir vo apne bete se milne aaye to Ismael -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 70 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- Alehisalam ghar main nahi the, unki shadi ho chuki thi, ghar main bivi thin. Unse haal poocha to bivi ne khoob shikayate ki aur Allah ki khoob na shukri ki ispar Ibrahim Alehisalam ne kaha ki jab Ismael Alehisalam ghar aaye to unse kahna ki ghar ki chokhat badal de aur chale gaye. Jab bivi ne Ismael Alehisalam ko bataya to vo apne valid ka ishara samjh gaye aur bivi ko talaq de di. Uske baad Ismael Alehisalam ne banu jurham qabile ke sardaar ki beti se shadi ki Ibrahim Alehisalam dobara aaye aur unka haal poocha to is bivi ne khoob tareef ki aur Allah Taa'la ka khoob khoob shukar ada kiya to unhone kaha ki jab Ismael Alehisalam aye to unse kahna ye chokhat rahne de. Inki nasal se yani generation se Aap SAW ko paida hona tha isliye har cheez ka khyal rakha gaya. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 71 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 69. ALHUMDULILLAH AL-The HAMD-Tareef LI -Liye ALLAH-Allah ALHUMDULILLAH- Tamaam tareef aur shukr Allah hi ke liye. Iska matlab tareef aur shukr dono hai, ye Qur'an ka pehla word hai aur bahot si surate is word se shuru hoti hain.Allah Taa'la chahte hai ki hum har haal main chahe gham ho khushi ho Allah Taa'la ka shukar ada kare aur Alhamdullilah kahen. Agar gham aaye to sooche ki hamari hi galti ki saza hai jo mil rahi hai .Gham ya musibat ki nisbat kabhi Allah se nahi ki jati. Ye hamara test hai Allah Taa'la dekhna chahte hain ki gham main hum Allah ke qareeb hote hain ya door. Jaise kisi game main levels hote hain aur ak ke baad ak levels cross karne hote hain isi tarah jaise-jaise imaan badhta jata hai to Allah Taa'la ke test bhi badhte jate hain.Ye duniya hai yahan sabko different question paper milta hai uske imaan ke hisaab se.Ya to hum us test main fail hote hain aur ak level neeche gir jate hain ya usme -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 72 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- paas hokar next level ke liye eligible ho jate hain. Kabhi -kabhi hamare gunaho ki vajah se bhi Allah Taa'la gazabnaak hote hain aese main agar problem solve na ho rahi ho to sadqa dene ka hukum hai ki khoob-khoob sadqa kareen, istaghfaar kareen, aur har gham main Allah SWT ne Aap SAW ko khoobkhoob tasbeeh karne ko kaha. Agar koi khushi mile to sooche ki ye bhi test hai Allah Taa'la dekhna chahte hain ki hum Allah ka kitna shukar ada karte hain kyon ki shaitaan ne Allah Taa'la se vada kiya tha ki aap is insan ki majority ko na shukra payenge. Naymat yani blessing hamesha Allah ki taraf se aati hai jab koi success mile to kabhi ye na sooche ki hum itne padhe likhe hain, itne intelligent hai, hamare paas har cheez hai, hum to ye deserve karte hai, jaise hi insan ye soochta hai vo Allah Taa'la ki nigaho main pata nahi kitna gir jata hai, kyonki Allah Taa'la ko takabbur yani proud bilkul bhi pasand nahi ,kyonki jo kuch bhi insan ke paas hai aur jo success use mili hai vo bhi test hai ki banda kahin Allah ka shukriya ada karne ki bajaye kahin pora credit khud to nahi le raha . Har cheez Allah ki hi di hui hai. Aur har -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 73 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- blessing usi ki hi taraf se hai insan ki itni taqat nahi ki vo kuch kar sake. Hamain pata kaise chalega ki hum proud karte hain ya nahi…. Jab bhi aap khud ko dosre se behtar mehsoos kare chahe surat main, paise main ya ilm main yani education main to samjh leen ki aap bhi proud ka shikarr hain. Allah Taa'la ko humble jhuke hue log pasand hain jo dosro ke samne Allah Taa'la ke liye jhuk jaye ,agar galti ho ya na bhi ho to maufi mangne ko tayyar hoon ,jo dosro ko mauf karne vale hoon, jo kisi ki baat ko dil main na rakhte hoon. Jo jab zameen par chalain to akad kar na chalte ho peer patak kar na chalte ho. Jisko dekhe use salam karte ho, kisi ka gham dekhkar tadapne vale hoon, har vaqt dosroon ki madad karne ko tayyar rahte ho logon ko dikhane ke liye nahi sirf allah ke liye. Jab bhi is tarah ki baat sune to khud ko dekhe ki hum aese hain ki Allah Taa'la hamain pasand -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 74 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- karenge. Har haal main Alhamdullilah kahe aur Allah ka shukar ada kare. Life main jab test aata hai to vo hamari taqdeer main pehle se likha hota hai, bas Allah Taa'la dekhna chahte hain ki hum kya karte hain. Allah ko chodhkar madad ke liye kisi aur ko pukarna shuru karte hain .ya Allah par bharosa karte hain aur Alhamdullilah kahte hain. yahan saudi main jab kisi ki maut hoti hai to baqi log uske ghar valoon se Alhamdullilah kahalvate hain .ki kahin kisi se anjane main Allah ki na shukri na hui ho.ki kahin Allah Taa'la naraz na ho jayeen. ALHUMDULILLAH -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 75 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 70. BID'AH Bid'ah yani islam main koi aesa naya tariqa ya rasm ya koi kaam savab ya naiki ka kaam samjh kar karna aur use deen ka lazmi hissa samjhna jiski koi daleel proof Qur'an hadees se na milta ho.use bid'ah kaha jata hai. Bid'ah ki shuruaat generations pehle hui, dhere dhere deen main naye naye cheeze bagair tahqeeq ke add hoti chali gayeen aur deen ka hissa ban gaye jab ki deen main unke bare main kuch nahi bataya gaya tha.ak bahot bada reason aas paas ke mahol ne bhi nibhaya dosre mazhab ke logon ke saath rahne ki vajah se hamari kuch batain unke deen main aur unki kuch batain hamare deen main aa gaye.aur logon ne ye janne ki koshish bhi nahi ki ke ye Qur'an aur hadees se sabit bhi hai ya nahi bas unhe deen ka hissa samjh kar karna shuru kar diya ki isko karne se savab milega aane vali generations bhi karne lagin. Phir dhere dhere logon ko vazife padhne ki bhi -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 76 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- adat padh gaye ki ye kaam nahi ho raha ye cheez itne baar padh lo to ho jayega. Qur'an Qur'an khuani ramzaan rah gaya ya main karne ka zariya sirf khtam ban kar uska asal maqsad ki usko padh kar samjha jaye uspar amal kiya jaye uske mutabiq zingadi bitaye jaye vo ak taraf rah gaya. Vo sirf ak barkat ki kitaab ban gaya ki use oocha rakha jaye jab koi mar jaye ya naye ghar main jayeen ya koi kaam shuru karna ho uske liye rakha gaya. Ki ghar main sab jama hoon ak ak sipara sab ko pakda diya jaye ki bagair samjhe padho aur bas Qur'an khtam, ye samjha jane laga ki isse barkat hogi. Dhere dhere aesi kitabe chapne lagin jisme chand Qur'an ki ayaat hoti aur likha hota ki isko itne baar padho to ye kaam ho jayega ..phir 12 surah 24 surah naam se kitabe chapne lagi ki bas ye itni surah roz padh lo bahot hai, is tarah deen bigadta chala gaya -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 77 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- .aur yehi rasmo rivaaj aage ki generation main transfer hota gaya aur log use hi deen samjh kar lete rahe.bina sooche samjhe ki hamare bade aesa karte the to aesa hi hoga. Jab hum koi naye rasm deen main shuru karte hai to uska matlab hota hai ki na-aozobillah Allah Ta'ala ye rasam apne rasool ke zariye hamain batana bhool gaye the.ya rasool Allah hamain batana bhool gaye aur hamara ilm unse bhi zyada hai isliye hum ye shuru kar rahe hain. Allah Ta'ala ne apne rasool ke zariye se hamain mukammal deen diya hai. Ak ak hukum ak ak baat bataye hai aur hamain haq nahi diya ki jo shariyat deen ka tariqa Allah ne sikhaya hai hum usme kuch bhi add kare ya usme se kuch bhi kam karee. Agar hum khud ko muslim kahte hain to hamain jo bhi boundaries Allah ne bataye hain unhi main rahna hoga hum usse age nahi badh sakte. QUR'AN MAIN (SURAH HUJRAAT AYAT-1) Main Allah Ta'ala farmate hain Ae logon jo imaan laye ho mat aage badho Allah se aur uske rasool se aur Allah se daro beshak Allah Ta'ala sunne vala janne vala hai. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 78 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- SURAH IMRAN (AYAT-83) Kya bhala vo Allah ke deen ke siva kisi aur deen ki talash main hain. AYAT - 85 Jo shaks islam ke alava aur deen talash karega uska deen qubool nahi kiya jayega.aur vo aakhrat ke din nuqsaan uthane valoon main hoga. Un rasmo rivaaj ko deen ka hissa bana lena jo kaam Allah aur uske rasool ne nahi bataye un kamo ko kahna ki Allah ne aur rasool ne aesa karne ko kaha, ye sakht gunah hai. SURAH AARAAF (AYAT 36-37) Aur vo log jo hamari ayaat ahkamat ko jhutlayeen aur unse takabbur karenge vohi log aag vale honge vo usme hamesha rahenge us shaks se zyada zalim kon hoga jo Allah Ta’ala par jhoot bandhe ya uski ayaat ko jhutlaye. HADEES Aap SAW ne farmaya Jis ne mujhpar jante boojhte jhoot bola vo apna thikana jahannam main bana le. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 79 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- SURAH HASHR (AYAT 7) Rasool jo tumko hukum de usko maan lo aur jisse mana kareen usse ruk jao. HADEES Aap SAW ne farmaya qayamat ke din meri ummat ke kuch logon ko laya jayega aur unhe bayeen raste ki taraf daal diya jayega, main kahunga mere rab ye mere saathi hain ..Allah Ta'ala farmayenge tum nahi jante inhone tumhare baad deen main kya kya bidate ijaad ki9. BIDAH KI LIST Isme vo kaam hain jo hum deen samjh kar karte hain jo Aap SAW ne karne ko nahi kahe. o Shabe ba’rat Manana (15th of Shaban) o Nazar O Niyaz o Utaara o Milaad un Nabi Manana ( Prophet muhammad Ki birthday Manana ) 9 Bukhari -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 80 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- o Giyarwee shareef Manana (Sheikh Abdul Khader Jeelani ke nam par ) o MURDON SE IMDAD YANI HELP MANGNA o Masjidon mein qawwali chalana o Takkabur SE baat khuaan par paisai phainkna o Peer ke samman mein SE tabbaruk maangna o Dargaon par jaane Kai liye adhi duniya Ka safar o Duaa ke baad muh par haath pherna o namaaz e janaza Kai baad naat padhna o Dafan Kai baad qaber Kai side mein azaan Dena o Yeh yaqeen rakhna Ki paighambar Noor hain Allah Kai Noor mein Sai o Doosron Kai liye Istikhara karna o Salat al-Ghausia o Teeja o Daswaan (10 day) o Chaliswaan (40 day) o Barsi (Anniversary of the dead) o Durrod e Taj o Durood e Akbar o Durood e Ghousia o Khatam e Ghousia o Khatam e Qadria o Khatam e Khwajgan -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 81 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- o Khatam e Shifa o Namaaz Ki niyat taiz awaaz mein kehna o masjid mein ek gola banakar yaani circle banakar masjid Kai aas paas ghoomana o Salat al Ragihaaib. o Jumuah Mubarak kehna o Qur'an padhnai ke baad Sadaqa Allahul Adheem kehna o Jamaat Sai Namaaz padhnai Kai baad group mein duaa karna o Namaaz ke baad bijon par zikr karna o Ijtemai tor par Yasin shareef aur tasbeeh padhna aur sawaab pohuchaana jinka inteqaal Ho Gaya Ho . o (jaffer sadiq) ke naam par kunday karna o Aulia On ke Mazaron Ki chadkar Jo Dhaki hotai hain unko chumna Ki Allah Ka qurb milai o Apna sar zor zor Sai hilana ek taraf SE doosri taraf ALLAH Hu ALLAH HU, Allah Allah Ka vird kartai hue o Jumuah kin namaaz kai baad Ikhatta hona salawaat padhnai Kai liye o Wazaifai padhana Jo peer batatai hain ( jaisai 999 Martba acchi sehat Kai liye ) -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 82 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- o Is baat par yaqeen karna Ki Huzur S.A.W ko maloom tha Ki qayamat kab ayegi o Yeh yaqeen karna Ki HUZUR S.A.W ko ilm e gayb tha ( unko sab cheezon Ki knowledge thi yaani gayb Ki baton Ki ) o Aur yeh yaqeen karma Ki HUZUR S.A.W abhi zinda hain aur woh sab kuch sun saktai hain aur woh is zameen par aatain hain o Yeh yaqeen karna ki HUZOOR S.A.W Ka koi saya nahi tha o Jab bhi HUZOOR S.A.W Ka naam sunai to apnai anghoothon ko chumna aur unsai apni aankhain poochna o Urs Mubarak (Har sal Aulion ke urs Manana jo mar chukai hain ) -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 83 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 71. EID-UL-FITR Ramzaan ak ka mahina training hota hai training period jaise ke kisi khtam hone par certificate milta hai aur khushi manaye jati hai usi tarah. Ramzaan ke khtam hone par bhi eid manaye jati hai, khushi manaye jati hai ki humne jo pore mahine itni ibadat ki hai to Allah se umeed hai ki Allah Ta'ala ne hamare abhi tak ke sare gunah baksh diye hoon...Isiliye jab sahaba eid ke din ak dosre se milte the to kahte the TAQQABALALLAHU MINNA VA MINKUM Yani jo humne pore mahine ibadat ki hai to Allah Ta’ala humse bhi qubool kare aur tumse bhi. 1. Chand raat ko Allah Ta’ala apni rahmate baant te hain .apne bando ko baksh dete hain unki ibadat ki vajah se unke abhi tak ke gunah mauf kar dete hain, aesi umeed har banda rakhta hai. 2. Chand raat ko taraweeh nahi padhi jati lekin jitna ho sake Allah ki takbeer padheen use glorify kareen. Uska shukar ada kareen. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 84 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 3. EID KI SUBAH Gusal kareen Naye kapde pehanna pasandida hai Khushbu lagaye Idgah jane se pehle Aap SAW odd yani 1,3,5, khajoor kha kar jate the, isliye koi meethi cheez khakar jana sunnat hai, sunnat hai yani aap SAW ka tariqa hai. 4. Eid ki namaz shahar se door khule maidaan yani idgah main padhi jati hai. 5. Idgah jane se pehle Zakat-Ul-Fitr dena na bhooleen. 6. Idgah paidal jana sunnat hai lekin agar bohot door hai to gadi se ja sakte hain. 7. Idgah ak raste se jayeen aur jab vapas palte to dosre raste se aayeen. 8. Eid ki subah se hi takbeeraat padhna shuru kar deen aur jab tak eid ki namaz shuru na hoon padhte jayee. 9. TAKBEER ALLAHU AKBAR ALLAHU AKBAR LA ILAHA ILLALLAHU ALLAHU AKBAR ALLAHU AKBAR VA LILLAHIL HAMD.... -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 85 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- ALLAHU AKBAR KABEERA VALHAMDULLILAHI KASEERA VA SUBHANALLAHI BUKRATAUN VA ASEELA. Allah bahot bada Allah bahot bada hai, nahin koi ibadat ke layaq sivaye Allah ke Allah bahot bada hai. Allah bahot bada hai aur sari hamd tareef usi ke liye hai. Allah bahot bada hai sabse bada hai aur usi ke liye hai tareef bahot zyada aur usi ke liye hum paki bayan karte hai subah aur sham. 10. Aap SAW ne aurtoon ko bhi eid ki namaz main shamil hone ke liye kaha taki vo bhi duaoon main shamil ho. Lekin India aur Pakistan ke aulama aurtain ijazat parde nahi dete kyonki yahan ka ahtemaam nahi karti. Jab ki Saudi main pore parde ka ahtemaam kiya jata hai isliye aurtain bhi namaz main shareeq hoti hain. Agar aurtain idgah na ja payeen to ghar main namaz padh leen. 11. EID KI NAMAZ KA TARIQA Rakat namaz (2) padhi jati hai. Pehli rakat main 7 baar ALLAH HU AKBAR kah kar haath uthaya jata hai. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 86 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- Surah Fatiha ke baad Surah Qaaf ya surah Aala padhi jati hai. Dosri rakat main 5 takbeerat hoti hai yani 5 baar haath uthakar ALLAHU AKBAR kahkar phir niyat bandhi jati hai. Surah Fatiha ke baad Surah Qamar ya Surah Ghashiya padhi jati hai. Phir pori namaz ke baad salam phera jata hai. Fajir ki namaz ke baad se takbeeraat non stop padhna shuru kar dena chahiye jab tak eid ki namaz shuru na ho. Eid ki namaz ke liye na azaan di jati hai na aqamat hoti hai.Fajir ki namaz ke baad jaise hi suraj nikalta hai to ishraaq ka vaqt hota hai us vaqt eid ki namaz padhna pasandida hai. Kahin kahin chasht ke vaqt bhi namaz ada ki jati hai. Aap SAW ne alag-alag moqe par alag-alag Surah eid ki namaz main padhi, isliye sab sahi hai. Eid ki namaz ke baad khutba hota hai jo sunna zaruri hai. Khutbe main Qur'an aur hadees se logon ko samjhaya jata hai. 12. Eid ke din khaas tor se kabristaan jana bidat hai deen main innovation hai. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 87 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 13. Eid ke din alag- alag jagah par apne toor par khushiyaan manaye jati hain, jise deen ka hissa nahi samjhna chahiye. Yani gale milna. Sevayyan banana. Eidi dena Ye sab deen ka hissa nahi cultural activities hai jo alag alag log different tariqe se karte hain isliye ise deen ka hissa na banaya jaye to galat nahi lekin agar ye sooch kar kiya jaye ki deen ka hissa hai compulsory hai to bidat ho jayega. Isi tarah dulhan ki eidi le jana ye sab cultural activities hain deen ka hissa nahi. 14. Eid ke din koi haraam kaam karke apni pore mahine ki ibadat ko zaya na kareen jaise movies dekhna etc. 15. Eid ke din roza rakhna galat hai. 16. Idgah main eid ki namaz se pehle aur eid ki namaz ke baad koi namaz padhna jayez nahi. ALLAH TA'ALA hum sab ki ibadat qubool farmaye. TAQABBALALLAHU MINNA VA MIN KUM Allah humse bhi qubool kare, aur aap se bhi. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 88 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- HOW TO PRAY EID PRAYER It was narrated that Abu Sa’eed said: The Messenger of Allah SAWS (peace and blessings of Allah be upon him) used to come n out on the day of al-Fitr and alAdha to the prayer place and the first thing he would do was to offer the prayer. Narrated by al-Bukhaari, 956 In the first rak’ah he should say Takbeerat al-ihraam (say “Allahu akbar” to start the prayer), after which he should say six or seven more takbeers, because of the hadeeth of ‘Aa’ishah (may Allah be pleased with her), “The takbeer of al-Fitr and al-Adha is seven takbeers in the first rak’ah and five takbeers in the second, apart from the takbeer of rukoo10. Then he should recite al-Faatihah, and recite Soorat Qaf in the first rak’ah. In the second rak’ah he should stand up saying takbeer, and when he has stood up completely he should say takbeer five times, and recite Soorat al-Faatihah then Soorat al-Qamr. The Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) used to recite these two soorahs during the two Eids. Narrated by Abu Dawood and classed as saheeh by al-Albaani in Irwa’ al-Ghaleel, 639. 10 -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 89 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- Or if he wishes he can recite Soorat al-A’la in the first rak’ah and Soorat al-Ghaashiyah in the second, because it was narrated that the Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) used to recite al-A’la and al-Ghaashiyah in the Eid prayer. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 90 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 72. TASBEEH Yahan har ak ke haath main tasbeeh dikhti hai, har vaqt ungliyaan chalti rahti hai. MA SHA ALLAH dekh kar bahot khushi hoti hai ki Alhamdullilah yahan deen ko itne achche se follow karte hain shayad ye log arab hai Qur'an ko achchi tarah samjhte hain isliye, lekin hum bhi koi excuse nahi de sakte kyon ki hamare paas bhi net hai Qur'an ka translation hai explaination ki books available hai agar padhna chahe to. Allah Taa'la Qur'an main baar baar kahte hain ki kaynaat ki har cheez Allah ki tasbeeh kar rahi hai.bas insan hi bhoola hua hai .Allah Taa'la ko hamari tasbeeh ki zarurat nahi uske liye to farishte aur har har cheez uski tasbeeh kar rahi hai. Lekin agar hum Allah Taa'la ko yaad karte rahenge to hamara ak rishta Allah Taa'la se jud jayega Allah Taa'la se mohabbat ho jayegi .Aur jab kisi se mohabbat ho jati hai to uske liye har kaam karna achcha lagta hai. Phir bas ye ahsas hota hai ki jisse -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 91 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- mohabbat hai vo humse naraz na ho .Isi tarah agar Allah se mohabbat hogi to uski ibadat bhi asani se hogi. Allah Taa'la ko bahot pasand hai LA ILAHA ILLALLAH SUBHANALLAHI VABEHAMDEHI SUBHANALLAHIL AZEEM. Hadees main aata hai jo roz ise 100 baar padhega uske agar samander ke jhaag yani foam ke barabar bhi gunah honge to vo bhi mita diye jayenge. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 92 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 73. HUTAMA (ALLAH KI AAG) Allah Ta'ala ne insaan ko banaya phir insaan ke liye khoobsurat duniya banaye taki vo is duniya main sukoon se rahe aur Allah ki ibadat kare aur Allah ne jis cheez ko halal kaha vo kaam kare aur jin kamoon ko haram kaha usse bach jaye. Isi tarah ak insan ki jaan, maal aur uski izzat dosre par haram ki, yani koi kisi ki jaan nahi le sakta koi kisi ka maal cheen nahi sakta aur koi kisi ki izzat uchal nahi sakta. Har insan Allah ki nazar main mohtaram yani qabile izzat hai jaise ak Rs 500 ka note chahe ameer ki pocket main ho ya gareeb ki ya kachre main pada ho uski value Rs 500 hi rahegi. Isi tarah se insan chahe koi bhi ho Allah ki nazar main sab barabar hain.Allah Ta'ala ne ijazat nahi di ki uski izzat ko nuqsaan pahunchaya jaye. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 93 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- Aaj hum kuch aese gunahoon ki baat karenge jinhe hum bahot mamuli samjhte hain aur din raat karte hain aur mamuli samjhne ki vajah se tauba bhi nahi karte jiski vajah se vo hamare aamaal name se mitaye bhi nahi jate aur jinki saza hamain qayamat ke din apni naikiyaan de kar chukani hogi. Baat yahin khtam nahi hogi aese gunahoon ke liye hutama hai. Ye gunah jinki hum baat kar rahe hain vo hain; 1. Gheebat biting karna karna, yani back logon ki buraye jo unke ander hai jo ki sach bhi hai vo unke peeth peeche karna. 2. Haatho ke aakhoon ke ishare se kisi ko zaleel karna uska masaq udana. 3. Badgumani ki buniyad par kisi ki aesi buraye karna jo usme na ho ise ilzaam kaha jata hai. 4. Do logon main ladai karvana idher ki baat udhar karna. Chugalkhori karna. 5. Logon ko bure namoon se pukarna jaise: Vo andha hai. Vo ganja hai -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 94 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- Vo chor hai Vo dhokebaaz hai Vo kitni jaldi namaz padhta hai Usme to manners hi nahi jahil hai Vo zakat nahi deta Vo bahot rude hai Vo arrogant hai Uski naak moti hai Vo kala hai. Ye vo batain hain jo hamare liye bahot normal hain lekin Allah ki nazar main ye bahot bade bade gunah hain. QUR'AN (SURAH HUJRAAT AYAT 12) Ae logon jo imaan laye ho bacho bahot se gumanoon se, beshak baaz gumaan gunah hote hain. Tajassus (yani chupke se janne ki koshish karna ki uski zindagi main kya ho raha hai) na karoo ak dosre ki burai ya gheebat na karo. Kya tum main se koi ye pasand karta hai ki vo apne mare hue bhai ka goosht khaye. Jab ki ye baat tumhe na gavar hogi. To phir Allah se daro gheebat chugli se tauba karo beshak Allah tauba qubool farmata hai aur bahot raham farmane vala bhi hai. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 95 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- HADEES AAP SAW ne farmaya tumhe pata hai gheebat kya hai, ki tum kuch aesa apne bhai ke bare mai kaho jo use pasand na ho, sahaba ne poocha ki agar hum vo baat kahe uske bare main jo sahi ho to, Aap SAW ne farmaya tab vo gheebat hai aur agar tum vo kahoge jo uske bare main jhoot hai tab vo ilzaam hai11. HADEES Ak baar Aap SAW ka guzar do qabroon par hua jin par azaab ho raha tha. Aap SAW ne bataya ak par isliye azaab ho raha hai kyonki vo urine ki cheentoon ka dhyan nahi rakhta tha yani dhota nahi tha yani jismani gandagi ke saath rahta tha aur dosra chugalkgori karta tha logon ko ladvata tha12. 11 Muslim 12 Bukhari and Muslim -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 96 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- HADEES Aap SAW ne farmaya jab insan subah sokar uthta hai to body ke sare parts tongue ko warn karte hain ki Allah se darna agar tum sahi rahogi to hum bach jayenge lekin agar tumne gunah kiya to hum saza bhuktenge13. Zaban insan ki body ka sabse khtarnaak organ hai.ye chahe to bande ko jannat main le jaye aur ye chahe to jahannam main le jaye. isliye kaha gaya ki apni zaban ko Allah ke zikr se tar rakho hamesha Allah ka zikr karte raho jisse shaitaan bhag jata hai. QAYAMAT KE DIN Qayamat ke din insan ke paas dirham aur dinaar nahi honge jab hisaab hoga insano ke beech to agar kisi ki gheebat, chugli ya ilzaam lagaya hoga to apni naikiyaan jaise namaz, roza dena hoga. Badle main isliye hamare liye achcha hai ki agar duniya main ye gunah kiye hoon to yahin us bande se aur Allah se maufi mang leen aur us bande ke liye dua kareen jis par aapne ye zulm kiya hai. Varna qayamat kedin apni naikiyaan deni hongi. 13 Tirmizi -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 97 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- Kis condition main burai karne ki ijazat hai: 1. Agar aap par zulm hua hai to aap jisse faisla chahte hain use sari baat bata sakte hain. 2. Agar rishte ki baat chal rahi ho aur aap jante hain ki ladka ya ladki achchi nahi to aap isharoon main kah sakte hain ki vahan rishta na kareen. 3. Agar koi kisi ke saath business karna chahta hai aur aapko pata hai ki vo imaandaar nahi to bhi bata sakte hain ki business na kareen. Iske alava burai karne, mazaq udane aur idher ki baat udher karne ki ijazat nahi hai. HUTAMA microwave jahannam ki aesi jagah hai jo closed hai oven ki tarah jahan aib lagane vale gheebat chugli karne valoon ko rakha jayega vahan pillars honge chains hongi log bandhe honge aur phir unhe jalaya jayega. Vo aag Allah Ta'ala ki khud ki sulgayegi hui hogi jo duniya ki aag se 69 times zyada hogi jo seedhe dil ko jalayegi. Duniya main to agar insan jalta hai to skin muscles jalti hain aur vo mar jata hai lekin hell main to maut aayegi nahi to aag dil tak pahunch jayegi aur dil jalayegi. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 98 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- Dil ki baat kyon ki ja rahi hai kyonki dil aur zabaan ka talluq hota hai jo dil main hota hai vo hi zabaan par aata hai.jab dil main galat khyalaat aate hain tabhi zaban se nikal te hain isliye saza bhi dil ko milegi phir pora jism jalega. Isiliye kaha gaya jab raat ko soyeen to dil saaf karke soyeen kabhi kisi ke liye dil main bura guman na kareen. SURAH HUMAZAH (AYAH 1 TO 9) Halakat hai har aib lagane vale taunt karne vale, yahan humaza lumaza words aaye hain usme vo sab aa jata hai jo humne oper discuss kiya. Aur halakat hai har maal jama karne vale aur gin gin kar rakhne vale ke liye. Kya vo samjhta hai ki uska maal use hamesha baqi rakhega, hargiz nahi vo zarur hutama main phaika jayega jo use crush kar degi aur tum nahi samjh sakte ki hutama kya hai. Vo Allah ki bhadhkaye hui aag hai jo dilo ko jalayegi vo unpar charoon taraf se band kar di jayegi lambe lambe pillars main. Isi liye apni zaban par har vaqt Allah ka zikr karte rahain: -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 99 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- SUBHANALLAH ALHAMDULILLA ALLAHU AKBAR LA ILAHA ILLALLAH Padhte rahe koi agar burai shuru bhi karee to use vahi rok deen. Aur khud ko aur sab ko HUTAMA se bachayeen. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 100 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 74. ZAKAAT KE MASAIL Zakat islam ke five pillars main se ak hai chat ke pillars jaise agar main se ak hata diya jaye to kya hoga usi tarah ye bhi islam ki buniyaad hai. Qur'an main jahan jahan Allah Ta'ala ne namaz ka hukum diya usi ke saath zakaat ada karne ka bhi hukum diya hai. Zakat dena purani ummatoon par bhi farz tha yani unki shariyat main bhi tha. Duniya ke nizaam ko chalane ke liye Allah Ta'ala ne oonch neech rakhi yani kisi ko zyada maal diya kisi ko kam ye Allah ka distribution yani taqseem hai. Lekin Allah ki nazar main sab barabar hain, jisko zyada diya uspar farz kiya ki vo apne maal main se sirf 2.5 percent unko de jinko Allah ne duniya main kam diya hai. Zakat ka matlab hai paak karna yani apne maal ko paak karna. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 101 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 1. Zakat ada karne se pehle dil main niyat karni zaruri hai. Hum ye nahi kah sakte ke kisi vaqt jab kisi ko diye tha to vo zakat thi nahi aapko niyat karke vo amount nikalna hoga.varna vo sadqa hoga aur farz baqi rah jayega. 2. Ye ak farz ibadat hai isliye iske bare main qayamat ke din saval hoga jaisa ki namaz ke bare main hoga. 3. Agar koi kisi country main rah raha hai aur income tax pay kar raha hai to vo zakat nahi kahlayegi, zakat alag se dena hoga. 4. Jo barabar zakat ada karega vo jannati hai. 5. Zakat ada karne se hamara maal paak hota hai aur usmain izafa hota hai. 6. Jis maal se Allah Ta'ala ka haq ada na kiya jaye vo tabah aur barbaad ho jata hai.usme barkat nahi hoti. 7. Jo qaum zakat ada nahi karti vo qahat sali main padh jati hai, yani drought. 8. Zakat ada na karne vala dosakhi hai kyonki ye farz ibadat hai. 9. Zakat ada na karne vale par Aap SAW ne lanat farmaye hai. 10. Zakat gunahoon ka kaffara hai aur insaan ke nafs ko paak karta hai. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 102 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 11. Jis sone par zakat nahi di jayegi Allah Ta'ala us sone ki plates banakar jahannam main garam karke uske malik ki pehlu peshani peeth par daagh lagvayenge. 12. Vo maal jispar zakat nahi di jati usko kanz kaha jata hai. Qayamat ke din aesa maal ganja saanp bankar apne malik ke gale main hoga aur use dasega. 13. Jin janvaroon par zakaat nahi di jayegi vo janver qayamat ke din apne malik ko apne peeroon se rondenge. 14. Zakat ada karne se daulat main barkat aur maal main izafa hota hai. 15. Zakat aakhrat main kamyabi ki zamanat hai. 16. Zakat ada karne vale qayamat ke din har khauf aur gham se azaad honge. 17. Zakat ka inkaar karna kufr hai. 18. Har mard aurat aqil gair aqil baligh na baligh sab par zakat farz hai agar vo sahibe nisaab hai to.yani uske paas itna amount hai ak qamari saal guzarne ke baad jis par zakat farz qarar di gaye hai. 19. Sirf halaal kamai se di gaye zakat hi qabile qubool hai. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 103 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 20. Agar koi zakat zyada dena chahe to de sakta hai. 21. Saal pora hone se pehle bhi agar koi zarurat mand dike to use zakat di ja sakti hai. 22. Zakat se bachne ki koshish main tricks nahi karni chahiye. Allah Ta'ala sab jante hai dilo ke haal. 23. Zakaat sirf muslims ko di ja sakti hai non muslims ko nahi. Non muslims ko jitna chahe sadqa de sakte hain. 24. Zakat maan baap bivi banchcho ko nahi di ja sakti. Kyonki ye to zimmedari hote hain. 25. Zakat Aap SAW ke khandaan ke liye nahi hai unko nahi di ja sakti. 26. Ghani aur tandrust ke liye zakat nahi. 27. Zakat ka paise masjid banvane ke liye nahi diye ja sakti. 28. Agar aap ke paas 87.5 grams gold hai ya usse zyada hai to aap ko total gold ki qeemat current year ki vo amount nikal kar uska 2.5 per zakat deni hai ramzaan main zakat de de to achcha hai kyonki zakat qamari yani lunar calender ke hisaab se di jati hai isse calculation main aasani hoti hai aur gareeb jo roza rakh rahe hain unhe bhi fayeda hota hai. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 104 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 29. Ya aapke paas agar 612 grams silver ki qeemat ke barabar cash bank main hai ya usse zyada tab bhi aap ko total amount ka 2.5 percent zakat deni hai being a muslim ye farz hai.agar isse kam cash hai to zakat nahi deni hogi. 30. Kuch log kahte hai ki jo zevar pehan rahe hain us par zakat nahi lekin ye galat hai. Aap SAW ke paas ak aurat aaye uski beti ne do sone ke kade pehne hue the aap ne usse poocha tumne inki zakat di usne kaha nahi Aap SAW ne kaha qayamat ke din inhi ki plates bana kar garam karke tumhe dagi jayengi usne foran utar kar de diye aur kaha aap ise deen ke kaam main laga dijeye.agar pehne hue zevar par zakat nahi hoti to aap kabhi bhi aesa nahi kahte. 31. Zakat ka sabse pehle haqdaar gareeb rishtedaar hai lekin isme bhi categories hai ki kisko dena hai kisko nahi agar aap confused hain to aap zakat kisi islamic official jaise shahar qazi ya -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 105 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- aese kisi ko bhej sakte hain kyon ki unke paas bahut majboor log aate hain aur vo jante hain zakat kisko deni hai sadqa kisko. 32. Agar kisi ke paas 52.5 tola chandi ya 612 grams chandi ya usse zyada hai to uske total value ka 2.5 percent zakat deni hogi. Gold aur silver ko milakar zakat nahi di jayegi. 33. Jis ghar main hum rah rahe uspar zakat nahi. Agar koi plot khareeda hai ki uspar apna ghar banayenge aur abhi aap kiraye ke makaan main rah rahe hain to us plot par zakat nahi.aese hi car furniture fridge etc ghar ki istemal karne vali cheezoon par koi zakat nahi. 34. Agar apki koi shop hai usme jitna bhi samaan hoga uski average value plus profit mila kar agar above mentioned chandi ke barabar hai ya usse zyada to total ka 2.5 percent dena .hoga total par. 35. Total zakat nikal kar thoda thoda pore saal bhi de sakte hain kisi ko aese zakat deen ki jisko de rahe hain vo koi kaam shuru kar de aur khud bhi zakat dene lage. 36. Agar kisi ke paas zameen hai aur vo usne apna ghar banane ke liye li hai to uspar zakat nahi. Lekin agar ghar ke alava koi aur zameen hai aur -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 106 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- vo investment purpose se li hai to jab vo zameen bechenge tab uski jo bhi qeemat aayegi uspar 2.5 percent zakat deni hogi. 37. Agar koi zakat zyada dena chahe to de sakta hai. 38. Zakat sabse pehle apne qareebi gareeb rishtedaaro ko dena chahiye. Bhai Behan agar neeche jo 8 logon ki category main aate hain to unko zakat di ja sakti hai. Zakat se bachne ke liye koi trick nahi karna chahiye ye yaad rakhna chahiye ki vo jiske saath trick kar rahe hain vo dilo ke khyalaat bhi jaanta hai. 39. Syed agar vaqai sure ho ki vo Aap SAW ki aal ya family ya khandaan main se hai to usko zakat nahi de sakte. 40. Zakat vo dega jo uska malik hoga agar aurat apne zevar ki malik hai to vo zakat degi agar husband dena chahe to de sakta hai .agar husband zakat dene se inkaar kar de to aurat ko khud dena hoga agar vo zakat na de paye to use zakat ke barabar zevar bechkar zakat deni hogi.. Zakaat kisko di ja sakti hai, ye Allah Ta'ala ne khud Qur'an main bataya hai. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 107 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 8 Qism ke logon ke alawa kisi dosre ko zakaat nahi di jayegi. FAKHEER (BEGGAR). MISKEEN Vo jo mangte nahi aap unhe dekh kar pehchan lenge ki vo mustahaq hai. ZAKAAT PAR KAAM KARNE WALE LOG (USKO IKHATTA KARNE WALE, USE BAANT-NE WALE AUR ANAATH BACCHON TAK USE PAHUNCHANE WALE) Jaise income tax officer ko salary bhi income tax jo collect kiya jata hai usme se di jati hai vese hi agar islamic hukumat hai to jo zakat collect kar raha uski salary bhi zakat main se di ja sakti hai. DIL KO NARM KARNE KE LIYE YANI koi NAYA MUSALMAAN SHAKHS JISKA ISLAAM KAMZOOR HO USE ZAKAAT DI JAYEGI TAAKI USKA DIL ISLAAM SE KAREEB HO JAYE. GARDAN AAZAAD KARNE KE LIYE (MUSLIM GHULAAM KO ZAKAAT KE PAISE SE KHAREED KAR AAZAAD KIYA JAYEGA). -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 108 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- KARZ MAIN DABE HUE SHAKS KO – AISA MAQROOZ SHAKS JIS KO KARZ ADA KARNA MUSHKIL HO USE KARZ ADA KARNE KE LIYE ZAKAAT KA MAAL DIYA JAYEGA Aesa na ho ki usne ye karz apne aisho araam ke liye liya ho. ALLAH KE RAASTE Main Allah ke raaste Main jihaad karne valoon ko deen phailane ke liye religious books print karvane main kisi ke operation main agar vo afford nahi kar pa raha ho. ALLAH ke raste main banchcho ki fees ya pani ka intezaam karvana etc. MUSAFIR– AISA SHAKS JO APNE CITY SE KAT JAYE AUR USE ZAROORAT HAI TO USE ZAKAAT KA MAAL DIYA JA SAKTA HAI CHAHE WO APNI CITY MAIN AMEER YA MAALDAAR HI KYUN NA HO. Yani kisi ke paise khtam hogaye ya chori ho gaye .card chori ho gaya mobile chori ho gaya uske paas khane ko kuch nahi naye city main vo kisi ko jaanta nahi to use bhi de sakte hain. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 109 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 75. ZAKAT - UL- FITR Zakat-ul-fitr ko Sadaqat ul fitr bhi kaha jata hai. Fitr iftaar se hai means breaking fast. Significance - is ka maqsad hai ki wealth society main circulate ho. Allah Ta’ala ne hi kisi ko gareeb aur kisi ko ameer banaya, lekin Allah ki nazar main sab barabar hain. Jo ameer hain unse expect kiya gaya ki vo Allah ke ghareeb bandoon ki madad kareen. Aesi madad sadqa kahlati hai jo Allah ke bandoon ko diya jata hai phir chahe vo muslim ho ya non muslim ho sab ki madad karne ka hukum hai kyonki sab ko Allah ne banaya sab Allah ke bande hain. Lekin kuch cheeze Allah Ta'ala ne hum par farz kar di yani obligatory hai dena hi hai, aur uski duration bhi bata di, ki ye zakat ul fitr eid ki namaz se pehle hi dena hoga taki jo society ke gareeb log hain aur -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 110 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- jo muslims hai vo bhi apni eid achche se manaye. Eid ke din vo bhi vohi cheeze kha rahe hoon jo dosre log khate hain.eid ke din unhe dosroon ke aage haath na phailana pade. Isiliye hukum diya gaya ki pehle hi de do. 1. Zakat-Ul-Fitr ko har muslaman mard, aurat, budhe, bachche par farz kiya gaya hai. Chahe unhone ramzaan main roze rakhe ho ya nahi.chahe vo zakat dete ho ya nahi. Jo bhi ghar ka head hai use chahiye ki ghar ke sare members ko count karke sabki taraf se de. Yani sab ko dena compulsory hai. Agar ghar main chota bachcha bhi paida hua hai to uska bhi dena hoga14. 2. Koi bhi cheez jo Insan khane ke liye Istemsal karta hai, Jaisa ke Barley, Khajoor, munaqqa paneer etc... Aap SAW ke zamane main diya jata tha. Jo bhi us jagah ka staple food ho jo bhi log khana pasand karte ho, jagah ke hisaab se zakat ul fitr main de den. 14 Sahih Al Muslim, Hadees 984 -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 111 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 3. Shaykh Ibn ‘Uthaymeen ne iski miqdaar ak shaks ke liye 1 Saa yani 2kg-100gm batayi hai. Lekin alag alag jagah iski quantity alag milti hai kahin ak saa 2.5 kg se 3 kg tak kaha gaya hai.to be on the safer side zyada de deen to zyada achcha hai. 4. Zakat-Ul-Fitr khane ki cheez (Gehu, Anaaj, Khajoor) hi dena chahiye, paisa dena sunnat se sabit nahi, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne sirf khane ki cheez hi di thi. Kuch aulama kahte hain agar ye possible na ho to paise de deen lekin paise na dekar galla deen to zyada achcha hai. 5. Zakat-Ul-Fitr sirf gharibo, mohtajo, misqeeno, bevayoon ko hi dena chahiye, taaki vo bhi Eid ki khushiya mana sake, khaa-pee sake, Zakatul Fitr ko muhtajo ke alawa kisi aur ko dena jayaz nahi hai.yani masjid ki construction ya kisi madarse ki building construction main dena galat hai. Ye unhi logon ko diya jayega jo zakat ki category main aate hain. 6. Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Zakatul Fitr ko Farz kiya taaki rozedaro se roze -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 112 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- ki halat me gunah jo ho sarzad gaye hoon to vo khud ko unse paak kar leen . Misqeeno mil jaye ko khana aur unki idd bhi achchi ho jaye. Isse society ke gareeb ameer ke beech main ak bond banta hai, jealousy door hoti hai. Society main sukoon paida hota hai. 7. Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya: Zakat-Ul-Fitr garibo, miskino, muhatajo ka haq hai, Eid se pehle un tak pahunch jaye to vo muhtajgi se bach jayenge. 8. Zakat-Ul-Fitr ko iddgah jane se pehle (Yani EidUl-Fitr Ki Namaz ada karne se pehle) de dena chahiye, Isko ada karne me takheer nahi karna chahiye. 9. Eid Ke 1 Ya 2 din pehle Zakat-Ul-Fitr bhi de sakte hain .lekin iska vaqt aakhri roza iftaar se eid ki namaz se pehle tak ka hai. -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 113 ISLAMIC ARTICLES 51 TO 75 ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 10. Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya: Jisne Eid Ki Namaz ke baad Zakat-Ul-Fitr diya, uska farz ada nahi hua, usko nafil ka sawab milega, Ye uski taraf se sirf Sadqa hoga aur uska farz rah jayega. Zakat-Ul-Fitr ada karne ka faidaye hai ke, ye ak tarah ka kaffara hai jo rozo ki halat me hum se gunah hote hain unka. Jaise Ke Kotahiyan, fuzul Baatein jhoot kisi ki burai etc. Ye behtareen zariya hai gharibo ki mohatajgi door karne ke liye. Allah Ta'ala ham sab ko Apni khushiyoon main gareeb miskeen mohtajo ko bhi shameel karne ki tofeeq ata farmaye. Aameen WRITTEN BY: SHAHBANO KHAN DESIGNED BY: DR. ISHRAT ALIM -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 114